अक़्ले-बशर न समझेगी रुत्बा हुसैन का | Aqle-bashar na samjhegi rutba Hussain ka

अक़्ले-बशर न समझेगी रुत्बा हुसैन का | Aqle-bashar na samjhegi rutba Hussain ka
अक़्ले-बशर न समझेगी रुत्बा हुसैन का
कौनों-मकां में होता है चर्चा हुसैन का

अल्लाह ये मक़ाम, ये रुत्बा हुसैन का
सर कट गया था फिर भी था ऊंचा हुसैन का

अक़्ले-बशर न समझेगी रुत्बा हुसैन का
कौनों-मकां में होता है चर्चा हुसैन का
कल उसको नाना जान से वो: बख़्शवाऐंगे
जिसने सजाया आज ये जलसा हुसैन का

कर्बो-बला के तपते हुए रेग-ज़ार पर
उम्मत के वास्ते था वो: सज्दा हुसैन का

ग़ैरों से मांगने की ज़रूरत है क्या हमें
लोगों हमें है काफ़ी सहारा हुसैन का

अक़्ले-बशर न समझेगी रुत्बा हुसैन का
कौनों-मकां में होता है चर्चा हुसैन का

ना’त-ख़्वां:
हज़रत मरहू़म सज्जाद निज़ामी

ये भी पढ़ें: कुर्बान करके नन्ना सा बच्चा हुसैन नें / Qurban Karke Nanha Sa Bachcha Husain ne – By Sajjad Nizami

Aqle-bashar na samjhegi rutba Hussain ka
Kauno-makaan mein hota hai charcha Hussain ka

Allah ye maqam, ye rutba Hussain ka
Sar kat gaya tha phir bhi tha ooncha Hussain ka

Aqle-bashar na samjhegi rutba Hussain ka
Kauno-makaan mein hota hai charcha Hussain ka
Kal usko Nana jaan se woh bakhshwayenge
Jisne sajaaya aaj ye jalsa Hussain ka

Karbo-bala ke tapte huye reg-zaar par
Ummat ke waaste tha woh sajda Hussain ka

Ghairon se maangne ki zarurat hai kya hamein
Logo humein hai kaafi sahaara Hussain ka

Aqle-bashar na samjhegi rutba Hussain ka
Kauno-makaan mein hota hai charcha Hussain ka

Na’At-Khwaan:
Hazrat Marhoom Sajjad Nizami

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...281 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...162 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...129 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...129 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...118 views

Leave a Comment