shabbir tera matam lyrics

Hai chaand sitaron mein shabbeer tera maatam
Ta hashr yun hi hoga…(3) aalam mein sada maatam

Hai chaand sitaron mein…(2)

Dekha hai kahin aisa ? Jazba e azadari…(2)
Qaatil ke shaher mein bhi…(2) zainab ne kiya maatam

Bas haath se hi karna kaafi to nahin pyare…(2)
Aamaal se bhi kar le…(2) banda e khuda maatam

Mumkin hi nahin ye to ho koi kami es mein…(2)
Sajjad ke haathon se…(2) hai khalq huva maatam

Zaalim ka mukhalif hun mazloom ka hun haami…(2)
Sun ghaur se aye duniya!…(2) hai bol raha maatam

Barbaad kiya gulshan berehmi se zehra ka…(2)
Kyun kar na kare logo !…(2) ham ahle aza maatam

Lo haar gaya zaalim or jeet gaya mazloom…(2)
Chauda sau baras se ye…(2) deta hai sada maatam

Gham unka hamara gham wo royen to ham royen…(2)
Hai aal e mohmmad se…(2) izhaar e wafa maatam

Ye ishq ki fitrat hai dastoor e mohbbat hai…(2)
Ma’shooq huva zibha…(2) aashiq ne kiya maatam

Jab qatl huve sarwar ye charkh lahoo roya…(2)
Jungle ne padha noha…(2) dariya ne kiya maatam

Zahra ke gharaane ki sunnat hai ‘hasan Haamid’…(2)
Kya khoob teri qismat…(2) ke tujhko mila maatam

Hai chaand sitaron mein…(3)

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,559 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,546 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,275 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,185 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,076 views

Leave a Comment