WOH UBLĀ CHASHMA SHARBAT KĀ

WOH UBLĀ CHASHMA SHARBAT KĀ
Lab-e-Kawthar Hai Maila Tishna KāMān-e-Muhabbat Kā
Woh Ublā Dast-e-Sāqi Sai Woh Ubla Chashma Sharbat Kā
Yai Ālam Ambiyā Par Unn Kai Sarwar Kī Ināyat Kā
Jisai Daikho Liyea Jātā Hai Parwāna Shafā’at Kā
Pilā Dai Apnī NazrouN Sai Chalaktā Jām Rūyat Kā
Shah-e-Kousar Tarahhum Tishna Jātā Hai Ziyārat Kā
Wohī Jo Rehmat ul Lil Ālamīn HaiN Jān-e-Ālam HaiN
Barra Bhai’ee Kahāi Unn Ko Koī Andha Basīrat Kā
Mah-o-Khurshīd-o-Anjum Mai Chamak Apnī Nahī Kuch Bhī
Ujālā Hai Haqīqat Mai UnhīN Kī Pāk Tal’at Kā
Bhataktā YūN Phirrai Kab Tak Tumhāra Akhtar-e-Khasta
Dikhā Dou Rāsta Iss Ko Khūdārā Shehr-e-Ulfat Kā

Leave a Comment