ARSH KA DULHA AAYA HAIN NAAT LYRICS

ARSH KA DULHA AAYA HAIN NAAT LYRICS

 

A’alam Mein Baraat Rachi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Arsh Se Utra Noor Khuda Ka
Noor Badamaan Saari Duniya
Inki Zia Se Ye Chamki Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai
Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se
Khushboo-e-Iman Pehli Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay
Kaysi Masti Chayi Hai
Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Nikhre Nikhre Gulshan Saaray
Rung Ajab Hain Phoolon Ke
Daali Daali Youn Mehki Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik
Jinn-O-Insaan Taab’ay Hain
Donoo A’alam Par Shahi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara
Amina Bi Ke Ghar Utra
Do A’alam Mein Dhoom Machi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Ma’iraj Ki Manzil Pe Ujaagar
Tanha Fayiz Sarwar Hain
Baraati Har Aik Nabi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,628 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,023 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,008 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,772 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,649 views

Leave a Comment