Aaka Lelo Salam Ab Hamara Naat Lyrics In Urdu

Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara
Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara Data Le Lo Salaam Ab Hamara

Sabaa Tu Madine Jaa Ke Kehna Khudara

Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara Data Le Lo Salaam Ab Hamara

Ghum Se Hain Toote Hue, Zulmo Se Loote Hue,

Muddat Hui Ya Nabi, Qismat Ko Roothe Hue,

Rouze Mehshar Ummati Ka Aap Hi Sahara

Chaand Ke Tukde Kiye, Paido Ne Sajdeh Kiye,

Suraj Palat Aa Gaya, Ye Moujize Aapke

Ummati Kya Khud Khuda Hain Shaida Tumhara

Din Raat Rooti Hain Ye, Ummat Tumhare Liye

Ho Jaye Nazre Karam, Aaqa Hamare Liye

Taibah Ki Un Galiyon Ka Kab Hoga Nazara

Noore Khuda Aap Hai Shahe Huda Aap Hai

Aye Sarware Ambiya Behre Sakha Aap Hai

Hai Ye Azmat Rab Ne Tum Par Qur’an Utaara

Sadqe Me Gausul Wara Sadqe Me Khwaja Piya

Sadqe Me Ahmad Raza Meri Wahi Ho Qazaa

Rooh Nikle Padhte Padhte Kalma Tumhara

Sab Ambiya Ke Imam, Tum Par Ho Laakho Salaam

Rouze Pe Aaye Majeed, Kehta Hai Ye Subho Shaam

Zindagi Me Aas Ka Na Toote Sitara

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,661 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,576 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,292 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,196 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,092 views

Leave a Comment