दूर ए दिल रहें मदीने से, मौत बेहतर है ऐसे जीने से / Door Ai Dil Rahein Madine Se, Maut Behtar Hai Aise Jeene Se

दूर ए दिल रहें मदीने से, मौत बेहतर है ऐसे जीने से / Door Ai Dil Rahein Madine Se, Maut Behtar Hai Aise Jeene Se
दूर, ए दिल ! रहें मदीने से
मौत बेहतर है ऐसे जीने से

उन से मेरा सलाम कह देना
जा के तू, ए सबा ! क़रीने से

हर गुल-ए-गुल्सिताँ मो’अत्तर है
जान-ए-गुलज़ार के पसीने से

यूँ चमकते हैं ज़र्रे तयबा के
जैसे बिखरे हुए नगीने से

ज़िक्र-ए-सरकार करते हैं मोमिन
कोई मर जाए जल के कीने से

बारगाह-ए-ख़ुदा में क्या पहुँचे !
गिर गया जो नबी के ज़ीने से

पी जिए चश्म-ए-नाज़ से उन की
मय-कशों का भला है पीने से

उस तजल्ली के सामने, अख़्तर !
गुल को आने लगे पसीने से

शायर:
अख़्तर रज़ा ख़ान

ना’त-ख़्वाँ:
असद रज़ा अत्तारी
सय्यिद अब्दुल वसी रज़वी

 

door, ai dil ! rahe.n madine se
maut behtar hai aise jeene se

un se mera salaam keh dena
jaa ke tu, ai saba ! qareene se

har gul-e-gulsitaa.n mo’attar hai
jaan-e-gulzaar ke paseene se

yu.n chamakte hai.n zarre tayba ke
jaise bikhre hue nageene se

zikr-e-sarkaar karte hai.n momin
koi mar jaae jal ke keene se

baargaah-e-KHuda me.n kya pahunche !
gir gaya jo nabi ke zeene se

pee jie chashm-e-naaz se un ki
mai-kasho.n ka bhala hai peene se

us tajalli ke saamne, aKHtar !
gul ko aane lage paseene se

Poet:
Akhtar Raza Khan

Naat-Khwaan:
Asad Raza Attari
Sayed Abdul Wasi Razvi

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...71 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...60 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...56 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...40 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...32 views

Leave a Comment