بس میری نگاہوں میں
bas meree nigahoan main qasr e shah e aalee he
un ka sabz gumbad he , or sunehree jaleee he
aap ke tajallee se her koi mujallaa he
zaat e mustafaa kee bee, roshnee niralee he
ummat e muhammad kee azmatoan ka kia kehna
koi bu haneefa he , or koi ghazalee he
hazrat e sumaeeya ne raah e haq me jaan de kar
saree maaon behnoan kee abroo bacha lee he
ae haleema daee tu kitnee khush muqaddar he
tere goad ka bacha, do jahaan ka walee he
baada kash bee saqee bee shaah bhee bhikaree bhee
aap k dareechay ka, her koi sawalee he
be naseeb aankhoan me ashk e pur nadaamat hain
kyu k daman e mohsin ashqee se khalee he
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,342 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,526 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,561 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,533 views