Tajush Shariah, Huzoor Mufti Akhtar Raza Khan Al-Azhari Barelvi alayhirrahma ka likha yeh azeem o roohani kalam ‘Aaj Ki Raat Ziyaon Ki Hai Baraat Ki Raat’ dilon me shauq-e-haqeeqi aur ishq-e-mustafa ki shama raushan karta hai.
Is be-misaal Naat me sarkar-e-do-alam ﷺ ke jalwa-e-noor aur shab-e-me’raj ke un khubsoorat lamhaat ko nihayat hi dil-soz andaz me piroya gaya hai.
Aaiye is muqaddas aur aqeedat se bharpoor kalam ko nihayat hi adab aur ehtiraam ke sath padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Aaj Ki Raat Ziyaon Ki Hai Baraat Ki Raat |
| Poet / Writer | Tajush Shariah Hazrat Allama Mufti Akhtar Raza Khan Barelvi |
| Category | Naat Lyrics / Shab e Barat |
| Naatkhawan / Reciter | Various Naatkhawans |
Naat Lyrics in Roman
Aaj Ki Raat Ziyaon Ki Hai Baraat Ki Raat
Fazl E Naushaah E Do Aalam Kay Bayanaat Ki Raat
Shab E Me’raj Woh Awhaa Ke Isharaat Ki Raat
Kaun Samjhaye Woh Kaisi Thi Munajaat Ki Raat
Chayi Rehti Hain Khayaloon Mein Tumhari Zul’fein
Koyi Mawsam Ho Yahaan Rehti Hai Barsaat Ki Raat
Rind Peetay Hain Teri Zulf Kay Saaye Mein Sada
Koi Mawsam Ho Yahaan Rehti Hai Barsaat Ki Raat
Rukh E Tabaan E Nabi Zulf E Muambar Pay Fida
Roz E Taabindah Yeh Masti Bhari Barsaat Ki Raat
Dil Ka Har Daagh Chamakta Hai Qamar Ki Surat
Kitni Roshan Hai Rukh E Shah Kay Khayalaat Ki Raat
Har Shab E Hijr Lagi Rehti Hai Ashkoon Ki Jhari
Koi Mawsam Ho Yahaan Rehti Hai Barsaat Ki Raat
Jis Ki Tanhayi Mein Woh Shamaye Shabistaani Ho
Rashk E Sad Bazm Hai Iss Rind Kharabaat Ki Raat
Bulbul E Baagh E Madina Ko Suna De Akhtar
Aaj Ki Shab Hai Farishtoon Say Mubahaat Ki Raat
Naat Lyrics in Hindi
आज की रात ज़ियाओं की है बारात की रात
फ़ज़्ल-ए-नौशाह-ए-दो आलम के बयानात की रात
शब-ए-मे’राज वो औहा के इशारात की रात
कौन समझाए वो कैसी थी मुनाजात की रात
छाई रहती हैं ख़यालों में तुम्हारी ज़ुल्फ़ें
कोई मौसम हो यहाँ रहती है बरसात की रात
रिन्द पीते हैं तेरी ज़ुल्फ़ के साए में सदा
कोई मौसम हो यहाँ रहती है बरसात की रात
रुख़-ए-ताबां-ए-नबी ज़ुल्फ़-ए-मुअ़म्बर पे फ़िदा
रोज़-ए-ताबिन्दा ये मस्ती भरी बरसात की रात
दिल का हर दाग़ चमकता है क़मर की सूरत
कितनी रौशन है रुख़-ए-शाह के ख़यालात की रात
हर शब-ए-हिज्र लगी रहती है अश्क़ों की झड़ी
कोई मौसम हो यहाँ रहती है बरसात की रात
जिस की तन्हाई में वो शम्अ़-ए-शबिस्तानी हो
रश्क़-ए-सद बज़्म है इस रिन्द-ए-ख़राबात की रात
बुलबुल-ए-बाग़-ए-मदीना को सुना दे अख़्तर
आज की शब है फ़रिश्तों से मुबाहात की रात
Naat Lyrics in Urdu
آج کی رات ضیاؤں کی ہے بارات کی رات
فضلِ نوشاہِ دو عالم کے بیانات کی رات
شبِ معراج وہ اوحیٰ کے اشارات کی رات
کون سمجھائے وہ کیسی تھی مناجات کی رات
چھائی رہتی ہیں خیالوں میں تمہاری زلفیں
کوئی موسم ہو یہاں رہتی ہے برسات کی رات
رند پیتے ہیں تیری زلف کے سائے میں سدا
کوئی موسم ہو یہاں رہتی ہے برسات کی رات
رخِ تاباںِ نبیؐ زلفِ معنبر پہ فدا
روزِ تابندہ یہ مستی بھری برسات کی رات
دل کا ہر داغ چمکتا ہے قمر کی صورت
کتنی روشن ہے رخِ شاہ کے خیالات کی رات
ہر شبِ ہجر لگی رہتی ہے اشکوں کی جھڑی
کوئی موسم ہو یہاں رہتی ہے برسات کی رات
جس کی تنہائی میں وہ شمعِ شبستانی ہو
رشکِ صد بزم ہے اس رندِ خرابات کی رات
بلبلِ باغِ مدینہ کو سنا دے اخترؔ
آج کی شب ہے فرشتوں سے مباہات کی رات