Na Aisa Gumbad Na Aisa Rauza Na Shahar Aisa Janab Hoga Lyrics

न ऐसा गुंबद न ऐसा रौज़ा न शहर ऐसा जनाब होगा / Na Aisa Gumbad Na Aisa Rauza Na Shahar Aisa Janab Hoga
न ऐसा गुंबद, न ऐसा रौज़ा, न शहर ऐसा, जनाब ! होगा
जवाब होगा हर इक शहर का, मदीना तो ला-जवाब होगा

ब-रोज़-ए-महशर फ़रिश्ते मुझ को पकड़ के पूछेंगे तो कहूँगा
वो देखो आते हैं ग़ौस-ए-आ’ज़म, उन्हीं के आगे हिसाब होगा

वो फ़ाक़े पर पर्दा करने वाली, ब-रोज़-ए-महशर जब आएँगी तो
निदा ये होगी झुकाओ नज़रें, ये फ़ातिमा का हिजाब होगा

हुसैन वो जिस को फ़ातिमा ने सुनाया क़ुरआन बचपने में
वो बा’द-ए-कर्बल बुलंद हो कर ख़ुदा की पढ़ता किताब होगा

ये आती जाती हुकूमतें हैं, ये आती जाती रहेंगी लेकिन
मगर वो ख़्वाजा रहेगा राजा, उसी का राजा ख़िताब होगा

नबी का मेरे जो मो’जिज़ा है, जो रद में उस ने कहा लिखा है
ब-रोज़-ए-महशर वो नजदियों पर रज़ा का फ़तवा ‘अज़ाब होगा

ना’त-ख़्वाँ:
सैफ़ रज़ा कानपुरी

 

na aisa gumbad, na aisa rauza, na shahar aisa, janaab ! hoga
jawaab hoga har ik shahar ka, madina to laa-jawaab hoga

ba-roz-e-mehshar farishte mujh ko paka.D ke poochhenge to kahunga
wo dekho aate hai.n Gaus-e-aa’zam, unhi.n ke aage hisaab hoga

wo faaqe par parda karne waali, ba-roz-e-mehshar jab aaengi to
nida ye hogi jhukaao nazre.n, ye faatima ka hijaab hoga

husain wo jis ko faatima ne sunaaya qur.aan bachpane me.n
wo baa’d-e-karbal buland ho kar KHuda ki pa.Dhta kitaab hoga

ye aati jaati hukoomate.n hai.n, ye aati jaati rahengi lekin
magar wo KHwaja rahega raaja, usi ka raaja KHitaab hoga

nabi ka mere jo mo’jiza hai, jo rad me.n us ne kaha likha hai
ba-roz-e-mehshar wo najdiyo.n par raza ka fatwa ‘azaab hoga

Naat-Khwaan:
Saif Raza Kanpuri

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...274 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...160 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...119 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...114 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...110 views

Leave a Comment