“Chamak Ne Laga Sunniyat Ka Sitaara” Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi (R.A.) ki bargah-e-akeedat mein pesh kiya gaya ek nihayat hi khubsurat aur josh-o-jazbe se bhara kalam hai.
Is pakiza manqabat mein Bareilly ke Tajdar ki aamad se fitnon ke khatme, maslak-e-ahle-sunnat ki jeet aur unki shayari-o-ilm ki bulandi ka zikr bayaan kiya gaya hai.
Aaiye is dilon mein ishq-e-Raza ki shama roshan karne wale haseen kalam ko Roman, Hindi aur Urdu zabaan mein adab ke sath padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Chamak Ne Laga Sunniyat Ka Sitaara |
| Poet / Writer | Janab Faizi |
| Category | Manqabat (Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan) |
| Naatkhawan / Reciter | Various Reciters |
Naat Lyrics in Roman
Chamak ne laga Sunniyat ka sitaara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Huwa sard fitnoun ka har ekk sharara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Udhar kufr ki saari tanzeemien shamill
Idhar Ahle Sunnat akele muqabill
Magar Sunniyoun ne hi maidaan maara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Fataawe mein itni Hadeesen sajaayi
Ke jiss pe karen Faqr Rooh E Buqaari
Bareily bana Sunniyoun ka Buqaara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Go urdu mein pehle bhi thi Naat goyi
Magar qaabile tazkira thi na koyi
Falak chu gaya Shayari ka Minaara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Bahut hi munazzam the najdi wahabi
Thi harsu kharabi kharaabi kharaabi
Huwa ittehaad uska kull paara paara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Pachsou uloom ekk seene mein maqfi
Fasaana nahi ye haqeeqat hai Faizi
Magar ye haqeeqat huwi aashkaara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Naat Lyrics in Hindi
चमकने लगा सुन्नियत का सितारा
बरेली में अहमद रज़ा जबसे आए
हुआ सर्द फ़ितनों का हर एक शरारा
बरेली में अहमद रज़ा जबसे आए
उधर कुफ़्र की सारी तंज़ीमें शामिल
इधर अहल-ए-सुन्नत अकेले मुक़ाबिल
मगर सुन्नियों ने ही मैदान मारा
बरेली में अहमद रज़ा जबसे आए
फ़तावे में इतनी हदीसें सजाईं
के जिस पे करें फ़ख़्र रूह-ए-बुख़ारी
बरेली बना सुन्नियों का बुख़ारा
बरेली में अहमद रज़ा जबसे आए
गो उर्दू में पहले भी थी नात गोई
मगर क़ाबिल-ए-तज़किरा थी ना कोई
फ़लक छू गया शायरी का मीनारा
बरेली में अहमद रज़ा जबसे आए
बहुत ही मुनज़्ज़म थे नज्दी वहाबी
थी हर सू ख़राबी ख़राबी ख़राबी
हुआ इत्तेहाद उसका कुल पारा पारा
बरेली में अहमद रज़ा जबसे आए
पाँच सौ उलूम एक सीने में मख़्फ़ी
फ़साना नहीं ये हक़ीक़त है फ़ैज़ी
मगर ये हक़ीक़त हुई आश्कारा
बरेली में अहमद रज़ा जबसे आए
Naat Lyrics in Urdu
چمکنے لگا سنیت کا ستارہ
بریلی میں احمد رضا جب سے آئے
ہوا سرد فتنوں کا ہر اک شرارہ
بریلی میں احمد رضا جب سے آئے
ادھر کفر کی ساری تنظیمیں شامل
ادھر اہل سنت اکیلے مقابل
مگر سنیوں نے ہی میدان مارا
بریلی میں احمد رضا جب سے آئے
فتاوے میں اتنی حدیثیں سجائیں
کہ جس پہ کریں فخر روحِ بخاری
بریلی بنا سنیوں کا بخارا
بریلی میں احمد رضا جب سے آئے
گو اردو میں پہلے بھی تھی نعت گوئی
مگر قابلِ تذکرہ تھی نہ کوئی
فلک چھو گیا شاعری کا مینارہ
بریلی میں احمد رضا جب سے آئے
بہت ہی منظم تھے نجدی وہابی
تھی ہر سو خرابی خرابی خرابی
ہوا اتحاد اس کا کل پارہ پارہ
بریلی میں احمد رضا جب سے آئے
پاچ سو علوم اک سینے میں مخفی
فسانہ نہیں یہ حقیقت ہے فیضیؔ
مگر یہ حقیقت ہوئی آشکارا
بریلی میں احمد رضا جب سے آئے