Darood O Salam Us Par Lyrics

1. Salaam Us Per Ke Jis Ne Be Kason Ki Dastgiri Ki
2. Salaam Us Per Ke Jis Ne Badshahi Mein Faqiri Ki

3. Salaam Us Per Ke Israre Mohab’Bat Jis Ne Samjhaey
4. Salaam Us Per Ke Jis Ne Zakhm Khakar Phool Barsaey

5. Salaam Us Per Ke Jis Ne Khoon Ke Pyason Ko Qabaein Din
6. Salaam Us Per Ke Jis Ne Galiyan Sun Kar Duaein Din

7. Salaam Us Per Ke Jis Ke Ghar Mein Chandi Thi Na Sona Tha
8. Salaam Us Per Ke Tuta Boriya Jis Ka Bichona Tha

9. Salaam Us Per Jo Bhuke Reh Ke Auron Ko Khilate The
10. Salaam Us Per Jo Ummat Ke Liye Raaton Ko Rote The

11. Salaam Us Per Jo Farshe Khak Par Jarey Mein Sote The
12. Salaam Us Per Jis Ne Chand Ko Do Tukre Farmaya

13. Salaam Us Per Ke Jin Ke Hukm Se Suraj Palat Aaya
14. Salaam Us Per Fiza Jis Ne Zamane Ki Badal Dali

15. Salaam Us Per Jis Ne Kufr Ki Quwwat Kuchal Dali
Ya Ilahi, Az Tufaile Zulfe Rasool, Yeh Salaame Aajzanan
Ho Qubool

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,279 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,980 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,948 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,629 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,104 views

Leave a Comment