Aariz E Shams O Qamar Sey Bhi Hain Anwar Aeriyan Naat Lyrics

Aariz-e-shams-o-qamar sey bhi hain anwar aeriyan Naat Lyrics
Aariz-e-shams-o-qamar sey bhi hain anwar aeriyan,
Arsh ki aankhon key taare hain wo khushtar aeriyan.

Jaa baja par to figan hain aasmaan par aeriyan,
Din ko hain khursheed shab ko maah-o-akhtar aeriyan.

Najm gardoon to nazar aate hain chote aur wo paaon,
Arsh par phir kyoon na hon mehsoos laaghar aeriyan.

Dab key zer-e-paa na gunjaish samaane ko rahi,
Ban gaya jalwa kaf-e-paa ka ubhar kar aeriyan.

Un ka mangta paaon sey thukra de wo duniya ka taaj,
Jis ki khaatir mar gaye mun’am ragar kar aeriyan.

Do qamar do panja-e-khowr do sitaare das hilaal,
Un key talwe panje naakhun paaye athar aeriyan.

Haaye us patthar sey is seene ki qismat phoriye,
Be takalluf jis key dil mein yoon karein ghar aeriyan.

Taaj-e-roohul quds key moti jise sajdah karein,
Rakhti hain wallah woh pakizah gauhar aeriyan.

Ek thokar mein uhad ka zalzala jaata raha,
Rakhti hain kitna waqaar Allahu Akbar aeriyan.

Charkh par charhte hi chaandi mein siyahi aa gayi,
Kar chuki hain badr ko taksaal bahar aeriyan.

Aay RAZA toofan-e-mehshar key talatum sey na dar,
Shaad hon hain kashti-e-ummat ko langar aeriyan.

Submit By Smn khan

============= Hindi Lyrics ==============

‘आरिज़-ए-शम्स-ओ-क़मर से भी हैं अनवर एड़ियाँ
‘अर्श की आँखों के तारे हैं वो ख़ुश-तर एड़ियाँ

जा-ब-जा परतव-फ़िगन हैं आसमाँ पर एड़ियाँ
दिन को हैं ख़ुर्शीद, शब को माह-ओ-अख़्तर एड़ियाँ

नज्म-ए-गर्दूं तो नज़र आते हैं छोटे और वो पाँव
‘अर्श पर फिर क्यूँ न हों महसूस लाग़र एड़ियाँ

दब के ज़ेर-ए-पा न गुंजाइश समाने को रही
बन गया जल्वा कफ़-ए-पा का उभर कर एड़ियाँ

उन का मँगता पाँव से ठुकरा दे वो दुनिया का ताज
जिस की ख़ातिर मर गए मुन’इम रगड़ कर एड़ियाँ

दो क़मर, दो पंजा-ए-ख़ुर, दो सितारे, दस हिलाल
उन के तल्वे, पंजे, नाख़ुन, पा-ए-अतहर एड़ियाँ

हाए ! उस पत्थर से, उस सीने की क़िस्मत फोड़िए
बे-तकल्लुफ़ जिस के दिल में यूँ करें घर एड़ियाँ

ताज-ए-रूहुल-क़ुद्स के मोती जिसे सज्दा करें
रखती हैं, वल्लाह ! वो पाकीज़ा गौहर एड़ियाँ

एक ठोकर में उहुद का ज़लज़ला जाता रहा
रखती हैं कितना वक़ार, अल्लाहु अक्बर ! एड़ियाँ

चर्ख़ पर चढ़ते ही चाँदी में सियाही आ गई
कर चुकी हैं बद्र को टकसाल बाहर एड़ियाँ

ऐ रज़ा ! तूफ़ान-ए-महशर के तलातुम से न डर
शाद हो ! हैं कश्ती-ए-उम्मत को लंगर एड़ियाँ

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...404 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...401 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...317 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...291 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...217 views

Leave a Comment