Tamanna Hai Mere Maula Dayare Mustafa Dekhun Lyrics

दयार ए मुस्तफ़ा देखुन…

Madina… Madina…
Madina… Madina…

Mujhe Makke-Madine jaana hai…
Mujhe Maula Madine jaana hai…

Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar… Kabhi to ya khuda dekhu…

Sunu labaaik ke nagme… Haram ki paak waadi me…
Dar-e-khairul waraa par… Ashiqon ka jhumna dekhu..
Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar… Kabhi to ya khuda dekhu…

Mazaar-e-Hazrat e Hamza… Ko bhi dekhe meri ankhe..
Dayaar-e-Aaesha dekho… Mazaar e Fatima dekhu…
Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar…Kabhi to ya khuda dekhu…

Tere mahboob jis gumbad… Ke niche jalwa farma hai…
Hai jispar arsh bhi naaza… Mai wo gumbad hara dekho…
Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar… Kabhi to ya khuda dekhu…

Basar ho ya khuda kuch… Istarah se zindagi meri…
Sahar me ka’aba dekhu… Shaam me gumbad hara dekhu…
Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar… Kabhi to ya khuda dekhu…

Jahaan araam farma hai… Sahaba mere aaqa ke…
Tamanna hai mere maula… Wo manzar badr ka dekhu…
Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar… Kabhi to ya khuda dekhu…

Mai chumu gumbad e khazra… Ke jis dam jaaliyaan aasim..
Khuda se hai dua us-dum… Jamal e mustafa dekhu…
Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar… Kabhi to ya khuda dekhu…

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...291 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...162 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...143 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...139 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...129 views

Leave a Comment