Khake Madina Hoti Mein Khaksar Hota Lyrics

Khake Madina Hoti Mein Khak-sar Hota

Hoti Rahe Madina Mera Hubar Hota

Aaqa Agar Karam Se Tayba Muje Bulate

Roze Par Sadke Hota Unpar Nisar Hota

Mar Mitke Khub Lagti Mitti Meri Thikane

Ghar Unki Rah-guzar Par Mera Mazar Hota

Ye Aarazu Hai Dil Ki Hota Wo Sabz Gumbad

Aur Mein Gubar Ban Kar Us Par Nisar Hota

Tayba Mein Ghar Muyassar Do Gaz Zameen Hoti

Unke Kareeb Basta Dil Ko Karar Hota

Bechain Dil Ko Ab Tak Samja Buja Ke Rakha

Magar Ab To Is Se Aaqa Nahin Intezar Hota

Wo Bekason Ke Aaqa Bekas Ko Ghar Bulate

Kyun Sab Ki Thokaron Par Padh Kar Khuwar Hota

Salik Hue Ham Unke Wo Bhi Hue Hamare

Dile Muztarib Ko Lekin Nahin Intezar Hota

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment