Zahe Izzat O Aitlaye Muhammad Lyrics In Urdu

Zehe Izzat-O Itlaaye Muhammad Naat Lyrics
Zahe Izzato Aetala-E Muhammad
Ke Hai Arsh E Haq Zere Paa-E Muhammad (saw)

Makaa(n) Arsh Unka Falak Farsh Unka
Malak Khaadimane Sara-E Muhammad (saw)

Khuda Ki Raza Chahte Hai Do Aalam
Khuda Chahta Hai Raza-E Muhammad (saw)

Ajab Kya Agar Raham Farma Le Hum Par
Khuda-E Muhammad Baraa-E Muhammad (saw)

Muhammad Baraa-E Janaab E Ilahi
Janaab e Ilahi Baraa-E Muhammad (saw)

Basi Itre Mahboobi-E Kibriya Se
A-baye Muhammad Kabaa-E Muhammad (saw)

baham Ahad Bandhe Hai Wasl E Abad Ka
Raza-E Khuda Aur Raza-E Muhammad (saw)

Dame Naz’a Jaari Ho Meri Zabaa(n) Par
Muhammad Muhammad khuda-E Muhammad (saw)

Asaa-E Kaleem Azdahaye Ghazab Tha(saw)
Giro(n) Ka Sahara Asaa-E Muhammad(saw)

Main Kurbaan Kya Pyari Pyari Hai Nisbat
Ye Aan-E Khuda Wo Khuda-E Muhammad (saw)

Muhammad ka damm Khaas Bahre Khuda Hai
Siwaye Muhammad Bara-E Muhammad (saw)

Khuda Unko Kis Pyar Se dekhta Hai
Jo Aankhei(n) Hai Mahve Lika-E Muhammad (saw)

Zulu Me Ijabat Khawasi Me Rehmat
Badhi Kis Tuzuk Se Dua-E Muhammad (saw)

Izabat Ne Jhuk Kar Gale Se Lagaya
Badhi Naaz Se Jab Dua-E Muhammad (saw)

Izabat Ka Sehra Inayat Ka Joda
Dulhan Banke Nikli Dua-E Muhammad (saw)

Raza Pul Se Ab Wajd Karte Guzariye
Ki Hai Rabbe Sallim Sada-E Muhammad (saw)

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,085 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,298 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,531 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,468 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,249 views

Leave a Comment