Jis Ke Lab Par Ali Ali Hoga Lyrics
Jis Ke Lab Par ‘Ali ‘Ali Hoga
Us Ke Dil Men Nabi Nabi Hoga
Saaf Zaahir Hai Is Waseele Se
Aisa Insaan Jannati Hoga
Poochh Lo Ye Hareem-E-Kaa’ba Se
Chaahe Zamzam Se Shehr-E-Tayba Se
Jis Ke Dil Men Hasan-Husain Nahin
Sar Se Paa Tak Wo Dozakhi Hoga
Ek Maango To Sau ‘Ata Kar De
Aur Bhari Khuld Tak Hiba Kar De
Jis Ko Kehte Hain Qaasim-E-Ne’mat
Socho Kis Shaan Ka Sakhi Hoga
Shehr-E-Tayba Ka Jo Faqeer Huwa
Wo Ameeron Ka Bhi Ameer Huwa
Jis Ki Jholi Men Ik Chawanni Hai
Wo Jahaan Ka Kharab-Pati Hoga
Jis Ke Qabze Men Kul Khudaai Hai
Jis Ka Bistar To Ik Chataai Hai
Kaa’ba-Qausain Jis Ki Manzil Ho
Rab Ka Mehboob Waaqi’ee Hoga
Jis Ki Taa’zim Men Farishte Jhuken
Jis Ki Takreem Ambiya Bhi Karen
Muqtadi Jis Ke Ambiya Saare
Wo To Nabiyon Ka Bhi Nabi Hoga
Naam Se Apne Nek-Naam Bano
Gaus-E-Bagdaad Ke Gulaam Bano
Jis Ko Nisbat Hai Gaus-E-Aa’zam Se
Silsila Us Ka Qaadri Hoga
Sunnat-E-Mustafa Ka Paikar Ho
‘Ishq-O-‘Irfaan Ka Samandar Ho
Dekh Kar Jis Ko Yaad Aae Khuda
Wo To Allah Ka Wali Hoga
Aa’la Hazrat Ka Faisla Sun Lo
Is Ko Moti Samajh Ke Tum Chun Lo
Jo Bhi Mere Nabi Ka Dushman Hai
Ek Number Ka Dozakhi Hoga
Dil Men Bugz-E-Nabi Ka Laawa Hai
Jis Ka Sajda Bhi Ik Dikhaawa Hai
Ye Munaafiq Ki Ik ‘Alaamat Hai
Us Ka Imaan Oopri Hoga
Zindagi Ka Safar Huzoor Ke Naam
Jis Ki Shaam-O-Sahar Huzoor Ke Naam
‘Umr Guzri Ho Jis Ki Tayba Men
Us Ka Har Lamha Qeemati Hoga
Ahl-E-Sunnat Ka Dil Se Shaida Hai
Sab Buzurgon Se Pyaar Karta Hai
Jo Rahe Door Sulh-E-Kulli Se
Wo To Shaida-E-Azhari Hoga
Naat-Khwaan:
Asad Iqbal Kalkattavi
- Hazrat Qaazi Hameed-ud-deen Mohammad Nagori Biography
- Hazrat Sayyed Bedam Shah Waarṡi Biography
- Hazrat Shaikh Abul Hasan Sirri al-Saqati Biography
- Hazrat Ali UL-Murtaza Maula E Kaainat | HAZRAT ALI IBE ABI TALIB Biography
- Hazrat Sayyed Akmal Husain Biography
- Hazrat Khwaja Baayazeed Tayfoor Bastami Biography
- Hazrat Sayyed Mohammad Khaalid Shaah Chishti Biography
Jis Ke Lab Par Ali Ali Hoga | Us Ke Dil Mein Nabi Nabi Hoga
जिस के लब पर ‘अली ‘अली होगा
उस के दिल में नबी नबी होगा
साफ़ ज़ाहिर है इस वसीले से
ऐसा इंसान जन्नती होगा
पूछ लो ये हरीम-ए-का’बा से
चाहे ज़मज़म से, शहर-ए-तयबा से
जिस के दिल में हसन-हुसैन नहीं
सर से पा तक वो दोज़ख़ी होगा
एक माँगो तो सौ ‘अता कर दे
और भरी ख़ुल्द तक हिबा कर दे
जिस को कहते हैं क़ासिम-ए-ने’मत
सोचो किस शान का सख़ी होगा
शहर-ए-तयबा का जो फ़क़ीर हुवा
वो अमीरों का भी अमीर हुवा
जिस की झोली में इक चवन्नी है
वो जहाँ का खरब-पती होगा
जिस के क़ब्ज़े में कुल ख़ुदाई है
जिस का बिस्तर तो इक चटाई है
का’बा-क़ौसैन जिस की मंज़िल हो
रब का महबूब वाक़ि’ई होगा
जिस की ता’ज़ीम में फ़रिश्ते झुकें
जिस की तकरीम अंबिया भी करें
मुक़्तदी जिस के अंबिया सारे
वो तो नबियों का भी नबी होगा
नाम से अपने नेक-नाम बनो
ग़ौस-ए-बग़दाद के ग़ुलाम बनो
जिस को निस्बत है ग़ौस-ए-आ’ज़म से
सिलसिला उस का क़ादरी होगा
सुन्नत-ए-मुस्तफ़ा का पैकर हो
‘इश्क़-ओ-‘इरफ़ान का समंदर हो
देख कर जिस को याद आए ख़ुदा
वो तो अल्लाह का वली होगा
आ’ला हज़रत का फ़ैसला सुन लो
इस को मोती समझ के तुम चुन लो
जो भी मेरे नबी का दुश्मन है
एक नंबर का दोज़ख़ी होगा
दिल में बुग़्ज़-ए-नबी का लावा है
जिस का सज्दा भी इक दिखावा है
ये मुनाफ़िक़ की इक ‘अलामत है
उस का ईमान ऊपरी होगा
ज़िंदगी का सफ़र हुज़ूर के नाम
जिस की शाम-ओ-सहर हुज़ूर के नाम
‘उम्र गुज़री हो जिस की तयबा में
उस का हर लम्हा क़ीमती होगा
अहल-ए-सुन्नत का दिल से शैदा है
सब बुज़ुर्गों से प्यार करता है
जो रहे दूर सुल्ह-ए-कुल्ली से
वो तो शैदा-ए-अज़हरी होगा
ना’त-ख़्वाँ:
असद इक़बाल कलकत्तवी