SHAAHE MADINA TAYBAH BULALO SHAAHE MADINA NAAT LYRICS

SHAAHE MADINA TAYBAH BULALO SHAAHE MADINA NAAT LYRICS

 

Taybah Bulalo Shaahe Madina
Bigari Banado Shaahe Madina

Shaahe Madina Bulalo………………

Main Ishqe Nabi Ka Ye Sila Mang Raha Hu
Imaan Pe Marne Ki Duaa Mang Raha Hu
Sarkar Muje Gair Se Ruswa Na Karana
Mujrim Hu Madine Mai Saza Mang Raha Hu

Shaahe Madina Shaahe Madina (2)
Tayabah Bulalo………………

Purnur Madine Ki Fazaao Mai Bulalo
Sadke Mai Nawaso Ke Hame Apana Banalo
Be-Yaro Madadgaar Hain Chadar Me Chhupalo
Duba Hai Safina Mera Lillah Sambhalo

Shaahe Madina Shaahe Madina (2)
Tayabah Bulalo………………

Sagar Hame Zamzam Ke Pila Dijiye Aaka
Jalwe Hame Purnur Dikha Dijiye Aaka
Isya Ke Samundar Se Bacha Lijiye Aaka
Futi Meri Kismat To Bana Dijiye Aaka

Shaahe Madina Shaahe Madina (2)
Tayabah Bulalo………………

Sarkar Madine Me Bula Kyun Nahi Lete
Daman Me Hame Apne Chhupa Kyu Nahi Lete
Me Aau Madina Meri Awakat Nahi Hai
Gar Aap Bulale To Bari Bat Nahi Hai

Shaahe Madina Shaahe Madina (2)
Tayabah Bulalo………………

Ab Sabr Ke Paimane Chhalak Uthe Hai Sare
Hain Soae Huwe Aaka Mukdar Ke Sitare
Bethe Hain Karam Ke Liye Daman Ko Pasare
Dikhalado Hame Gumbade Khazara Ke Nazare

Shaahe Madina Shaahe Madina (2)
Tayabah Bulalo………………

Aata Hai Bahot Yaad Hame Shahare Madina
Manzur Kaha Dur Hame Reh Ke Yu Jina
Chamakaiye ‘Israt’ Ki Bhi Kismat Ka Nangina
Kadmo Me Bulalo Hame Ya Shaahe Madina

Shaahe Madina Shaahe Madina (2)
Tayabah Bulalo………………

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...525 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment