Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par Taqdeer Banane Aaya Hoon | Barkate Raza

Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par Taqdeer Banane Aaya Hoon

 

Sultanul Hind Ki Chaukhat Par Lyrics

 

Sultanul Hind Ki Chaukhat Par
Taqdeer Banane Aaya Huñ!
Afsana-e-Dard-o-Hijr-o-Alam
Ro-Ro Kar Sunane Aaya Huñ!!

Sultanul Hind Ki Chaukhat Par
Taqdeer Banane Aaya Huñ!!

 

Kya Nazr Karuñ Kya Pesh Karuñ
Sarakar Kisi Qabil He Nahiñ!!
Kuchh Phool Aqidat Ke Haiñ
Jinhe Turbat Pe Chadhane Aaya Huñ!!

Sultanul Hind Ki Chaukhat Par
Taqdeer Banane Aaya Huñ!!

 

Sadqe Me Janab-e-Usmañ Ke
Mujh par Bhi Karam Ki Ek Nazar!!
Maiñ Jaamnagar Se Ajmer Talak
Fariyad Sunane Aaya Huñ!!

Sultanul Hind Ki Chaukhat Par
Taqdeer Banane Aaya Huñ!!

 

Jab Raaz-o-Niyaz Ka Aalam Ho
Allah Se Hoti Hoñ Baateñ!!
Us Waqt Na Bhooleñ Aap Mujhe
Ye Yaad Dilaane Aaya Huñ!!

Sultanul Hind Ki Chaukhat Par
Taqdeer Banane Aaya Huñ!!

 

Kya Bole Mubiñ Aakhir Mujhse
Kyuñ Khwab Me Aana Chhor Diya!!
Roothe Huye Apne Khwaja Ko
Maiñ Aaj Manane Aaya hun!!

Sultanul Hind Ki Chaukhat Par
Taqdeer Banane Aaya Huñ!!

 

Deedar Ka Dil Me Shouq liye
Kahta Hai Tumhara Ye Sayyad!!
Sultanul Hind Ke Jalwoñ Ko
Aankhoñ Me Basane Aaya Huñ!!

Sultanul Hind Ki Chaukhat Par
Taqdeer Banane Aaya Huñ!!

 

Manqabat Khwan: Sayed Abdul Qadri Al-Qadri

 

 

Sultan-Ul-Hind-Ki-Chokhat-Par-Taqdeer-Banane-Aaya-Hoon
Sultan-Ul-Hind-Ki-Chokhat-Par-Taqdeer-Banane-Aaya-Hoon

 

सुल्तान-उल-हिन्द की चौखट पर तक़दीर बनाने आया हूँ
अफ़्साना-ए-दर्द-ए-हिज्र-ओ-अलम रो रो कर सुनाने आया हूँ

हाँ ! चश्मा-ए-फ़ैज़-ए-रहमत पर मैं प्यास बुझाने आया हूँ
मैं चिश्त के मय-ख़ाने वाली सहबा छलकाने आया हूँ

क्या भूल हुई आख़िर मुझ से, क्यूँ ख़्वाब में आना छोड़ दिया
रूठे हुए अपने ख़्वाजा को मैं आज मनाने आया हूँ

क्या पेश करूँ, क्या नज़्र करूँ, सरकार ! किसी क़ाबिल ही नहीं
कुछ फूल ‘अक़ीदत के हैं जिन्हें तुर्बत पे चढ़ाने आया हूँ

बेताब है दिल, बेचैन है जाँ, राहत का कोई सामान नहीं
जलता है मेरा ख़िरमन जिस से, वो आग बुझाने आया हूँ

सदक़े में जनाब-ए-उस्माँ के, मुझ पर भी करम की एक नज़र
धोराजी से अजमेर नगर फ़रियाद सुनाने आया हूँ

जो बख़्त के मारे आते हैं, काम उन के यहाँ बन जाते हैं
ख़्वाबीदा-मुक़द्दर हूँ मैं भी, तक़दीर जगाने आया हूँ

जब राज़-ओ-नियाज़ का ‘आलम हो, अल्लाह से होती हों बातें
उस वक़्त न भूलें आप मुझे, ये याद दिलाने आया हूँ

दीदार का दिल में शौक़ लिए कहता है तुम्हारा ये सय्यद
सुल्तान-उल-हिन्द के जल्वों को आँखों में बसाने आया हूँ

ना’त-ख़्वाँ:
जावेद रज़ा क़ादरी बासनी
अल्लामा हाफ़िज़ बिलाल क़ादरी

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,353 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...528 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment