Tum Se Jo Gurayzaan He Farzana Wo Diwana Lyrics
Tum Se Jo Gurayzaañ He Farzana, Wo Diwana
Shaida Jo Huwa Tum Par Diwana, Wo FarzanaAa Jaa Dil e Weeraañ Me, Tera Ho Ye Kaashana
Lil’llah Karam Farma Ay Jalwa e Jaanana
Aankhoñ Se Pila Wo May, Sarmast Rahuñ Jis Se
Bharde Mera Paimaana Ay Saaqi e Maikhaana
Wo Abr e Bahaar Aaya Har Shay Pe Nikhaar Aaya
Laa Jald Mere Saaqi De Saaghar o Paimaana
Kya Raat Ke Parde Se Chupke Se Sahar Nikli
Ya Jaan e Dil-aara Ne Zulfoñ Me Kiya Shaana
Badkaar Sahi Lekin, Banda Huñ Tere Dar Ka
Mahroom Na Rakh Mujh Ko Ay Shaan e Karimaana
Yuñ Thaam Ke Daaman Ko Machla He Sar e Mahshar
Dekhe Ko-ee Akhtar Ka Ye Naaz e Ghulamaana
Popular Posts

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...21 views
नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया ! / Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Be-Misaal Aaya, Kamaal Aaya !नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !...16 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...16 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...15 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...11 views