Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakhon Salaam Lyrics English And Urdu Translation

Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakhon Salaam Lyrics English And Urdu Translation

 

 

Mustafa jaane rehmat peh lakho salaam
Sham-e-bazm-e hidaayat peh lakho salaam

Hum ghareebon ke aaqa pe behad Durood
Hum faqeeron ke sarwat peh lakho salaam,

Jis ki tasqee se rote huwe has pare
Us Tabassum ki aadat peh lakho salaam

Door o nazdeek ke sunne wale wo kaan
Kaan e laal e karaamat peh lakho salaam

Jis ko baare wo aalam ki parwa nahin
Aise baazon ki kuwat peh lakho salaam

Ghaus-e-azam immaamat tuqa wan nuqa
Jalwa e shaan e qudrat peh lakho salaam

Hind ke baadshah deen kai wo moin
Khaawja e dinno millat peh lakho salaam

ek mera hi rehmat mai daawah nahin
Shah ki sari ummat peh lakho salaam

Kaash mehshar mai jab un ki aamad ho aur
Behje sab un ki shauqat peh lakho salaam

Mujhse kidmat ke kudsi kahe ha raza
Mustafa jaan e rehmat peh lakho salaam

Daal di qalba mai azmate Mustafa
Sayyadi Ala Hazrat peh lakho salaam

Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakhon Salaam Lyrics English And Urdu Translation

Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pe Laakhon Salam
Sham E Bazme Hidayat Pe Laakhon Salam

Shahre Yaare Iram Tajdare Haram
Nau Bahare Shafat Pe Laakhon Salam

Ham Garibo Ke Aaqa ﷺ Pe Behad Durood
Ham Faqeero Ke Sharwat Pe Laakhon Salam

Jis Suhani Ghadi Chamka Taiba Ka Chand
Us Dil Afroz E Saa’At Pe Laakhon Salam

Jis Taraf Uth Gayi Dam Mein Dam Aa Gaya
Us Nigahe Inayat Pe Laakhon Salam

Jiske Mathe Shafa’At Ka Shahra Saja
Us Jabene Sa’Aadat Pe Laakhon Salam

Jinke Sajde Ko Mahrabe Kaaba Jhuki
Un Bhawo Ki Latafat Pe Laakhon Salam

Gause Azam Imaamo To Kawan Nuka
Jalwa-E-Shan-E-Qudrat Pe Laakhon Salam

Door O Nazdik Ke Sunne Wale Wo Kan
Kane Laale Karamat Pe Laakhon Salam

Kash Mehsar Mein Jab Unki Aamad Ho
Aur Bheje Sab Unki Saukat Pe Laakhon Salam

Sayyada Zahira Tayyaba Tahira
Jan-E-Ahmad ﷺ Ki Rahat Pe Laakhon Salam

Daal Di Qalb Mein Azmate Mustafa ﷺ
Sayyadi Aalahazrat Pe Laakhon Salam

Sulhekulli Jale Aur Wahabi Mare
Maslake Aalahazrat Pe Laakhon Salam

Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Han Raza
Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pe Laakhon Salam
Sham E Bazme Hidayat Pe Laakhon Salam

 

 

Mustafa jaane rahmat pe lakhon salaam

Sham-ay bazme hidayat pe lakhon salaam

Millions of salutations on Mustafa, the Paragon of mercy.

Millions of salutations on the light of guidance.

Jis taraf uth gayee dam mein dam aagaya
Uss nigaah e inaayat pe laakhon salam
Wheresoever it fell, Life itself was revived
Peace be upon that life-bestowing gaze

Kis ko dekha yeh Musa se pooche koyi
Aankhon walon ki himmat pe laakhon salam
Whom did he see? Let someone enquire of Moses
Peace be upon the courage of one with such eyes!

Door o nazdeek ke sun-ne waale woh kaan
Kaan e la’l e karaamat pe laakhon salam
Those ears which can hear from both near and from afar
Peace be upon that mine: rubies of charismata!

Patli patli gul e quds ki patiyaaN
Un laboN ki nazaakat pe laakhon salam
How delicate the petals of that holy rose!
Peace be upon the exquisiteness of those lips!

Jinke guchche se lachche jhaRein noor kay
Un sitaaroN ki nuzhat pe laakhoN salam
From his clustered pearls, radiate those roots of light
Peace be upon the enchantment of those stars!

Woh dahan jis kii har baat wahi e Khuda
Chasma e ‘ilm o hikmat pe laakhon salam
A mouth whose every word is divine revelation!
Peace be upon the fount of knowledge and wisdom

Jiske paani se shaadaab jaan o jinaan
Us dahan ki tarawaT pe laakhon salam
Its water makes both spirits and gardens verdant
Peace be upon the moisture of such a mouth!

Jis se khaaray kunwein sheerah-e-jaan banay
Uss zulaal halaawat pe laakhon salam
From it salty wells became sweet like syrup
Peace be upon that sweet, clear, spring water!

Voh zubaan jis ko sab kun ki kunji kehein
Uski nafiz hukumut pe laakhon salam
A tongue which is known to all as the key to `Be!’
Peace be upon its effective commandments

Uski pyaarii fas aahat pe bayhad durood
Uski dilkash balaaghat pe laakhon salam
Countless blessings upon his lovely speech
Peace be upon his heart-enticing eloquence!

Uski baaton kii lazzat pe laakhon durood
Uskay khutbay kii haybat pe laakhon salam!
Countless blessings upon the pleasure of his words!
Peace be upon the majesty of his sermons

Khat kii gird dahan who dil-aara phaban
Sabza i nahr e rahmat pe laakhon salam
A beard around the mouth – striking loveliness!
Peace be upon that beard of the stream of mercy!

Jis mein nehrein shîr o shakar kii rawaaN
Us galay kii nazaarat pe laakhon salam
From it are flowing streams of milk and honey
Peace be upon the freshness of such a throat!

Hajr e aswad e Ka’aba e jaan o dil
Ya’ni mohr e Nabuwwat pe laakhon salam
The Black Stone of the Ka’aba of the heart and soul!
Peace be upon the Seal of Apostleship!

Bay-saheem o qaseem o adeel o maseel
Johar e fard e izzat pe laakhon salam
No partner, sum total, matchless, unparalled!
Peace be upon this unique, solitary pearl!

Jis ko baar e do aalam kii parwaa nahin
Aisay baazoo kii quwwat pe laakhon salam
The arm oblivious to the weight of both worlds
Peace be upon the power of such an arm!

Ka’aba e deen o imaan kay donon sutoon
Sa’idayn e Risaalat pe laakhon salam
Two pillars of the Ka’aba of Faith, Religion
Peace be upon the two wrists of Prophethood

HaaTh jis simt uThaa ghanii kardiya
Mawj e bahr e samaaHat pe laakhon salam
Wherever his hand was raised he made others rich
Peace be upon the waves of this Sea of Bounty

Noor kay chashmay lehrain, daryaa behein
Ungliyon kii karaamat pe laakhon salam
Fountains of light do cascade, and rivers flow out
Peace be upon the miracle of the fingers!

Dil samajh se waraa’ hai magar yoon kahoon:
Ghuncha e raaz e wahdat pe laakhon salam
Your heart is beyond my knowledge but I shall say this:
Peace be upon the bud holding secrets of Oneness!

Kul jahan milq aur jaw kii roTi ghiza
Us shikam kii qana’at pe laakhon salam
The world’s his dominion yet he eats barley bread!
Peace be upon the contentedness of that stomach!

Jo ke `azm e shafa’at pe khinchkar bandhii
Uss kamar kii hamaayat pe laakhon salam
It was tightened with the intention of Intercession
Peace be upon the protection of that waist!

Anbiya teh karein zaanoo Inkay huzoor
Zanoo’on kii wajaahat pe laakhon salam
Messengers do bend their knees in their presence
Peace be upon the dignity of such knees!

Saaq e asl e qadm, shaakh e nakhl e karam
Shama’ e raah e isaabat pe laakhon salam
Antiquity: his essence’s stem; grace: his palm tree’s branch
Peace be upon the candle of the Straight Path!

Khaaii Qur’an ne khaak e guzar kii qasam
Uss kaf e paa kii hurmat pe laakhon salam
The Qur’an gave an oath by the dust of thy path!
Peace be upon the reverence of such a foot!

Qad e bay-saaya kay saaya-e-marhamat
Zill e mamdood o raafat pe laakhon salam
The shadow of mercy of his shadowless stature
Peace be upon that extended, kindly shadow!

Jis kay aagay sar e sarwaraan khum rahain
Us sar e taaj e rif’at pe laakhon salam
The heads of the rulers remain bowed before it
Peace be upon the crown on his towering head!

Shabnam-e-baagh e Haqq, ya’ani rukh kaa `arq
Us kii sachchii baraaqat pe laakhon salam
Dew from Truth’s garden: beads of sweat from his face
Peace be upon his pure veracious brilliance!

Bheenii bheenii mehak par mehaktii durood
Pyaarii pyaarii nafaasat pe laakhon salam
Fragrant blessings be upon such delicate fragrance!
Peace be upon such lovely, lovely refinement!

”Mustafa Jaan e Rahmat pe Laakhon Salaam” is the famous urdu language salawaat and salaam written by the Mujaddid of the 19th Century and Imam of the Ahl e Sunna in the Subcontinent, Ahmad Riza Khan, may Allah be pleased with him. It has not only been lauded as a work of prose for its unique composition and style but by leading religious scholars for its beautiful distillation of core Islamic beliefs.

Like its famous Arabic predecessor, the Qaseeda Burdah, each of its 171 sonnets is based on the teachings of the Qur’an and Ahadith and alongwith fulfilling the compulsion of presenting Salawaat and Salaam upon Allah’s Beloved, May Allah bless him and grant him peace, it also details the Islamic creed; describes the Prophet’s May Allah bless him and grant him peace, virtues, khasaais (particularities), Khilq (physique) and his Khulq (character) together with narrating his miracles and his major events.

Finally, in true Islamic fashion, it sends blessings upon the Companions, Ahl ul Bait, Ulama and Awliyaa, before finishing with a supplication for blessings upon one’s teachers and parents.

This first volume of the English explanation of the famous salaam covers the first 22 sonnets which focus on the Prophet’s khasaais. This will not only be of interest to those who recite and hear this salaam but to all those who have a genuine in interest in increasing their love for the Prophet, May Allah bless him and grant him peace, by getting to know him more.

Muft Muhammad Khan Qaadri:

He is the first to begin and publish an Urdu translation of Imam Raazi’s epic famous ‘Tafseer Kabeer’

 

 

Allah Ta’ala Ka Irshaad Hai:
Beshak Allah Aur Us Ke Firshte, Durood Bhejte Hain Us Ghaib Batane Wale (Nabi) Par,
Aye Imaan Walon Un Par Durood Aur Khoob Salam Bhejo – Apne Rab Ke Is Irshad Par
Amal Har Imaan Wala Karta Hai – Koi Kam, Koi Zyada, Koi Bahut Zyada, Haan Is
Hukam-e-Rabbi Par Buzrgon Ka Amal Ka Apna Andaaz Nirala Hota Hai – Har Allah Wale
Ne Apni-Apni Zabaan Me Sayyad-e-Aalam Sallallahu Ta’ala Alayhi Wa Sallam Par
Salam Bheja- Magar Urdu Zabaan Mein Aala Hazrat Ke Salam “Mustafa Jane Rahmat”
Pe Lakhon Salam” Ko Jo Maqbooliyat Hasil Hai – Itni (Maqbooliyat) Kisi Salam Ko NahiSalam-e-Raza ke Chand Sher Sharah ke Sath Mulahiza Farmaye: Aala Hazrat Faazil
Faazil-e -Barailvi Farmate Hain:
Mustafa Jane Rahmat Pe Lakhon Salam;
Sham-e-Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam.
“Mustafa” Huzoor Sayyad-e-Aalam Sallallahu Ta’ala Alayhi Wa Sallam Ka Naam Hai, Jis
Ke Mane Hai Muntakhab Wa Barguzeeda (Chune Huye Dost) Yaani Woh Zaat Jo
Tamam Kaiynaat Se Barguzeeda Wa Afzal Hai. Jane Rahmat Ke Mane Sarapa Rahmat
Yaani Sar Se Paa (Paun) Tak Rahmat Hi Rahmat Ya Yun Kahiye Rahmat Ki Jaan
Hai.Shama—>Yaani Chiraag Bazme Hidayat Se–> Jamaat-e-Ambiya Alaihimussalam
Muraad Hain.
Khulasa Ye Hai Ki: Tamaam Nabiyon Aur Rasoolon Ki Mahfil Ki Shama Par Aur Sar Se
Lekar Paaon Tak Rahmat Wale Mustafa Par Lakhon Salam.
Mehre Charkhe Nubuwwat Pe Roshan Durood
Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakhon Salaam
Mehre—> Sooraj, Charkh—>Asmaan, Gul—->Phool, Risalat—>Paighambari.
Asmane Nubuwwat Ke Sooraj Par Roshan Durood Aur Risalat Ke Baagh ke Phool Par
Lakhon Salam.
SHARAHE SALAM E RAZA
3
Shahre Yaare Iram Tajdar e Haram
Nou Bahaare Shafa’at Pe Lakhon Salam
Shahre Yaare Iram—>Jannat Ke Badshah, Tajdar-e-Haram—>Kaabe Ke Sahib-e-Taj
Nau Bahar—> Nayi Raunak, Shafa’at —> Gunahgaron Ki Maafi Ke Liye Sifarish karna.
Yahan Shahre Yaar-e-Iram Yaani Jannat Ke Badshah (Malik) Ki Sharah Karna Main
Zaroori Samjhta Hun. Hazrate Abdullah Bin Abbas Radhi Allahu Ta’ala Anhu Se Marwi
Hai, Rooz-e-Qayamat Rizwan-e-Jannat, Ahal-e-Mahshar se Mukhatib Ho Kar Kahega Ki
Mujhe Allah Ta’ala Ne Jannat Ki Chabiyan Muhammad Sallallahu Ta’ala Alayhi Wa
Sallam Ko Supurd Kar Dene Ka Hukm Diya Hai.
(Madarij-un-Nabuwat)
Yahan Ikhtesar Ke Taur Par Sirf Ek Hadis Pesh Ki Gayi Halanki Qur’an Aur Hadis Aap Ke
Malik-e-Jannat Hone Par Shahid Hai, Aala Hazrat Farmate Hain, Apni Ek Naat Mein:
Main To Malik Hi Kahunga, Ki Ho Malik Ke Habeeb,
Yaani Mahboob-o-Muhib Mein Nahi Mera Tera.

 

Nau Bahar-e-Shafaat Se Murad Yeh Hai Ki Shafaat Ka Darwaza Hamare Aaqa Sayyade-Aalam Sallallahu Ta’ala Alayhi Wa Sallam Se Hi Khola Jayega – Is Suboot Me Ek Hadis
Mulahiza Farmaye: Hazrat Abu Hurairah Radhi Allahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai, Ki
Nabi-e-Kareem Sallallahu Ta’ala Alayhi Wa Sallam Ne Farmaya – Rooz-e-Qayamat
Main Tamam Aulad-e-Adam Ka Sarbarah Hounga, Phir Is Ki Tafseel Yun Bayan
Farmayai, Ki Allah Ta’ala Mahshar Mein Awwaleen Wa Akhireen Ko Jama Karega, Jab
Wahan Ki Germi Bardasht Na Kar Sakenge, Apas Mein Mashwara Karenge, Ki Hume
Koi Aisi Shakhsiyat Talash Karni Chahiye, Jo Allah Ta’ala Ke Huzoor Hamari Sifarish
Kare- Sab Se Pahle Hazrat Adam Alayhiṣ-Salām ki Khidmat Me Hazir Hokar Arz
karenge – Ki Aap Abul Bashar Hain Allah Ta’ala Ne Aap Ko Apne Dast-e-Aqdas Se Paida
Farma Kar Malaaika Ko Sajde Ka Hukm Diya Phir Aap Jannat Mein Rahe, Hamari Halat
Par Rahem Khate Huye Apne Rab Ki Bargaah Mein Hamari Sifarish Karen – Aap
SHARAHE SALAM E RAZA
4
Kahenge Mera Rab Aaj Itne Ghazab Mein Hai, Ki Is Se Pahle Na Kabhi Hua Aur Is Ke
Baad Na Kabhi Hoga – Mujhe Us Ne Darakht Ke Paas Jane Se Mana Farmaya, Mujh Se
Laghzish Ho Gayi, Mujhe Apni Fikr Hai Kisi Aur Ki Khidmat Mein Jao – Isi Tarah
Tamaam Ambiya Alayhimuṣ-Salām Ke Paas Khalk-e-Khuda Jayegi Magar Sab Nabi Yahi
Jawab Dete Jayenge Ki Kisi Aur Ke Paas Jao- Hamen Apni Fikr Hai Kisi Aur Ko Sahara
Banao, Rab Itna Ghazab Mein Hai Ki Kisi Ko Wahan Zubaan Kholne Ki Jurrat Nahi. Phir
Loog Hazrat Isa Alayhimuṣ-Salām Ke Paas Hazir Honge To Aap Farmayenge Ki Sifarish
To Main Bhi Nahi Kar Sakta Magar Ek Aisi Hasti Ka Pata Batata Hun Jise Allah Ta’ala Ne
Duniya Me Hi Bakhshish Ka Muzda Suna Diya Tha – Tamaam Makhlooq Ab
Muhammad-e-Arbi Sallallahu Ta’ala Alayhi Wa Sallam Ke Aastane Par Hazir Ho Kar Arz
Karegi, Ki Aap Allah Ke Habeeb khatumunnabieen Hain Aur Aap Ko Allah Ta’ala Ne
Maghfirat Ka Muzda Ata Farmaya Hai, Hamari Halat Par Nazr-e-Karam Karte Huye
Rabb-e-Kareem Se Hamari Sifarish Kijiye. Aap Farmayenge Haan Shafaat Ke Liye Main
Hi Hun Aur Main hi Tumhara Matloob Hun, Fir Aap Farmate Hain Ki Main Arsh Ke
Niche Allah Ta’ala Ki Bargaah Mein Sajda Rez Hon Jaunga. Mujhe Allah Pak Apni Zaat
Ki Hamd-o-Sana Mein Aise Kalimaat Ata Farmayega Jo Aaj Tak Mere Ilawa Kisi Ko Hasil
Na Honge – Jab Main Uski Hamd-o-Sana Karunga Mera Rab Mujhse Farmayega, Ki Aye
Pyare Sar Uthayie Magiye Ata Kiya Jayega, Shafaat Kijiye Shafaat Qubool Ki Jayegi
Main Arz Karunga Maula Ta’ala Makhlooq Ka Hisaab Shuru Farma. Us Waqt Tamaam
Insanon Ka Hisaab Shuru Ho Jayega.Is Shafaat Ko Shafaat-e-Qubra Kaha Jata Hai.
Isi Ko Aala Hazrat Ne Shafaat Ki Nai Bahar Yaani Bahar-e- Shafaat Farmaya:
Shab-e-Ashra Ke Dulha Pe Daa’im Durood
Nausha e Bazme Jannat Pe lakhon Salaam
Shab-e-Ashra—>Meraj Ki Raat, Daa’im—>Humesha, Nausha—>Dulha Yaani
SarbarahBazm-e-Jannat—>Majlis-e-Jannat, Mahfil-e-Jannat, Arsh Ki Zaibo Zeenat Pe
Arshi Durood, Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe laakhon Salaam, Arsh—>Allah Ta’ala Ki Jalwa
Gaah, Zaibo Zeenat —>Husn-o-Sajawat,, Arshi—>Arsh Wala, Farsh—>Zameen, Teeb–
->Mahek, Nuzhat—>Pakeezgi.
SHARAHE SALAM E RAZA
5
Arsh Ki Zaibo Zeenat Aur Zameen Ki Mahek Aur Pakeezgi Yaani Huzoor-e-Akram
Sallallahu Ta’ala Alayhi Wa Sallam Par Arsh Wala Durood Aur Lakho Salam –
Sahibe Raj’ate Shamso Saqqul Qamar
Naib E Daste Qudrat Pe Laakho Salaam

 

 

Sahib Sahibe Raj’ate—> Lautane Wale, Shams—> Sooraj, Shaq—> Cheerna, Qamar—
> Chaand, Naib—> Qayam Muqaam, Dast—> Hath, Qudrat—> Khudai Ikhtiyaraat
Yeh Hadees Shareef Se Sabit Hai Ki Huzoor Sallalahu Ta’ala Alayhi Wasallam Ne Sooraj
Ko Lautaya Aur Chaand Ko Ishaare Se Do Tukde Farmaye.Isi Ko Farmate Hai Ki Sooraj
Ko Lautane Wale, Chaand Ke Tukde Karne Wale Dast-e-Qudrat Par Lakhon Salam.
Jis Ke Zere Liwa Aadam o Man Siva
Uss Sazaye Siyadat Pe Laakhon Salaam
Zer—> Neeche, Liwa—> Jhanda , Man Siwa—> Unke Alawa Tamam Makhlooq
Sazaye—>Laiq, Siyadat—> Sardari.
Hadees-e-Pak Hai Ki Huzoor Sallalahu Ta’ala Alayhi Wasallam Ne Farmaya Ki Hamd Ka
Jhanda Mere Hath Me Hoga Magar Is Par Fakhr Nahi Adam Aur Unke Baad Aane
Wale Tamaam Ambiya Us Ke Neeche Honge Aur Mujhe Fakhr Nahi – Isi Hadees-e-Pak
Ki Taraf Ishara Hai Is Sher’ Me –
Arsh Taa Farsh Hai Jiske Zere Nageeñ
Uski Qaahir Riyaasat Pe Laakhon Salaam
Taa—> Tak, , Zere Naghi—> Taabe, Qahir—>Zabardast, Riyasat—> Hukoomat.
Aayat-e-Qura’ani Aur Beshumaar Ahadees Is Baat Par Shahid Hai Ki Arsh Se Farsh Tak
Sab Hamare Aaqa Ke Taabe – Aap Allah Ta’ala Ke Naib Hain. Isi Zabardast Hukumat Par
Salam Bhej Rahe Hai Aala Hazrat –
SHARAHE SALAM E RAZA
6
Khalq Ke Daad Ras, Sab Ke Fariyaad Ras
Kahfe Roze Musibat Pe Lakhon Salaam
Khalq—>Tamaam Makhlooq, Daad-Ras—>Madad Karne Wale, Faryad Ras—> Faryad
Sunne Wale, Kahf—> Jaye Panah Yaani Panah Ki Jagah, Roze Musibat Yaani Qayamat
Ka Din –
Aap khalq Ke Daad-Ras Hai Faryad-Ras Hain, Yeh Qur’an Aur Beshumaar Ahadees Se
Sabit Hai – Sharah Ki Zaroorat Nahi – Kahf Roze Musibat Yaani Qayamat Ke Roz Har
Shakhs Ke Liye Jaa-e-Panah Aap Hi Honge, Har Mushkil Mod Par Aapka Hi Sahara
Hoga. Maidan-e-Mahshar Me Sabse Jyada Mushkil Maqamaat Teen (3) Hain, Jahan
Koi Kisi Ka Nahi Hoga. Lekin Kareem Aaqa Sallalahu Ta’ala Alayhi Wasallam Har
Maqaam Par Mushkil Kushai Farma Rahe Honge – Hazrat Anas Radhi Allahu Ta’ala
Anhu Ke Bare Me Marwi Hai Ki Unhone Kareem Aaqa Sallalahu Ta’ala Alayhi
Wasallam Se Apni Shafaat Ka Wada Liya Jab Aapne Wada Farma Liya Uske Baad Aaqa
Aur Ghulam Ke Darmiyaan Jo Ghuftgu hui Woh Yeh Thi:
Arz Ki: Ya Rasool Allah. Sallalahu Ta’ala Alayhi Wasallam Aapko Kahan Talash Karun –
Farmaya: Sabse Pahle Mujhe Pulsiraat Par Talaash Karna –
Arz Ki: Agar Main Pulsiraat Par Na Mil Sakun – Farmaya: Meezaan Ke Paas Aa Jana -Arz
Ki: Agar Wahan Mulaqaat Na Kar Sakun To – Farmaya – Mujhe Hauz-e-Kausar Par
Talaash Karna Kyunki Main In Teen Maqamat Ko Nahi Bhool Sakta (Kyunki Yahi
Ummat Ke Liye Dushwar Tareen Maqamaat Hain)
Mujhse Bekas Ki Daulat Pe Lakhon Durood
Mujhse Bebas Ki Quwwat Pe Lakhon Salam
Bekas—> Mohtaaj Beyaar-o-Madadgaar,
Bebas—> Majboor, Kamzoor, Quwwat—> Taqat –
Upar Guzra Aap Tamaam Makhlooq Ki Faryaad Rasi Farmate Hain Har Mushkil Mauqe
Par Madad Farmate Hain – Aala Hazrat Bhi Apne Aaqa Ke Huzoor Iltija Kar Rahe Hain,
SHARAHE SALAM E RAZA
7
Ki Mein Be-Sahara, Bekas Hun Aur Aap Mera Sarmaya Hain, Poonji Hain, Aur Is
Quwwat-o-Taqat Par Lakhon Salam Farma Rahe Hain –
Hum Ghareebon Ke Aaqa Pe Behad Durood,
Hum Faqeeron Ki Sarwat Pe Lakhon Salam.

 

Sarwat Ke Mayne Hain Maal-o-Daulat Yani Hum Ghareebon Faqeeron Ke Malik Aur
Maal-o-Daulat To Sarkar Hi Hain – Hamare Paas Kuch Ho Ya Na Ho Hamari Sab Se Badi
Daulat To Aap Hi Hain, Kya Hi Pyara Andaaz Hai Ghareebon Ke Aaqa Par Durood Aur
Lakhon Salam Bhejne Ka –
Jiske Aage Sare Sarwara Kham Rahe
Us Sare Taaje-Rif’At Pe Lakhon Salam –
Hamare Aaqa Jin Ke Aage Bade-Bade Baadshahon Ke Sar Jhuk Gaye Aur Aise Sar Ke
Taaj Ki Bulandi Par Lakhon Salam –
Door-o-Nazdeek Ke Sunne Waale Woh Kaan,
Kaan-e-Laale Karaamat Pe Lakhon Salam
Kaan -e-Laal—> Jawarahton Ki Kaan (Khaan),, Karaamat —> Aala wa Anokhi
Jiske Mathe Shafa’at Ka Sehra Raha.
Us Jabeen e Sa’adat Pe Lakhon Salam
Jabeen—> Peshaani, Sa’adat—> Khush Bakhti, Khush Qismati
Jinke Sajde Ko Mehraab e Kaaba Jhuki
Unn Bhavon Ki Latafat Pe Lakhon Salam
Rahmat-e-Alam Sallalahu Ta’ala Alayhi Wasallam Ki Wiladat Ke Waqt Jin Ajaaibaat Ka
Zuhoor Hua Unme Se Ek Yeh Hai Ki Kaaba-e-Muazzama Nabi-e-Kareem Sallalahu
Ta’ala Alayhi Wasallam Ki Jaa-e-Wiladat (Paidaish Ki Jagah) Ki Samt Sajda Rez Ho Gaya
SHARAHE SALAM E RAZA
8
Ashq Baari e Mizgan Pe Barse Durood
Silke Durre Shafa’at Pe Lakhon Salam
Ashk Baari-e-Mizga—> Aansu Bahati Palke(Ummat Ki Yaad Me)
Silk—> Ladi, Durre – Moti.
Kiya Hi Pyare Andaaz Me Aala Hazrat Sarkar Ki Mubarak Palkon Par Salam Bhej Rahe
Hain Ki Aye Aaqa Hum Gunahgaron Ki Sha’afat Ki Khatir Aansu Bhari Palkon Par
Durood Barse Aur In Aansuon Se Jo Motiyon (Aansuon) Ki Ladi Bankar Hamari Shafaat
Kar Rahi Hai Un Aansuon Par Lakhon Salam Waah Waah Waah Waah –
Jis Taraf Uth Gayi Dam Me Dam Aa Gaya
Us Nigaah-e-Inayat Pe Lakhon Salam
Neechi Ankhon Ki Sharm-o-Haya Par Durood
Unchi Beeni Ki Rifa’at Pe Lakhon Salam
Beeni—> Naak, Rifa’at—> Balandi, Sarkar ki Nigah-e-Karam,, Ankhon Ki Sharm-o-Haya
Aur Naak Mubarak Ki Balandi Par Durood Aur Salam Pesh Kiya Hai –
Patli Patli Gul-e-Quds Ki Pattiyan
Un Labon Ki Nazakat Pe Lakhon Salam
Gul—> Phool, Quds—> Firdous Ka Baagh, Lab—> Hont
Woh Zaban Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahain
Uski Naafiz Hukumat Pe Lakhon Salam
Kun—>Ho Jaa, Kunji—> Chaabi, Naafiz Hukumat—> Jari Hukumat
Allah Ta’ala Ne Is Kaynat Me Apni Qudrat Ke Mukhtalif Mazahir Paida Farmaye Hain
Maslan Ambiya, Malaika, Auliya, Yeh Tamaam Allah Ta’ala Ki Taraf Se Supurd Karda
Zimmedariyon Ko Ahsan Andaaz Me Nibhaate Hain – Har Ek Ke Hasb-e-Haal Unhen
SHARAHE SALAM E RAZA
9
Allah Ta’ala Ne Qudrat Wa Ikhtiyar Bhi Diya Hota Hai Jiska Jaisa Martaba Hota Hai
Uska Waisa Darja Hota Hai – Uske Mutabiq Uske Ikhtiyaraat Hai – Chunki Khuda Ke
Baad Sayyadul Ambiya Ka Maqaam Hai Lihaza Allah Ta’ala Ke Baad Jiske Paas
Ikhtiyaraat Hain Woh Huzoor Ki Hi Zaat Hai Lihaza Allah Ne Aap Ko Yeh Ikhtiyaar Diya
Ki Aap Jo Farma Den Woh Ho Jata Hai Yaani Sarkar Ki Zubaan-e-Mubarak Ko Kun Ki
Kunji Kaha Jata Hai Aur Is Kun Ki Kunji Ki Hukumat Jaari Hai Us Par Lakhon Salam
Farma Rahe Hai Aala Hazrat –
Woh Dua Jis Ka Joban Bahare Qubool

Us Naseem-e-Ijaabat Pe Lakhon Salam
Joban—> Shabab , Bahar-e-Qubool—> Sharf-e-Qubooliyat ,
Naseem—> Subah Ki Khushboodar Hawa, Ijaabat—> Qubooliyat
Hamare Aur Aap Ke Aaqa Sallalahu Ta’ala Alayhi Wasallam ke Munh Se Nikli Dua
Zaroor Qubool Hoti Hai, Aur Uski Qubooliyat Par Lakhon Salam Farma Rahe Hain –
Jiski Taski Se Rote Hue Hans Pade
Us Tabassum Ki Aadat Pe Lakhon Salam
Taski—> Sukoon Pana, Tabassum—> Muskarana
Aapki Bargah-e-Aqdas Me Jo Bhi Ghamzada Pareshan Haal Aaya Uske Gham Ghalat
Ho Gaye Aur Woh Aisa Khush Hal Ho Gaya Ki Uski Khush Haali Par Shye Rashk Karne
Lagi – Isse Badhkar Kya Khush Haali Ho Sakti Hai Ki Aapki Bargah-e-Aqdas Me Hazir
Hone Wale Shakhs Ke liye Aur Qayamat Tak Ke Gunahgar , Siyahkar Hazreen Ke liye
Irshad-e-Khudawandi Hai Qur’an Farmata Hai:
“Agar Apni Janon Par Zulm Karne Wale Aapki Bargah-e-Aqdas Me Aa Jayen Aur Allah
Se Maafi Mange Aur Rasool Unki Sifarish Kar Den Woh Allah Ko Is Haal Me Pa Lenge Ki
Woh Tauba Qubool Karne Wala Aur Rahem Farmane Wala Hai.”
SHARAHE SALAM E RAZA
10
Ghamzadon Aur Gunahgaron Ko Sayyad-e-Aalam Sallalahu Ta’ala Alayhi Wasallam Ki
Muskarati Taskeen Par Lakhon Salam Bheje Aala Hazrat Ne –
Hath Jis Samt Utha Ghani Kar Diya
Mauj-e-Bahre Samahat Pe Lakhon Salam
Samt—> Taraf , Ghani—> Daulatmand , Baher—> Samandar , Samahat—> Ataa
Sarkar Ki Bargaah Me Jo Bhi Aata Khali Na Jaata Yahan Tak Ki Agar Aapke Paas Kuch
Na Hota To Karz Lekar Aane Wale Ki Zaroorat Poori Karte Isi Ko Farmaya – Sayyad-eAalam Sallalahu Ta’ala Alayhi Wasallam Ka Hath Jis Taraf Uth Gaya Usko Ghani Kar
Diya Aisi Ata Aur Dene Ke Samandar Ki Mauj Pe Lakhon Salam.
Jisko Baare Do Aalam Ki Parwah Nahi
Aise Baazoo Ki Quwwat Pe Lakhon Salam
Noor Ke Chashme Lahraye Darya Bahe
Ungliyon Ki Karamat Pe Lakhon Salam
Eid Mushkil Kushai Ke Chamke Hilaal
Nakhoono Ki Basharat Pe Lakhon Salam
Dil Samajh Se Wara Hai Magar Yun Kahun
Guncha-e-Raj-e-Wahdat Pe Lakhon Salam
Kul Jahan Milk Aur Jau Ki Roti Giza
Us Shikam Ki Qanaat Pe Lakhon Salam
Khai Qur’añ Ne Khaak-e-Guzar Ki Qasam
Us Kaf-e-Paa Ki Hurmat Pe Lakhon Salam
Baar-e-Do Aalam—>Dono Aalam Ki Zimmedari , Quwwat—> Taaqat , Eid—> Khushi,
Mushkil Kushai—> Mushkil Door Karna.
SHARAHE SALAM E RAZA
11
Hilaal—> Pahli Se Teesri Tareekh Tak Ka Chaand, Basharat—> Khushkhabri , Wara—>
Baala Tar Yaani Uncha , Guncha—> Shagufa , Raz-e-Wahdat—> Allah Ke Asrar-oRumooz Ka Markaz, Milk—> Milkiyat , Shikam—> Pet, Qanaat—Sabr, khaaq-Guzar—>
Shaher, Guzargaah , Hurmat—> Azmat ,Izzat.
Ummid Hai Lafzi Mayno Se Mafhoom Samjh Me Aa Jayega Tafseel Ke Liye Sharahe
Salam-e-Raza Urdu Dekhen –
Jis Suhani Ghadi Chamka Taiba Ka Chaand
Us Dil Afroz Sa’at Pe Lakhon Salam

 

Suhani—> Khoobsurat, Taiba—> Madina Pak Ka Naam, Dil Afroz—> Dil Zinda Karne
Wali, Sa’at—> Waqt, Ghadi.
Pehle Sajde Pe Rooz-e-Azal Se Durood
Yaad Gariye Ummat Pe Lakhon Salam
Rooz-e-Azal— Peechhe Ka Woh Waqt Jise Allah Ta’ala Hi Janta Hai, Yaadgari-eUmmat—> Ummat Ki Yaad Karna:
Is Sher Me Wiladat Ke Waqt Aap ka Sajda Karna Aur Ummat Ka Gham Khwari Ka Zikra
Hai – Aap Ummat Ke Liye Roya Karte, Maghmoom (Ranjeeda) Rahte, Baar-Baar
Ummat Ki Maghfirat Apne Rab Se Talab Farmate, Kahin Par Bhi Hum Gunahgaron Ko
Na Bhoole Aur Apne Rab Se Apni Ummat Ki Bakhshish Ki Basharat Pa li Aur Hum
Siyakaron Ko Bacha Liya –
Kis Ko Dekha Yeh Moosa Se Poochhe Koi
Aankh Walo Ki Himmat Pe Lakhon Salam
Is Sher Me Qissa-e-Toor Wa Meraj Bayan Karte Hue Aala Hazrat Muqaam-e-Kaleem
Aur Muqaam-e-Habeeb Me Farq Ki Taraf Ishara Farma Rahe Hain – Aur Maulana
Sayyad Muhammad Marghoob Akhtarul Haamdi Kya Hi Khoob Tazmeen Farmate Hain
Jis Se Sharah Bhi Ho Jayegi:
SHARAHE SALAM E RAZA
12
Fark Matloob-o-Taalib Ka Dekhe Koi,
Qissa-e-Toor O Meraj Samjhe Koi,
Koi Behosh Jalwon Me Gum hai Koi,
Kis Ko Dekha Yaha Musa Se Poochhe Koi,
Aankh Walon Ki Himmat Pe Lakhon Salam
Aage Aala Hazrat Farmate Hain:
Al-Garaz Unke Har Mu Pe Lakhon Durood
Unki Har Khu Wa Khaslat Pe Lakhon Salam,
Un Ke Har Naam o Nisbat Pe Naami Durood
Un Ke Har Waqt O Halat Pe Lakhon Salam,
Mu—>Baal, Khu-o-Khaslat—> Aadat-o-Ada, Nisbat—> Talluq—> Wasta, Naami-
>Mubarak Ya Badhne Wala
Aala Hazrat Ashaab (Sathi) Wa Itrat (Aulad) Par Salam Bhej Rahe Hain –
Unke Maula Ke Un Par Croron Durood
Unke Ashaab-o-Itrat Pe Lakhon Salam,
Sahabiyon Par Salam Bhejne Ka Andaaz Mulaahiza Farmaye –
Jis Musalman Ne Dekha Unhe Ek Nazar
Us Nazar Ki Basarat Pe Lakhon Salam
Jisne Bhi Imaan Ki Halat Me Ek Baar Bhi Sarkar Ko Dekha Woh Sahabi Hai Aur Is
Kaynat Ke Tamaam Aabid, Zaahid, Ghous, Abdaal Aur Aqtaab Jama Ho Jayen Tab Bhi
Sahabi Ke Maqaam Ko Nahi Pahuch Sakte – Isliye Aala Hazrat Us Nazar Ki Basarat
(Dekhna) Par Lakhon Salam Bhej Rahe Hain –
SHARAHE SALAM E RAZA
13
Jiske Dushman Le Lanat Hai Allah ki
Un Sab Ahal-e-Muhabbat Pe Lakhon Salam
Jo Huzoor Sallalahu Ta’ala Alayhi Wasallam Ka Dushman Hai (Jaise Tamaam Kafir,
Wahabi , Raafzi, Qaadyani, Devbandi, Ghair Muqallid, Maudoodi Jamaat Wale,
Tableeghi Jamaat Wale, Nadvi, Naichari, Chakdalvi Waghaira Sab Par Allah ki Lanat Ka
Zikra Karte Huye – Ahle Muhabbat Par Salam Bhej Rahe Hain – Jis Tarah Allah Ke Dost
Se Dosti Rakhna Zaroori Hai Usi Tarah Allah Wa Rasool Ke Dushman Se Dushmani Bhi
Zaroori Hai

Ghouse Aazam Ima-Muttuka Wannuka
Jalwa-e-Shaan-e-Qudrat Pe Lakhon Salam
Ghous—> Madad Karne Wale (Peerane Peer Shekh Abdul Qadir Jilani Radiallahu
Ta’ala Anhu Muraad Hain)
Ima-Muttuka —>Muttaqiyon Ke Imaan.
Wannuka –> Aur Pak Logon Ke Imaan
Jalwa—>Mazahar, Shaan-e-Qudrat—>Allah Ta’ala Ki Qudrat Ki Shaan.
Pak Logon Aur Muttaqiyon Ke Imaam Ghouse, Aazam (Mahboob-e-Subhani ,Qutub-eRabbani Shekh Abdul Qadir Jilani Radiallahu Ta’ala Anhu) Allah Ki Qudrat Ke Mazahar
Par Lakhon Ghouse Pak Tamaam Waliyon Ke Aaqa Aur Sardar Hain Bina Unke Faiz Ke
Koi Wali Koi Martaba Nahi Pa Sakta.
Be Azaabo Itaabo Hisaabo Kitaab
Ta Abad Ahal-e-Sunnat Pe Lakhon Salam,
Be Azaab—> Azaab Ke Baghair , Itaab—> Narazgi wa Jhidak, Ta Abad—>
HumeshaYahan Jannati Ki Nishaandehi Aur Tamaam Ahal-e-Sunnat Par Salam Hai.
Huzoor Sallalahu Ta’ala Alayhi Wasallam Ki Hadees Pak Hai: Ki Meri Ummat 73 Firqon
Mein Bant Jayengi 72 Jahannami Honge, Aur Ek Firqa (Ahle Sunnat) Jannati Hoga.
SHARAHE SALAM E RAZA
14
Mishkaat Shareef Ki Ek Hadees Hazrat Abu Umama Radhi Allahu Ta’ala Anhu Ne
Farmaya:
Mere Rab Ne Mujh Se Waada Farmaya Hai Ki Meri Ummat Ke 70 Hazaar Afraad
Jannat Me Dakhil Karunga Unka Na Hisaab Hoga Na Un Par Azaab. Fir Har Ek Sath 70
Hazaar Aur Mere Rab Ke Lap Me Se Teen Lap Ki Miqdaar Jannat Me Jayenge – Yahan
Unhin Sunni Jannatiyon Par Aala Hazrat Ne Salam Bheja Hai, Jo Bina Hisaab Wa Azaab
Ke Jannat Mein Jayenge –
Tere In Doston Ke Tufail Aye Khuda
Banda-e-Nang-e-Khalqat Pe Lakho Salam
Tufail- Waseela, Banda- Aala Hazrat Ki Apni Zaat Murad Hai ,
Nang- Aar, Khalqat- Makhlooq –
Is Sher Mein Aala Hazrat Khud Apne Liye Allah Ta’ala Se Salam Ki Dua Kar Rahe Hain Ki
Aye Allah Pak Apne In Tamaam Nek Bandon Ke Tufail Is Faqeer Par Bhi Rahmatain
Nazil Farma – Yeh Aala Hazrat Ki Rab Ke Huzoor Tavaazo Hai Ki Apne Aap Ko Kitna
Jhuka Ke Apne Rab Ki Bargah Me Pesh Kiya Yahi Allah Ko Pasand Hai –
Mere Ustad Maa Baap Bhai Bahen
Ahlo Wuldo Asheerat Pe Lakho Salam
Ek Mera Hi Rahmat Me Dawa Nahi
Shah ki Sari Ummat Pe Lakhon Salam
Ahal- Bibi, Wuld- Aulad, Asheerat- Khandan, Dawa- Haq Ki Maang
Shah- Badshah Yaani Sayyad-e-Aalam Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam –
In Ashaar Me Apne Ustad ,Maa-Baap, Bhai-Bahen Bibi, Sara Kunba , Sara Qabeela
Yahan Tak Ki Sarkar Ki Sari Ummat Par Salam Bhej Rahe Hain, Sari Ummat Me Bahut
Bade-Bade Gunahgar Bhi Aa Gaye To Un Par Salam Bhejna Jayez Hai- Yeh Baat Is
SHARAHE SALAM E RAZA
15
Tarah Bhi Sabit Hai Ki Har Insan Apne Zahir-o-Batin Ko Janta Hai Aur Apne Aapko
Gunahgar Samjhta hai Fir Bhi Har Namaz Me Apne Upar Salam Bhejta Hai Aur Jab
Gunahgaron Ko Apne Upar Salam Bhejna Jaiz Hai To Fir Kyun Wa Aala Hazrat Par Aur
Deegar Buzurgon Jaise Mufti-e-Aazam Waghairah Par Koi Salam Bheje Ya Apne Peer
Par Salam Bheje To Kyun Mana Hoga Ya Kyun Jaiz Na Hoga –
Kaash Mahshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shaukat Pe Laakhon Salam
Mujhse Khidmat Ki Qudsi Kahe Haan ‘Raza’
Mustafa Jane Rahmat Pe Laakhon Salam

 

In Ashaar Me Aala Hazrat Mujaddid Deen-o-Millat Kya Hi Pyari Dua Farmate Hue
Salam Ko khatm Karte Hai Ki Aye Mere Malik Jab Hashar Ke Din Aaqa-o-Maula
Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ki Tashreef Aawri Ho, Aur Sab Unki Shaan-o-Shaukat
Par Salam Bhej Rahe Hon Tab Us Waqt Khidmat Ke Qudsi Yaani Khidmatgaar Farishte
Yeh Kahen Ki Haan Raza, Haan-Haan Padho Jaise Duniya Me Padhte The, Padhwate
The Ab Bhi Padho “Mustafa” Jane Rahmat Pe Lakhon Salam.
Mere Dil Ki Gahraiyan Yeh Yaqeen Ke Saath Kah Rahin Hain Ki Aala Hazrat Jaisi
Hasti Ki Yeh Pyari Dua Kabhi Khali Na Jayegi, Aur Jab Aisa Hoga (In Sha Allah) Aur
Hamare Aur Aapke Aaqa Ahmad-e-Mujtaba, Muhammad Mustafa Sallallahu Ta’ala
Alaihi Wasallam Jalwa Afroz Honge Tamaam Makhlooq-e-Khudabandi Hogi Tamaam
Ambiya Honge, Tamaam Sahabi Honge Ghaus-e-Aazam Honge, Hamare Peer Aur
Peeron Ke Peer Bhi Honge Tamaam Hi Auliya Honge Aur Tamaam Ummati Honge Aur
Tamaam Ummat me To Hum Bhi Aa Gaye To Door Kahin Ya Sarkar Ne Karam Farmaya
To Qareeb (Unka Karam Ho Jaye To Door Aur Qareeb Kuch Nahi) In Sha Allah Ta’ala
Hum Aur Aap Bhi Honge Kya Manzar Hoga. – Jinki Tareef Ke Liye Koi Alfaaz Is Waqt
Nahi Pesh Kar Sakta Aur Aala Hazrat Ki Awaaz Ke Sath-Sath Hum Bhi Padhenge In Sha
Allah

 

 

 

popular posts

Leave a Comment