सू-ए-तयबा ये समझ कर हैं ज़माने जाते | Soo-e-Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jate | Ye Wo Roza Hai Jahan Dil Nahin Tode Jate

सू-ए-तयबा ये समझ कर हैं ज़माने जाते | ये वो रौज़ा है जहाँ दिल नहीं तोड़े जाते / Soo-e-Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jate | Ye Wo Roza Hai Jahan Dil Nahin Tode Jate
सू-ए-तयबा ये समझ कर हैं ज़माने जाते
ये वो रौज़ा है जहाँ दिल नहीं तोड़े जाते

ये है आक़ा की ‘इनायत, वो करम करते हैं
वर्ना हम जैसे कहाँ दर पे बुलाए जाते

भूल जाते थे सहाबा ग़म-ओ-आलाम अपने
देख लेते थे जो सरकार को आते जाते

रुत्बे सरकार के क्या ख़ल्क़ से जाने जाते
सब पे असरार-ए-इलाही नहीं खोले जाते

नूर की हद में फ़क़त नूर ही जा सकता है
सिर्फ़ अगर होते बशर ‘अर्श पे कैसे जाते ?

जिस्म के साथ उठाए गए जब कि ‘ईसा
नूर-ए-कामिल क्यूँ न शब-ए-अस्रा बदन से जाते

चश्म-ए-बातिन से मदीने के नज़ारे देखो
सिर्फ़ आँखों से ये मंज़र नहीं देखे जाते

ना’त-ख़्वाँ:
असद रज़ा अत्तारी
हाफ़िज़ डॉ. निसार अहमद मार्फ़ानी
मुहम्मद अफ़ज़ल नोशाही

 

soo-e-tayba ye samajh kar hai.n zamaane jaate
ye wo rauza hai jahaa.n dil nahi.n to.De jaate

ye hai aaqa ki ‘inaayat, wo karam karte hai.n
warna ham jaise kahaa.n dar pe bulaae jaate

bhool jaate the sahaaba Gam-o-aalaam apne
dekh lete the jo sarkaar ko aate jaate

rutbe sarkaar ke kya KHalq se jaane jaate
sab pe asraar-e-ilaahi nahi.n khole jaate

noor ki had me.n faqat noor hi jaa sakta hai
sirf agar hote bashar ‘arsh pe kaise jaate ?

jism ke saath uThaae gae jab ki ‘isa
noor-e-kaamil kyu.n na shab-e-asra badan se jaate

chashm-e-baatin se madine ke nazaare dekho
sirf aankho.n se ye manzar nahi.n dekhe jaate

Naat-Khwaan:
Asad Raza Attari
Hafiz Dr. Nisar Ahmed Marfani
Muhammad Afzal Noshahi

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...322 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...181 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...165 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...157 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...152 views

Leave a Comment