दर-ए-नबी पर ये उम्र बीते | ये रिफ़अत-ए-ज़िक्र-ए-मुस्तफ़ा है / Dar-e-Nabi Par Ye Umr Beete | Ye Rifat-e-Zikr-e-Mustafa Hai

दर-ए-नबी पर ये उम्र बीते | ये रिफ़अत-ए-ज़िक्र-ए-मुस्तफ़ा है / Dar-e-Nabi Par Ye Umr Beete | Ye Rifat-e-Zikr-e-Mustafa Hai
दर-ए-नबी पर ये ‘उम्र बीते, हो हम पे लुत्फ़-ए-दवाम ऐसा
मदीने वाले कहें मक़ामी हो उन के दर पर क़याम ऐसा

ये रिफ़’अत-ए-ज़िक्र-ए-मुस्तफ़ा है, नहीं किसी का मक़ाम ऐसा
जो बा’द ज़िक्र-ए-ख़ुदा है अफ़ज़ल, है ज़िक्र-ए-ख़ैर-उल-अनाम ऐसा

जो ग़म-ज़दों को गले लगा ले, बुरों को दामन में जो छुपा ले
है दूसरा कौन इस जहाँ में सिवा-ए-ख़ैर-उल-अनाम ऐसा

बिलाल तुझ पर निसार जाऊँ कि ख़ुद नबी ने तुझे ख़रीदा
नसीब हो तो नसीब ऐसा, ग़ुलाम हो तो ग़ुलाम ऐसा

नमाज़ अक़्सा में जब पढ़ाई तो अंबिया और रुसुल ये बोले
नमाज़ हो तो नमाज़ ऐसी, इमाम हो तो इमाम ऐसा

लबों पे नाम-ए-नबी जब आया, गुरेज़-पा हादिसों को पाया
जो टाल देता है मुश्किलों को, मेरे नबी का है नाम ऐसा

मुझ ही को देखो वो बे-तलब ही नवाज़ते जा रहे हैं पैहम
न कोई मेरा ‘अमल है ऐसा, न कोई मेरा है काम ऐसा

हुसैन क़ुरआँ के हैं वो क़ारी, जो नोक-ए-नेज़ा पे भी ये बोले
सिवा ख़ुदा के न सर झुकाना, दिया जहाँ को पयाम ऐसा

हैं जितने ‘अक़्ल-ओ-ख़िरद के दा’वे, सब उन की गर्द-ए-सफ़र में गुम हैं
कोई भी अब तक समझ न पाया, है मुस्तफ़ा का मक़ाम ऐसा

मैं, ख़ालिद ! अपने नबी पे क़ुर्बां, है जिन का ख़ुल्क़-ए-‘अज़ीम क़ुरआँ
है रौशनी जिस की दो जहाँ में, कहीं है माह-ए-तमाम ऐसा

शायर:
ख़ालिद मेहमूद नक़्शबन्दी

ना’त-ख़्वाँ:
यूसुफ़ मेमन
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ निसार अहमद मार्फ़ानी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी
मीलाद रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी

 

dar-e-nabi par ye ‘umr beete, ho ham pe lutf-e-dawaam aisa
madine waale kahe.n maqaami ho un ke dar par qayaam aisa

ye rif’at-e-zikr-e-mustafa hai, nahi.n kisi ka maqaam aisa
jo baa’d zikr-e-KHuda hai afzal, hai zikr-e-KHair-ul-anaam aisa

jo Gam-zado.n ko gale laga le, buro.n ko daaman me.n jo chhupa le
hai doosra kaun is jahaa.n me.n siwa-e-KHair-ul-anaam aisa

bilaal tujh par nisaar jaau.n ki KHud nabi ne tujhe KHareeda
naseeb ho to naseeb aisa, Gulaam ho to Gulaam aisa

namaaz aqsa me.n jab pa.Dhaai to ambiya aur rusul ye bole
namaaz ho to namaaz aisi, imaam ho to imaam aisa

labo.n pe naam-e-nabi jab aaya, gurez-paa haadiso.n ko paaya
jo Taal deta hai mushkilo.n ko, mere nabi ka hai naam aisa

mujh hi ko dekho wo be-talab hi nawaazte jaa rahe hai.n paiham
na koi mera ‘amal hai aisa, na koi mera hai kaam aisa

husain qur.aa.n ke hai.n wo qaari, jo nok-e-neza pe bhi ye bole
siwa KHuda ke na sar jhukaana, diya jahaa.n ko payaam aisa

hai.n jitne ‘aql-o-KHirad ke daa’we, sab un ki gard-e-safar me.n gum hai.n
koi bhi ab tak samajh na paaya, hai mustafa ka maqaam aisa

mai.n KHalid ! apne nabi pe qurbaa.n, hai jin ka KHulq-e-‘azeem qur.aa.n
hai raushni jis ki do jahaa.n me.n, kahi.n hai maah-e-tamaam aisa

Poet:
Khalid Mahmood Naqshbandi

Naat-Khwaan:
Yusuf Memon
Owais Raza Qadri
Hafiz Nisar Ahmad Marfani
Ghulam Mustafa Qadri
Milad Raza Qadri
Hafiz Tahir Qadri

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...322 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...183 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...165 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...158 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...152 views

Leave a Comment