चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale
चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले
मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले

बरसता नहीं देख कर अब्र-ए-रहमत
बदों पर भी बरसा दे बरसाने वाले

मदीने के ख़ित्त़े ! ख़ुदा तुझ को रखे
ग़रीबों फ़क़ीरों के ठहराने वाले

तू ज़िंदा है वल्लाह, तू ज़िंदा है वल्लाह
मेरे चश्म-ए-‘आलम से छुप जाने वाले

मैं मुजरिम हूँ, आक़ा ! मुझे साथ ले लो
कि रस्ते में हैं जा-ब-जा थाने वाले

हरम की ज़मीं और क़दम रख के चलना
अरे सर का मौक़ा’ है, ओ जाने वाले !

चल उठ जब्हा-फ़र्सा हो साक़ी के दर पर
दर-ए-जूद ऐ मेरे मस्ताने वाले !

तेरा खाएँ तेरे ग़ुलामों से उलझें
हैं मुन्किर ‘अजब खाने ग़ुर्राने वाले

रहेगा यूँ ही उन का चर्चा रहेगा
पड़े ख़ाक हो जाएँ जल जाने वाले

अब आई शफ़ा’अत की सा’अत अब आई
ज़रा चैन ले, मेरे घबराने वाल !

रज़ा ! नफ़्स दुश्मन है दम में न आना
कहाँ तुम ने देखे हैं चन्द्राने वाले

शायर:
इमाम अहमद रज़ा ख़ान

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
मीलाद रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ अहमद रज़ा क़ादरी

 

chamak tujh se paate hai.n sab paane waale
mera dil bhi chamka de chamkaane waale

barasta nahi.n dekh kar abr-e-rahmat
bado.n par bhi barsa de barsaane waale

madine ke KHitte ! KHuda tujh ko rakhe
Gareebo.n faqeero.n ke Thahraane waale

tu zinda hai wallah, tu zinda hai wallah
mere chashm-e-‘aalam se chhup jaane waale

mai.n mujrim hu.n, aaqa ! mujhe saath le lo
ki raste me.n hai.n jaa-ba-jaa thaane waale

haram ki zamee.n aur qadam rakh ke chalna
are sar ka mauqa’ hai, o jaane waale !

chal uTh jab.ha-farsa ho saaqi ke dar par
dar-e-jood ai mere mastaane waale !

tera khaae.n tere Gulaamo.n se uljhe.n
hai.n munkir ‘ajab khaane Gurraane waale

rahega yu.n hi un ka charcha rahega
pa.De KHaak ho jaae.n jal jaane waale

ab aai shafaa’at ki saa’at ab aai
zara chain le, mere ghabraane waale !

Raza ! nafs dushman hai dam me.n na aana
kaha.n tum ne dekhe hai.n chandraane waale

Poet:
Imam Ahmad Raza Khan

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Milad Raza Qadri
Hafiz Ahmed Raza Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,743 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...884 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...606 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...512 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...455 views

Leave a Comment