जहाँ भी हो वहीं से दो सदा सरकार सुनते हैं / Jahan Bhi Ho Wahin Se Do Sada Sarkar Sunte Hain

जहाँ भी हो वहीं से दो सदा सरकार सुनते हैं / Jahan Bhi Ho Wahin Se Do Sada Sarkar Sunte Hain
जहाँ भी हो वहीं से दो सदा सरकार सुनते हैं
सर-ए-आईना सुनते हैं, पस-ए-दीवार सुनते हैं

मेरी हर साँस उन की आहटों के साथ चलती है
मेरे दिल के धड़कने की भी वो रफ़्तार सुनते हैं

गुनहगारो ! दुरूद-ए-वालिहाना भेज कर देखो
वो अपने उम्मती का नग़्मा-ए-किरदार सुनते हैं

खड़े रहते हैं अहल-ए-तख़्त भी दहलीज़ पर उन की
फ़क़ीरों की सदाएँ भी शह-ए-अबरार सुनते हैं

मैं सदक़े जाऊँ उन की रहमतुल-लिल-‘आलमीनी के
पुकारो चाहे कितनी बार वो हर बार सुनते हैं

वो यूँ मिलते हैं जैसे ज़िंदगी में कोई मिलता है
वो सुनते हैं हर इक की और सर-ए-दरबार सुनते हैं

मुज़फ्फर ! जब किसी महफ़िल में उन की ना’त पढ़ता हूँ
मेरा ईमान है वो भी मेरे अश’आर सुनते हैं

शायर:
मुज़फ्फर वारसी

ना’त-ख़्वाँ:
सय्यिद ज़बीब मसूद
ओवैस रज़ा क़ादरी

 

jahaa.n bhi ho wahi.n se do sada sarkaar sunte hai.n
sar-e-aaina sunte hai.n, pas-e-deewaar sunte hai.n

meri har saans un ki aahato.n ke saath chalti hai
mere dil ke dha.Dakne ki bhi wo raftaar sunte hai.n

gunahgaaro ! durood-e-waalihaana bhej kar dekho
wo apne ummati ka naGma-e-kirdaar sunte hai.n

kha.De rehte hai.n ahl-e-taKHt bhi dehleez par un ki
faqeero.n ki sadaae.n bhi shah-e-abraar sunte hai.n

mai.n sadqe jaau.n un ki rahmatul-lil-‘aalmeeni ke
pukaaro chaahe kitni baar wo har baar sunte hai.n

wo yu.n milte hai.n jaise zindagi me.n koi milta hai
wo sunte hai.n har ik ki aur sar-e-darbaar sunte hai.n

Muzaffar ! jab kisi mehfil me.n un ki naa’t pa.Dhta hu.n
mera imaan hai wo bhi mere ash’aar sunte hai.n

Poet:
Muzaffar Warsi

Naat-Khwaan:
Syed Zabeeb Masood
Owais Raza Qadri

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...279 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...161 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...128 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...128 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...114 views

Leave a Comment