पुश्तों से मैं नसीर हूँ मँगता हुसैन का / Pushton Se Main Naseer Hun Mangta Hussain Ka

पुश्तों से मैं नसीर हूँ मँगता हुसैन का / Pushton Se Main Naseer Hun Mangta Hussain Ka

पुश्तों से मैं, नसीर ! हूँ मँगता हुसैन का
विर्से में मैं ने पाया है सदक़ा हुसैन का

काफ़ी है मेरे वास्ते नक़्द-ए-ग़म-ए-हुसैन
चलता है हर जहान में सिक्का हुसैन का

नबियों की रोज़-ए-हश्र ये फ़रमाइशें न हों
आज़ान हो बिलाल की, सज्दा हुसैन का

इस का सुबूत दे दिया असग़र की जंग ने
शेरों का शेर होता है बच्चा हुसैन का

मीज़ान-ए-हश्र की मुझे क्या फ़िक्र हो, नसीर !
भारी हमेशा रहता है पल्ला हुसैन का

शायर:
बाबा नसीर मियाँ नियाज़ी

ना’त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ नूर सुलतान सिद्दीक़ी
माहनूर अल्ताफ़
सय्यिद ज़बीब मसूद
हाफ़िज़ ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी

 

pushto.n se mai.n, Naseer ! hu.n mangta husain ka
wirse me.n mai.n ne paaya hai sadqa husain ka

kaafi hai mere waaste naqd-e-Gam-e-husain
chalta hai har jahaan me.n sikka husain ka

nabiyo.n ki roz-e-hashr ye farmaaishe.n na ho.n
aazaan ho bilaal ki, sajda husain ka

is ka suboot de diya asGar ki jang ne
shero.n ka sher hota hai bachcha husain ka

meezaan-e-hashr ki mujhe kya fikr ho, Naseer !
bhaari hamesha rehta hai palla husain ka

Poet:
Baba Naseer Miyan Niazi

Naat-Khwaan:
Hafiz Noor Sultan Siddiqui
Mahnoor Altaf
Syed Zabeeb Masood
Hafiz Ghulam Mustafa Qadri

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...88 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...70 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...59 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...41 views
Salam Aap Par Tajdare Madina Lyrics  Salam Aap Par Tajdare Madina Darood Aap Par Share Yaar Madina...37 views

Leave a Comment