Zindagi Ka Bharosa Nahin Lyrics
Zindagi Ka Bharosa Nahin, Zikr E Haider Kiya Kijiye
Akbat Bhi Sanwar Jaye Gi, Yeh Fariza Aada Kijiye.
Lakh Sajde Kiye Jaye, Phir Bhi Bakhsish Na Ho Paye Gi
Yeh Muhammad Ka Farman Hai, In Kay Ghar Say Wafa Kijiye.
Mar Bhi Jayein To Martay Nahin, Hum To Kasrat Say Darte Nahin
Kufr Hai Agar Wilaye Ali, Hum Ko Kafir Kaha Kijiye.
Dar Pay Aa Ker Yeh Shabir Kay, Aik Rahib Nay Ki Iltaja
Main Sawali Houn Shah E Zaman, Mujko Baitay Aata Kijiye.
Bughz E Haider Hai Bugz E Nabi, Yeh Najasat Hai Sab Say Bari
Jo Ali Say Adawat Rakhay, Dur Us Say Raha Kijiye.
Do Fariqain Main Aik Hi, Haq Pay Hota Hai Aie Dosto
Koun Jang E Jamal Main Magar, Haq Pay Tha Faisla Kijiye.
Ya Ali Mukhtar Hain, Anbiya Ke Madad Gar Hain
Jitnay Momin Hain Uqda Kusha, Unki Hajat Rawan Kijiye.
Aal E Ahmed Kay Zakir Muhib, Zikr Ghairoon Ka Kertay Nahin
App Shayer Hain Imran Ke, Maqabat He Likha Kijiye.
Zindagi Ka Bharosa Nahin, Zikr E Haider Kiya Kijiye
Aaqbat Bhi Sanwar Jaye Gi, Yeh Fariza Aada Kijiye.