ZAKAT KA BAYAAN- HINDI- ZAKAT KE EHKAM- AHMIYAT IN ISLAM
بسم الله الرحمان الرحیم
ZAKAT KA BAYAAN:
Al Quran : Zakat mufliso aur mohtajon aur uska kaam karne walon ka haq hai aur jinki diljoyee karni hai aur gulam ki gardan churhane mein aur
Qarzdaron ke Qarz (ada karne) mein aur Allah ki raah mein aur
musafir ko ye Allah ki taraf se muqarrar kiya hua hai aur
Allah janne wala hikmat wala hai
Surah Tauba (9) , Verse 60
(Aye Rasool’Allah!) Aap Farmao,
Beshaq! Mera Rab Rizq Wasi’a Farmata Hai Apne Bando Me Jiske Liye Chahe
Aur Tangi Farmata Hai Jiske Liye Chahe
Aur Jo Cheez Tum Allah Ki Raah Me Kharch Karo
Uske Badley Aur Dega Aur Woh Sabse Behtar Rizq Dene Wala Hai.
– (Sureh-Saba-34, Ayat 39)
Unki Misaal Jo Apne Maal Allah Ki Raah Me Kharch Karte Hai
Uss Dane Ki Tarah Hai Jisko Saat Baali Nikley Aur Unn Har Baaliyon Me Se Sou-Sou Daane Nikle
Aur Allah Uss Se Bhi Zyada Barhaaye Jiske Liye Chahe Aur Allah Wus’at Wala Ilm Wala Hai.
– (Sureh-Bakrah-02, Ayat 261)
Zakat San 2 Hijri Me Musalmano Par Farz Hui,Islam Me Shuru Se Hi Garibo Ki Madad Karne Par Tawajjoh Dilai Jati Thi. Par Iske Liye Koi Mukammal Qayda Nahi Tha. Daulatmand Jo Bhi Karte Apne Dilse Karte The. ALLAH Subhan Wa Ta’ala Ne Zakat Ko Islam Ka 3ra Rukn Karar Diya Aur Ab Musalmano Par Zakat Farz Hui.
Allah ta’ala farmata hai kamyabi pate hain wo log jo zakat adaa krte hai aur farmata hai jo kuchh tum kharch kroge Allah ta’ala uski jagah aur dega
aur Allah behtar rozi dene wala hai,aur farmata hai jo log bukhal karte hai uske sath jo Allah ne apne fazal se unhe diya wo ye gumaan na kare ki yeh unke liye achha hai balki yeh unke liye bura hai usi cheej ka qayamat ke din unke gale mein TauQ dala jaega jiske sath Bukhal kia hoga.
Zakaat Kin pe Farz hai?
( 1 ) Musalman Hona Yani Kafir Par Zakaat Farz Nahin
( 2 ) Baligh Hona Yani Na Baligh Par Zakaat Farz Nahin
( 3 ) Aaqil Hona Yani Deewane(Pagal) Par Zakaat Farz Nahin
( 4 ) Azaad Hona Yani Laundi Ghulam Par Zakaat Farz Nahin
( 5 ) Maalike Nisaab Hona Yani Jis Ke Paas Nisaab Se Kam Maal Ho Us Par Zakaat Farz Nahin
( 6 ) Pure Taur Par Maalik Ho Yani Is Par Qabza Bhi Ho
Tab Zakaat Farz Hai Warna Nahin
Maslan Kisi Ne Apna Maal Zameen Mein Dafan Kar Diya Aur Jagah Bhool Gaya
Fir Barson Ke Baad Jagah Yaad Aai
Aur Maal Mil Gaya Toh Jab Tak Maal Na Mila Tha Us Zamane Ki Zakaat Wajib Nahin
Kunki Nisaab Ka Maalik Toh Tha Magar Is Par Qabza Nahin Tha
( 7 ) Nisaab Ka Qarz Se Faarigh Hona
Agar Kisi Ke Paas Ek Hazar Rupye Hai
Magar Woh Ek Hazar Ka Maqrooz Bhi Hai Toh Us Ka Maal Qarz Se Faarigh Nahin
Lihazah Us Par Zakaat Nahin
( 8 ) Nisaab Ka Hajate Asliya Se Faarigh Hona
Hajate Asliyya Yani Aadmi Ko Zindagi Basar Karne Mein Jin Chizon Ki Zarurat Hai
Maslan Apne Rahne Ka Makan Jadey Garmiyon Ke Kapde Gharelu Saman
Yani Khane Pine Ke Bartan Charpaiyan Kursiyan Mezein Chulhe Pankhe Waghairah
In Maalon Mein Zakaat Nahin Kunki Yeh Sab Malo Saman Hajate Asliyya Se Farigh Nahin Hain
( 9 ) Maale Nami Hona Yani Badhne Wala Maal Hona
Khwah Haqeeqatan Badhne Wala Maal Jaise Maale Tijarat
Aur Charayi Par Chhodey Hue Janwar
Ya Hukman Badhne Wala Maal Ho Jaise Sona Chandi
Ki Yeh Isi Liye Paida Kiye Gae Hain Ki In Se Chizen Kharidi Jayen
Aur Bechi Jayen Taki Nafa-a Hone Se Ye Badhte Rahen
Lihazah Sona chandi Jis Haal Mein Bhi Ho Zewar Ki Shakl Mein Hon
Ya Dafn Hon Har Haal Mein Yeh Maale Nami Hain
Aur Inki Zakaat Nikalna Zaruri Hai
( 10 ) Male Nisaab Par Ek Saal Guzar Jana
Yani Nisaab Pura Hote Hi Zakaat Farz Nahin Hogi
Balki Ek Saal Tak Woh Nisaab Milk Mein Baqi Rahe Toh
Saal Pura Hone Ke Baad Is Ki Zakaat Nikali Jaye
Sone Ka Nisab Sadhe Saat Tolah Hai
Aur Chandi Ka Nisab Sadhe Bawan Tolah Hai
Sone Chandi Main Chaliswan Hissa Zakaat Nikaal Kar Ada Karna Farz Hai
Yeh Zaruri Nahin Ki Sone Ki Zakaat Mein Sona Hi
Aur Chandi Ki Zakaat Mein Chandi Hi Di Jaye
Balki Yeh Nhi Jayez Hai Ki Bazari Rate Se Sone Chandi Ki Qeemat Laga Kar Rupye Zakaat Mein Dein.
———————————————————–
Pahanne ke Zewraat ki zakat
———————————————————–
Amr ibn al-‘As Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Aurat Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke pass aayee uski beti bhi uskey saath thi aur uski beti ke haath mein soney (gold) ke do bade bade kangan they Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne pucha kya aap in kangano ki zakat dete ho ? usney kaha nahi , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya aapko ye pasand hai ki Qayamat ke din Allah aapko Aag ke kangan pahnaye ye sunkar usne usi waqt kangan utar diye aur aapki khidmat mein pesh kartey huye kaha ki ye Allah aur uskey Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke liye hai
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1550-Hasan
Abdullah bin shaddad Radi allahu anhu se rivayat hai ki hum log Aisha Radi allahu anha se paas gaye wo kahne lagi merepaas Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam aaye Aapne mere haath mein chandi ki anguthiyan dekhi aur farmaya , Aisha ye kya hai ? maine arz kiya ki ye maine isliye banwayee hai ki aapke liye banao singar karu , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne pucha , kya aap inki zakat ada karti ho maine kaha nahi , ya jo ALlah ko manzur tha kaha Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ye aapko jahannam mein je jaane ke liye kaafi hai (agar aap zakat nahi dogi to)
Sunan Abu dawud, Jild 1, 1552-Sahih
Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne
farmaya ki jisey Allah ne maal diya aur usney uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreeley ganjey saanp ki shakal ikhtriyar kar lega uski aankhon ke pass do siyah(black) nuqtey honge jaise saanp ke hote hain phir wo saanp uskey dono jabdo se usey pakad legaaur kahega ki main tera maal aur khazana hun
Sahih Bukhari , Jild 2, 1403
Importance of Sadqa Zakaat Khairaat –
रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया सदक़ा , सदक़ा करने वालों से कब्र की गर्मी को खतम कर देता है और मोमीन क़यामत के दिन अपने सदके का (यानि सदके की वजह से) साया हासिल करेगा
अस सिलसिला अस सहीहा , 1816
*******************************************
सदक़ा ए ज़रिया – मौत के बाद भी एक मुसलमान को पहुँचने वाला सवाब
हज़रत अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाये मोमीन को उसके आमाल और नेकियो में से उसके मरने के बाद जिन चीज़ो का सवाब पहुँचता रहता है वो ये है
1. इल्म जो उसने सिखाया और फैलाया
2. नेक और सालेह औलाद जो छोड़ गया,
3. विरासत में क़ुरान मजिद छोड़ गया
4. कोई मस्जिद बना गया,
5. मुसाफिरो के लिए कोई मुसाफिर खाना बनवा दिया
6. कोई नहर जारी कर गया
7. ज़िंदगी में सेहत और तंदुरस्ती की हालत में अपने माल से कोई सदक़ा निकाल दिया
तो इन सबका सवाब उसके मरने के बाद भी उसको मिलता रहेगा
सुनन इब्न माज़ा, जिल्द 1, 24
*******************************************
रसूल-अल्लाह ﷺ ने फरमाया जो तंगदस्त को मोहलत देगा उसको हर दिन के बदले सदक़े का सवाब मिलेगा और जो अदायीगी की मियाद गुज़रने के बाद भी मोहलत दे तो उसको दिए गये क़र्ज़े के बराबर हर रोज़ सदक़े का सवाब मिलेगा
सुनन इब्न माजा , जिल्द 2, 575-सही
*******************************************
रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया सदक़ा देने से कभी माल कम नही होता. और जो बन्दा किसी को माफ़ कर देता है तो अल्लाह सुबहानहु उसकी ईज़्ज़त बढ़ा देता है, और जो बन्दा अल्लाह सुबहानहु के लिए आजज़ी (नरमी) करता है तो अल्लाह सुबहानहु उसका दर्जा बुलंद कर देता है
सही मुस्लिम, जिल्द 6, # 6592
*******************************************
हज़रत अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो भी सोने और चाँदी का मालिक हो और उसकी ज़कात अदा नही करता हो तो उस सोने और चाँदी के तख्ते (प्लेट्स) बनाए जाएँगे और उसको जहन्नम की आग में गरम किया जाएगा फिर उसकी (ज़कात ना देने वाले की) पेशानी और करवटें (पहलू) और पीठ को दगा जायेगा , और जब वो ठंडे हो जाएँगे तो फिर से इनको गरम किया जाएगा और ये अज़ाब उसको उस दिन तक होता रहेगा जिसकी मिकदार (duration) पचास हज़ार साल है , फिर अल्लाह अपने बन्दों के बीच फ़ैसला फरमा देगा और वो जन्नत या जहन्नम की तरफ अपना रास्ता देख लेगा
सही मुस्लिम, जिल्द 3, 2290
******************************************
अमर बिन अल-‘आस रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की एक औरत रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के पास आई उसकी बेटी भी उसके साथ थी और उसकी बेटी के हाथ में सोने के दो बड़े बड़े कंगन थे आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने पूछा क्या आप इन कंगनो की ज़कात देते हो ? उसने कहा नही , आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया क्या आपको ये पसंद है की क़यामत के दिन अल्लाह आपको आग के कंगन पहनाए ये सुनकर उसने उसी वक़्त कंगन उतार दिए और आपकी खिदमत में पेश करते हुए कहा की ये अल्लाह और उसके रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के लिए है
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 1, 1550-हसन
————————————————
✦ अब्दुल्लाह बिन शद्दाद रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की हम लोग आईशा रदी अल्लाहू अन्हा से पास गये वो कहने लगी मेरे पास रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम आए आपने मेरे हाथ में चाँदी की अंगूठियाँ देखी और फरमाया , आईशा ये क्या है ? मैने अर्ज़ किया
की ये मैने इसलिए बनवाई है की आपके लिए बनाव सिंगार करूँ , आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने पूछा , क्या आप इनकी ज़कात अदा करते हो मैने कहा नही , या जो अल्लाह को मंज़ूर था वो कहा , फिर आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया ये आपको जहन्नम में ले जाने के लिए काफ़ी है (अगर तुम ज़कात नही दोगे तो)
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 1, 1552-
HAR DARD KI DAWA HAI SALLAY ALA MOHAMMED WITH LYRICS
Har dard ki dawa hai Salle ala Muhammad ,Tawize har bala hai Salle ala Muhammad .
Mahebube Kibriya hai Salle ala Muhammad ,Kya Naksha khushnuma hai Salle ala Muhammad .
Kurb-e-Khuda ho hasil , Jannat me wo ho dakhil ,Jisne likha padha haì Salle ala Muhammad .
Jannat makam hoga , Dozakh haram hoga ,Gar dilpe likhdiya hai Salle ala Muhammad .
Uski najat hogi , Rahmat bhi sath hogi ,Jo padhke margaya hai Salle ala Muhammad .
Jo dard la dawa ho ye ghol kar pi lo ,Kya nuskha-e-Shafa haì Salle ala Muhammad