Ye Kis Shehenshah E Wala Ki Amad Amad Hai
Ye Kis Shehenshah E Wala Ki Amad Amad Hai
Bolo Marhaba Bolo Marhaba
Ye Konse Shah E Bala Ki Amad Amad Hai
Bolo Marhaba Bolo Marhaba
Ye Aaj Taare Zameen Ki Taraf Hai Kyu Maayel
Ye Aasmaan Se Paiham Hai Noor Kyu Naazil
Ye Aaj Kya Hai Zamane Ne Rang Badla Hai
Ye Aaj Kya Hai Ke Aalam Ka Dhang Badla Hai
Ye Aaj Kaahe Ki Shadi Hai Arsh Kyu Jhooma
Labe Zameen Ko Labe Aasmaan Ne Kyu Chooma
Ye Aaj Kya Hai Ke Butt Aoudhe Ho Gaye Saare
Ye Aaj Kyu Hai Shayateen Bandhe Hue Kaare
Rusul Un Hi Ka To Musda Sunane Ae Hai
Unhi Ke Ane Ki Khushian Manane Ae Hai
Farishte Aj Jo Dhoomen Machane Ae Hai
Unhi Ke Ane Ki Shadi Rachane Ae Hai
Chamak Se Apni Jahan Jagmagane Ae Hai
Mehek Se Apni Ye Koochey Basane Ae Hai
Ye Seedha Rasta Haq Ka Batane Ae Hai
Ye Haq Ke Bandon Ko Haq Se Milane Ae Hai
Jo Gir Rahe Thay Unhe Naibon Ne Tham Lia
Jo Gir Chuke Hai Ye Un Ko Uthane Ae Hai
Rauf Aese Hai Aur Ye Raheem Hai Itne
Ye Girte Parton Ko Seeney Lagane Ae Hai
Inhe Khuda Ne Kia Apne Mulk Ka Malik
Aur Inhi Ke Qabzey Me Rab Ke Khazaney Ae Hai
Jo Chahen Ge Jisey Chahen Ge Ye Usey Den Ge
Karim Hai Ye Khazaney Lutane Ae Hai
Sab Rusul Ne Kaha Izhabu Ila Ghairi
Ana Laha Ka Ye Musda Sunane Ae Hai
Ajab Karam He Ke Khud Mujrimon Ke Hami Hai
Gunah Garon Ki Ye Bakhshish Karane Ae Hai
Suno Ge La Na Zaban E Karim Se Noori
Kiunke Ye Faiz O Jod Ke Daria Bahane Ae Hai
Naseeb Tera Chamak Utha Dekh To Noori
Arab Ke Chand Lehed Ke Sirhane Ae Hai
Ye Kis Shehenshah E Wala Ki Amad Amad He
Bolo Marhaba Bolo Marhaba
Ye Konse Shah E Bala Ki Amad Amad He
Bolo Marhaba Bolo Marhaba