Ya Mustafa Ata Ho Phir Izn Hazri Ka

Ya Mustafa Ata Ho Phir Izn Haazri Ka

Karloon Nazaraha Aakar Phir Aapki Gali Ka

Eik Bar Phir Dikha Do Ramzan Mein Madina

Beshak Banalo Aaqa Mehman Do Ghari Ka.

Rota Huwa Phir Aaon Daagh E Jigar Dikhaoon

Afsana Bhi Sunaoon Main Apni Baykasi Ka.

Phir Sabz, Sabz Gumbad Ki Dekhloon Baharein

Ab Izn Day Do Aaqa Phir Mujh Ko Hazri Ka.

Ya Mustafa! Gunahoon Ki Aadatein Nikal Jayein

Jazbah Mujhay Aata Ho Sunnat Ki Pairwi Ka.

Dil Say Ghuroor Niklay, Bahray Huzoor Niklay

Ya Rab! Mujhay Bana Day Paikar Tu Aajzi Ka.

Allah! Hub-e-duniya Say Tu Mujhay Bachana

Sa’il Houn Ya Khuda Main Ishq E Muhammadi Ka.

Iman Pay Rab E Rehmat Day Day Tu Isteqamat

Deta Houn Wasta Main Tujh Ko Teray Nabi Ka.

Ulfat Ki Bheek Day Do! Deta Houn Wasta Mein

Siddiq Ka Umar Ka, Usman Ka Ali Ka.

Duniya Kay Tajdaro! Tum Say Mujhay Gharz Kiya!

Mangta Hoon Main To Mangta Sarkar Ki Gali Ka.

Meezaan Pay Sabh Khar’ay Hain Amaal Tul Rahay Hain

Rakhlo Bharam Khudara! Attar E Qadri Ka

—————————————-

————–other Verses————–

Day Do Gham E Madina, Day Do Gham E Madina!

Aisa Gham E Madina Dekhoon Na Mooh Khushi Ka.

Khoon-e-jigar Say Se’ncha Hai Baagh E Sunniyat Ka

Kardo Karam Waseelah Is Madni Murshidi Ka.

Ya Syed E Madina! Bus Aap Hi Nibhana

Go Houn Bada Kaminah, Par Houn To Aap Hi Ka.

Houn Dur Sabh Balaein Deta Houn Wasta Mein

Mazloom Karbala Ki Sarkaar! Bekasi Ka.

Ho Har Nafas Madina Dharkan Mein Ho Madina

Jab Tak Na Sa’ans Tutay Sarkaar Zindagi Ka.

Allah! Is Say Pehlay Imaan Pay Maut De Day

Nuqsaan Mare Sabab Say Ho Sunnat E Nabi Ka.

Kuch Nekiyaan Kamale Jald Akhirat Banale

Koi Nahi Bharosa Bhai! Zindagi Ka.

popular posts

Leave a Comment