Ramzan Ke Maheene Kaa Ehsaan Utha Ke Dekh
Jo Kuch Kaha Allah Ne Us Ko Nibha Ke Dekh
Jaan-e-ramzan Jaan Shan-e-ramzan Jaan
Zindagi Sabr Se Aashna Ho Gai
Shaane Ramzan Deher Main Ayaan Ho Gai
Jo Nazar Main Nahi Tha Kinara Mila
Aisa Maahe Karam Ka Sahaara Mila
Ashq Aankhon Se Daaman Main Aa Ke Gira
Khud Khatakaar Ko Kiya Se Kiya Kar Gaya
Banda Karney Laga Rab Se Yun Guftugu
Allah Hu Allahu Allah Hu Allahu
Shaane Ramzan Aaya Chaar Soo
Maahe Ramzan Yun Aagaya Ban Ke Rehmat Ye Phir Chagaya
Kesay Tujh Se Karoon Samna Gir Raha Hoon Zara Thaamna
Khaali Daaman Liye Aagaya Bin Teray Meray Hasti Hai Kiya
Laaj Rakhna Meri Aye Khuda Waasta Maahe Ramzan Ka
Bas Jhuka Hai Yeh Sar Aur Kya Maagna
Banda Parwar Hai Tu Bas Zara Dekhna
Teri Marzi Ko Paana Meri Justuju
Allah Hu Allahu Allah Hu Allahu
Shaane Ramzan Aaya Chaar Soo
Barkatein Yun Falak Se Utarne Lagi
Kirnay Jaise Zameen Par Bikharne Lagi
Silsila Rehmaton Ka Dua Se Mila
Nematon Ka Yeh Kesa Maheena Mila
Aao Mil Baat Ke Baat Lo Har Khushi
Haan Yeh Hi Hai Ibadat Yeh Hi Bandagi
Shaane Ramzan Hai Dil Kasho Khoob Roo
——————- More ——————–
—————— Verses ——————-
Rehmatein Kibriya Jalwa Ghar Hogai
Shan E Ramzan Se Roshan Sahar Hogai
Bandagi Ka Qarina Badal Ne Laga
Qidmate Qalk Ko Dil Machal Ne Laga
Ashq Aankhon Se Daaman Main Aa Ke Gira
Khud Khatakaar Ko Kiya Se Kiya Kar Gaya
Banda Karney Laga Rab Se Yun Guftugu
Allah Hu Allahu Allah Hu Allahu
Shaane Ramzan Aaya Chaar Soo
IMPORTANCE OF FASTING IN RAMADAN- ROZE KI EHMIYAT
بسم الله الرحمان ال رحیم
Maahe ramzaan ki khususiyat ye hai ke Allaah azzawajal ne iss mahine mein Quran-e-Paak naazil farmaya, Chunanche Allaah azzawajal Quran mein irshaad farmata hai;
Ramzaan ka mahina, Jisme Quran utaara, Logon ke liye hidaayat aur rehenumayi aur faisle ki roshan batein, Toh tumme jo koyi ye mahine paaye zarur uske Roze rakhe aur jo bimaar ya safar me ho toh utne Roze aur dino me, Allaah azzawajal tumpar Aasaani chahata hai aur tum par dushwari nahi chahata aur issliye ke tum ginti poori karo aur Allaah ki badaayi bolo iss par ke usne tumhe hidaayat ki aur kahe tum haq guzaar ho.
1) Ek riwaayat ke mutaabik arsh uthane waale farishte rozedaar ki duwa par aameen kehete hai.
2) Aur ek riwaayat ke mutaabik maahe ramzaan ke rozedaaron ke liye dariya ki machliyan iftaar tak dua-e-magfirat karti reheti hai.
3) Jab maahe ramzaan ki Pehli shab aati hai toh aasmaano aur Jannat ke darwaze khool diye jaate hai aur aakhiri raath tak bandh nahi hote.
4) Maahe ramzaan me nafl ka sawaab farz ke baraabar aur farz ka sawaab 70 gunah badaa diya jaata hai.
5) Jo koyi banda iss maahe mubaarak ki kisi bhi raath mein namaaz padhta hai toh Allaah azzawajal uske har sajde ke badle mein uske liye 1700 nekiyan likhta hai aur uske liye jannath mein surkh yaqut ka ghar bana tha hai. Jiss mein 70,000 darwaaze honge aur har darwaaze ke dono pat sone ke bane honge jinn me yaqute surkh jade honge.
6) Jo koyi maahe ramzaan ka pehla roza rakhta hai toh Allaah azzawajal mahine ke aakhiri din tak uske gunah maaf farmadeta hai aur dusre ramzaan tak uske liye kaffara hojaata hai aur
7) Har woh din jisme ye roza rakhega uss har roze ke badle mein usse 1000 sone ke darwaazon waala mahal jannat mein ataa hoga aur uske liye subho se shaam tak 70,000 farishte dua-e-magfirath karte rahenge.
8) Raath aur din mein jab bhi woh sajda karega uss har sajde ke badle usse jannat mein ek ek aisa darakht ataa kiya jayega ke har uske neeche ek ghud sawaar 100 baras tak bhi chale phir bhi uss ek darakht se dusre sire tak na pahunch sake.
9) Baaz ulama farmate hai ke jo maahe ramzaan me marjaaye uss se sawaalaat-e-Qabr nahi hote.
10) Qiyaamat mein maahe ramzaan aur Quran rozedaaron ki shafa’at karenge ke maahe ramzaan toh kahega ke Maula azzawajal maine isko din mein khaana peene se rooka tha aur quran arz karega ke Ya Rab azzawajal maine usko raath mein tilaawate-wa-taraaweeh ke zariye soone se rooka.
11) Jab maahe ramzaan ki Pehli raath hoti hai toh Allaah azzawajal apne makhluq ke taraf nazar farmaata hai aur jab Allaah azzawajal kisi bande ke taraf nazar farmaye toh usse kabi azaab nadega.
12) Har rooz 10 laakh gunehgaaron ko jahannam se aazaad farmaata hai 29 raath hoti hai toh mahine bhar mein jitne aazaad kiye unke majmu’aa ke baraabar uss ek raath mein aazaad karta hai.
13) Phir jab Eid-ul-fitr ki raath aati hai malayika khushi karte hai aur Allaah apne noor ki khaas tajalli farmaata hai aur farishte se farmaata hai aye giroh malayika, unko poora poora ajr diya jaaye Allaah farmaata hai main tumhe gawah karta houn ke maine unn sab ko bakshdiya.
Sarkaare Madina Swallallaahu alaihi wa sallam ne maahe sha’baan ke aakhiri din bayan farmaya (bayan ka maffum):
1. Aye loogon tumhaare paas azmatwaala barkatwaala mahina aaya woh mahina jis mein ek raath aisi bhi hai jo 1000 mahino se behtar hai.
2. Iss maahe mubaarak ke roze Allaah azzawajal ne farz kiye aur iss ki raath mein qiyaam sunnat hai.
3. Jo iss mein neki ka kaam kare toh aisa hai jaisa aur kisi mahine mein farz adaa kiye, aur iss mein jis ne farz adaa kiye toh aisa hai jaisa aur dino mein 70 farz adaa kiye.
4. Ye mahina sabar ka hai aur sabar ka sawaab Jannat hai.
5. Ye mahina mu’asath(gamkhwari aur bhalayi) ka hai aur iss mahine mein momineeen ka rizq badhaya jaata hai .
6. Jo iss mein rozadaron ko iftaar karaaye(Ek ghunt dhood ya paani ya ek khajur se iftaar karaye) uss ke gunahon ke liye magfirath hai aur uss ki gardan aag se aazaad kardi jayegi aur iss iftaar karane waale ko waisahi sawaab milega jaisa roze rakhne waale ko milega. Bagair iske ke uske ajar mein kuch kam ho.
•Hadith: jo ek din Roza rakhe Allah ki raah mein to Allah uske munh (face) ko sattar (70) baras ki raah tak dojakh se dur kar deta hai
•Abu Said khudri radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki jo ek din Roza rakhe Allah ki raah mein to Allah uske munh (face) ko sattar 70 baras ki raah tak dojakh se dur kar deta hai
•Sahih Muslim , Vol3, 2713