Ya hussain Ibne Ali kehte hain ye Sare Ghulam Salam

Ya hussain Ibne Ali kehte hain ye Sare Ghulam Salam

 

Ya hussain ibne ali kehte hain ye sare ghulam Sab gulam aapko salam aapko salam

Teer laga nanhe asghar ko phool sa chahera murjaya
Dekh shaharbanu bache ko god mein leke farmaya
Hoze kausar ka pee lena jaam aapko salam

Ya hussain ibne ali kehte hein ye…..

Jabr ke aage sabr khada tha zulmo sitam ko rok kar
Jinko hua deedar khuda ka khanjar ki us nok par
Dekho shahidon ka hai ye maqam aap ko salam

Ya hussain ibne ali kehte hein ye…..

Jinki peshaani ka bosa pyare nabi farmate the
Bachpan mein jibreele ameen bhi jhula jhulane aate the
Wo hai nawasa-e-khairul anam aapko salam

Ya hussain ibne ali kehte hein ye…..

Aye husain ibne ali zahra ke dilbar assalam
Aye shaheed e karbala aye deen ke rahebar assalam
Karbala mein aapne haq ke liye hai jaan di
Aapka kaunain mein sani nahin ibne ali

Ya hussain ibne ali kehte hein ye…..

Zulm ke aage jhukaya aapne kab apna sar
Aap par nazaan na ho kyun sayyide khairul bashar
Aap hi ne deene haq ko takhliyat pahunchayi hai
Aapki qurbani aye ibne ali rang layi hai

Ya hussain ibne ali kehte hein ye…..

Hashr tak royegi yunhi badnasibi par furat
Aapka deedar jo karne na payi uski zaat Duniya luta ke deen ki daulat kharid li
Kauno makan se izzat o azmat kharid li

Ya hussain ibne ali kehte hein ye…..

Jate the raahe haq mein sadakat kharid li
Nana se deen baap se takat kharid li
Maa se hasan husain ne jannat kharid li

Ya hussain ibne ali kehte hein ye…..

Leave a Comment