VO SAHRE MUHABBAT JAHA MUSTAFA HE

Wo Shehre Mohabbat Jahan Mustafa Hai

Wahin Ghar Banaane Ko Dil Chaahta Hai

Wwo Sone Se Kankar, Wo Chaandi Si mitti

Nazar me Basaane Ko Dil Chaahta Hai

Wo Shehre Mohabbat Jahan Mustafa Hai

Wahin Ghar Banaane Ko Dil Chaahta Hai

Jo poochha nabi ne ki kuchh ghar bhi chho.Da

To siddiq-e-akbar ke honTo.n pe aaya

Wahaan maal-o-daulat ki kya hai haqeeqat

Jahan jaan lutaane ko dil chaahta hai

Wo Shehre Mohabbat Jahan Mustafa Hai

Wahin Ghar Banaane Ko Dil Chaahta Hai

Jihaad-o-mohabbat ki aawaaz goonji

Kkaha hanzla ne ye dulhan se apni

Ijaazat agar ho to jaam-e-shahaadat

Labo se lagaane ko dil chaahta hai

Wo Shehre Mohabbat Jahan Mustafa Hai

Wahin Ghar Banaane Ko Dil Chaahta Hai

Sitaaron se ye chaand kehta hai har-dam

Tumhe kya Bataaun wo Tukdon ka ‘aalam

Ishaare me aaqa ke itna maza tha

Ki phir Toot jaane ko dil chaahta hai

Wo Shehre Mohabbat Jahan Mustafa Hai

Wahin Ghar Banaane Ko Dil Chaahta Hai

Wo Nanha sa asgar, Wo e Di ragad kar

Yahi Keh raha tha wo Khaime me ro kar

Ai baaba ! main paani ka pyaasa nahin hun

Mera sar kataane ko dil chaahta hai

Wo Shehre Mohabbat Jahan Mustafa Hai

Wahin Ghar Banaane Ko Dil Chaahta Hai

Jo Dekha Hai Roo-e-jamaal-e-risaalat

To, Taahir ! ‘umar mustafa se ye bole

Badi aap se dushmani thi magar ab

Gulaami me aane ko dil chaahta hai

Wo Shehre Mohabbat Jahan Mustafa Hai

Wahin Ghar Banaane Ko Dil Chaahta Hai

 

Leave a Comment