Tumhari Beniyazi Ka Tamaasha Hum Bhi Dekhenge Lyrics
Tumhari Beniyazi Ka Tamaasha Hum Bhi Dekhenge – Hazrat Imam-Us-Salekeen Shah Muhammad Taqi ‘Raaz’ Niyazi R.A.
Tumhari Beniyazi Ka Tamaasha Hum Bhi Dekhenge,
Ye Aalam Kis Tarah Hota Hai Ruswa Hum Bhi Dekhenge;
Kisi Din To Tumhare Aastane Se Karam Hoga,
Kisi Din To Kamaal-E-Zauq-E-Sajda Hum Bhi Dekhenge;
Shakista Paa Hain Lekin Badh Rahe Hain Jaanib-E-Manzil,
Kisi Surat To Ummeedon Ka Sahaara Hum Bhi Dekhenge;
Azal Ke Din Jo Dikhlaaya Tha Terey Lutf-E-Paiham Ne,
Wahi Naqsha Wahi Jalwa Khudaara Hum Bhi Dekhenge;
Zaraa Aye ‘Raaz’ Uthne Do Nigaahe Banda-Parwar Ko
Khud Apne Raaz Ko Aalam Mein Afshaan Hum Bhi Dekheinge..!!!
~ Az Hazrat Imam-Us-Salekeen Shah Muhammad Taqi ‘Raaz’ Niyazi R.A.