qabr sheh ki banayi hai zainab
kuch yateemon ko laayi hai zainab
kehti hai ro ke lo khabar bhai
khatm ab ho gaya safar bhai
qaid se chutt ke aayi hai zainab
sadme dil par uthayi hai zainab
mai hoo zainab falak satayi hoo
tum se milne yahan mai aayi hoo
aur lutay khaafile ko laayi hoo
bhai kya kya sitam uthayi hoo
shaam tak nange sar gayi zainab
kyun na phele hi mar gayi zainab
qaid se chutt ke…
uth ke dekho to ek nazar bhai
tukde sadmon se hai jigar bhai
ho gaya hai safed sar bhai
jhuk gayi hai meri kamar bhai
waada poora mai kar ke aayi hoo
pusht par taaziyane khaayi hoo
qaid se chutt ke…
saare kunbe ko saath laayi thi
mehnato se ye ghar basayi thi
maine daulat ye maa se paayi thi
ho gayi dafn jo kameini thi
ab ho kyunkar meri basar bhai
haye kis moo se jaaun ghar bhai
qaid se chutt ke…
thi muqaddar mein meri ruswayi
kyun na darbar hi mein maut aayi
pesh e haakim gayi ye dukh paayi
ghussa aaya tha pee gayi bhai
jo huwe zulm seh gayi zainab
sab ke rone ko reh gayi zainab
qaid se chutt ke…
kya bataun jo guzre ranj o mehan
baazuon mein mere bandhi thi rasan
thay tamashayi saare mard o zan
lut gayi lut gayi mai shaah e zaman
phiri bazaar e shaam mein zainab
gayi darbar e aam mein zainab
qaid se chutt ke…
jab kiya hum ko daakhile zindan
naam ko bhi na roshni thi wahan
ro ke kehti thi ye sakina jaan
yaan se le kar chalo phupi amma
mujhse bardaasht ho nahi sakti
mai andhere mein so nahi sakti
qaid se chutt ke…
maarte thay tamache baani e shar
kaan se us ke cheen kar gohar
hogaya tha lahoo mein kurta tar
kya kahun ab ke phat raha hai jigar
shimr ki khaa ke sayliyan bhai
mar gayi teri neem jaan bhai
qaid se chutt ke…