Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?
Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?
Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?
Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?
Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?
Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?
Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?
Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kion marte hain ?
**********************************************************
KOI TO HOTA….
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA…..
jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA….
**********************************************************
Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu
Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu
Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu
Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu
Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu
Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu
Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu
Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu
Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu
Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu
Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu
Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu
Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu
Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu
**********************************************************
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.
lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.
dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.
her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.
**********************************************************
“Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi …
Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi…
Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k…
Meri kisi saada par woh thehra he nahi…
khuda se jholi pehla kay manga tha usay …
Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi…
Har aik se pucha sabab us kay na milne ka …
Har eik ne kaha woh tere liye bana hi nahi…!!
**********************************************************
Usne Mjhe Chaha Hi Nhi Me Chahat Samjh Bethi
Uski Pal Bhar Ki Muskrahat Ko Pyar Samjh Bethi
Wo To Hr Bat Pr Han Krta Tha Me Hi Iqrar Samjh Bethi
Usne MjhSe Ziyada Ehmiyat Di apne Doston Ko
Me Uski Ye Ada Mazak Samjh Bethi
Usne Kaha B Tha Koi or Hai Meri Zindagi Me
Me Hi Khud Ko Uski Zindagi Me Samjh Bethi
**********************************************************
Muhabbat Ka Meri Mujh Say Hisab Mangta Hai
Tamam Umer Ka Mujh Say Nisab Mangta Hai
Us Kay Qadmoon Main Khushioon Ko Dhair Ker Diya
Pagal Un Cheezon Ka Jawaz Mangta Hai
Hur Sawal Kay Jawab Ko Jantay Huay Bhi
Apnay Hur Sawal Ka Jawab Mangta Hai
Hum Mout Ki Dehleez Per Hain Janta Hai Jana Hai Hamain
Pagal Hay Hamaray Ruknay Ki Dua Mangta Hai
**********************************************************
tu kisi auo ko dekhe,muskuraya mujhe acha nahin lagta
dil ka dard kisi aur ko sunaye mujhe acha nahin lagta
tere kareeb aane k liye taras rahi hon main kab se aur
tu jab auron ko kareeb laye mujhe acha nahin lagta
mana k hai tere kai chahne wale ee mere sanam
lekin tu kisi aur ka dil behlaye ye mujhe acha nahin lagta
dekhna meri aur bhari mehfil me chupke se aur nazar pher lena
tu mujhe se yun nighahoein churaye mujhe acha nahin lagta
har dard ki parwaah nahin karti main mere sanam lekin
tu kisi aur ki ghazal gungunaye mujhe acha nahin lagta
mana k boht buri hon main, nahin salika mujhe jeene ka
lekin tu mujhe yun pakhon pe bithake nazron se giraye
mujhe acha nahin lagta
**********************************************************
Wo Kisi Or Ko S0che To Bura LagTa Hai
Wo Kisi Or Ko Dekhe To Bura LagTa Hai
Meri Aankh0n Ko Sirf Tareef Uski ChahiYe
Koi Acha b Keh De To Bura LagTa Hai
Usko Koi Or Agar Dekhe To Ho Gawara Kese
Uska Jo Naam b Le Le To Bura LagTa Hai
Meri Aankh0n Main Kya So0rat Nahi Dikhti Usko
Gar Agar Wo Aayina b Dekhe To Bura LagTa Hai
Usko Keh Do Ke Sare-Sham Na Ghar Se Nikle
Sath SaaYa b Chale Uske To Bura LagTa Hai
Chirh Se Hoti Hai Uske Hath Ki Ghari Se Mujhe
Ho Gayi Dair Batade Usko To Bura LagTa Hai
UsSe KehDo Ke Aankh0n Main Na Surma Daale
Uski Aankh0n Main Koi Or Samaye To Bura LagTa Hai
Maine Khol Ke Rakh Daale Warq Sabhi Dil Ke
Phir b Wo Hum Se Chupaye To Bura LagTa Hai
**********************************************************
bhari mehfil main mujhko tujhsa koi sacha nahi lagta,
tu ei pal ke liye bhi meri nazron se door ho, acha nahi lagta,
zindagi ke iss raah main, ee mere humdum hum milenge zaroorat,
iske ilawa main kuch aur sochon, acha nahi lagta,
dil ki baatein zuban par aa jaye to kuch araam mile,
kuch baaton ko dil hi dil mian daba dena acha nahi lagta,
jab kisi ki baatein kisi ki yaadein, jeene ki wajah ban jaati hai,
tab usse ek pal k liye bhio door rehna acha nahi lagta,
“khawaish” apna haal-e-dil lafzon main keh deta hai,
par agar lafzon ko bhi na samjjha jaye to acha nahi lagta,
log kehte hai khawab wo dekho jo haqeeqat ke rang main dhal sake,
“khawaish” kehta hai khwaab zaroor dekho koi gham nahi agar woh haqeeqat ke rang main naa
dhal sake,
sirf kisi ko paanea hi muhabbat nahi,
muhabbat main paane khone ka sauda acha nahi lagta,,
**********************************************************