Peshe Haq Muzda Shafaat Ka Sunate Jayenge Naat Lyrics
Peshe Haq Muzda Shafaat Ka Sunate Jayenge Naat Lyrics | Peshe Haq Mujda Shafaat Naat Lyrics
Pesh-E-Haq Muzda Shafa’At Ka Sunate Jaayenge
Aap Rote Jaayenge Hum Ko Hasaate Jaayenge
Peshe Haq Muzda Shafaat Lyrics
Dil Nikal Jane Ki Jaa Hai Aah! Kin Aankhon Se Wo
Hum Se Pyaaso’n Ke Liye Darya Baha Te Jaayeinge
Peshe Haq Muzda Shafaat Lyrics
Haa’n Chalo Hasrat Zado’n Sunte Hain Wo Din Aaj Hai
Thi Khabar Jiski Ke Wo Jalwa Dikhaate Jaayenge
Peshe Haq Muzda Shafaat Lyrics
Kuch Khabar Bhi Hai Faqeero Aaj Wo Din Hai Ke Wo
Nemate Khuld Apne Sadqe Mein Luta te Jaayenge
Peshe Haq Muzda Shafaat Lyrics
Khaak Uftado Buss Unn Kay Aanay Hee Kee Dayr Hai
Khud Wo Gir Kar Sajda Mein Tum Ko Uthate Jaayenge
Peshe Haq Muzda Shafaat Lyrics
Wus-atey’n Dee Hai Khuda Ne Daaman-e-Mehboob Ko
Jurm Khultae Jaayenge Aur Wo Chupate Jaayenge
Peshe Haq Muzda Shafaat Lyrics
Lo Wo Aaye Muskurate Hum Aseero’n Ki Taraf
Khirman-e-Is-iyaa’n Pe Bijlee Girate Jaayenge
Peshe Haq Muzda Shafaat Lyrics
Hash-ar Tak Daa-leyngay Hum Paidaishe Maula Ki Dhoom
Miss-Le Faa-Ris Najd Ke Qil E Girate Jaayenge
Peshe Haq Muzda Shafaat Lyrics
Khaak Ho Jaaye Adoo Jal Kar Magar Hum To Raza
Dum Mein Jab Tak Dum Hai Zikr Un Ka Sunate Jaayenge
Peshe Haq Muzda Shafa’at Ka Sunate Jayengey
Aap Rote Jayengey Hum Ko Hansaate Jayengey
Mushkil Alfaz :-
1) Peshe Haq = Allah Ke Saamne
2) Muzda = Khushkhabri
3) Shafa’at = Sifaarish
Mafhoom :-
Baroz E Qiyamat Hamare Aaqa صلى الله عليه وسلم Khuda Ki
Bargah Me Humien Shafa’at Ka Muzda E Jaan Fiza
(Khushkhabri) Sunayengey. Dare Huwe Dilo’n Ko
Sukoon Aajega Phir Jab Ummat Sooye Jannat Rawaan
Hogi To Manzar Ye Hoga Ke Huzoor Khud To Rote
Hongey ( Ummat Ke Liye Allah Ki Bargah Me Rona)
Aur Ummat Ki Bakshish Ki Khushi Me Hansi Huyi
Ummat Jannat Ki Taraf Rawaan Dawaan Hogi.
Dil Nikal Jaane Ki Ja Hai Aah Kin Aankho’n Se
Woh
Hum Se Pyaaso’n Ke Liye Darya Bahate Jayengey
Sharahe Kalaame Raza
Mushkil Alfaz :-
1) Ja = Jagah
2) Hum Se = Humare Jaise
3) Bahana = Chalana
Mafhoom :-
Hamara Kaleja Phat Kyun Nahi Jaata ( Jab Ye
Manzoor Tasawwur Me Aaye) Ke Hamare Aaqa صلى الله عليه وسلم
Hum Jaise Nikammo’n Ke Liye Apni Pyaari Aur
Sarmageen Aankhon Se Aansuon Ka Darya Baha Rahe
Hongey.
Kusthgaane Garmi E Mehshar Ko Wo Jaan E
Maseeh
Aaj Daaman Ki Hawaa De Kar Jilaate Jayengey
Mushkil Alfaz :-
1) Kushtgaane = Maqtool
2) Garmi E Mehshar = Qiyamat Ki Dhoop Aur Garmi
3)Jaan E Maseeh = Hazrath E Isa Alaihissalam Ki Jaan
Mafhoom :-
Allah! Allah! Mehshar Ki Qiyamat Ki Garmi Me
Jab Jism Jhalas Kar Murda Ho Chuke Hongey Wo Jaan
Sharahe Kalaame Raza
E Maseeh, Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Apne Daaman E
Rehmat Ki Hawa De Kar Un Murdo’n Ko Zinda Farma
Rahe Hongey, Yaani Shafa’at Farma Kar Us Museebat
Se Chuda Rahe Hongey.
Gul Khile Ga Aaj Ye Un Ki Naseem E Faiz Se
Khoon Rote Aayengey Hum Muskurate Jayengey
Mushkil Alfaz :-
1) Naseem E Faiz = Bakhshish Ki Khushbudaar Hawa
2) Khoon Rona = Khoob Gid Gida Kar Rona
Mafhoom :-
Jab Aaqa Kareem صلى الله عليه وسلم Ke Faiz O Karam Se
Thandi O Khushbudaar Hawa Chalegi To Murjaye
Huwe Chehre Phool Ki Tarah Khil Jayengey To Hum
Gunahgar Maidan E Mehshar Me Aaye To Khauf Ke
Maare Rote Rote Ab Jannat Ki Taraf Khoob
Khushiyaan Manate Ja Rahe Hain.
Haan Chalo Hasrat Zado’n Sunte Hain Wo Din Aaj
Hai
Thi Khabar Jiski Ke Wo Jalwa Dikhate Jayengey
Sharahe Kalaame Raza
4
Mushkil Alfaz :-
1) Hasrat Zada = Mehroom, Gham Ka Maara
2) Jalwa Dikhana = Deedar Karwana
Mafhoom :-
Aye Gham Ke Maaro! Aye Be Saharo! Jis Din
Ke Baare Me Hum Ne Padha Aur Tum Ne Suna Tha
Ke Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Deedar Hoga, Chalo! Wo Din Aa
Gaya Hai Aur Wo Dekho Mehboob E Khuda Apne
Chehre Anwar Se Parda Hatane Aa Rahe Hain.
Aaj Eid E Aashiqaan Hain Gar Khuda Chahe Ke
Woh
Abru E Paywasta Ka Aalam Dikhate Jayengey
Mushkil Alfaz :-
1) Eid = Khushi Ka Din
2) Abru E Paywasta = Mile Huwe Bhavien
Mafhoom :-
Haan Haan Aaj Hi Aashiqan E Rasool Ki Asal
Eid Hai Ke Duniya Me To Bina Dekhe Un Ki Baatien
Karte The Aur Sunte The Aaj Zara Apni Aankhon Se
Mehboob E Khuda Ke Mile Huwe Bhanwein Mubarak
Sharahe Kalaame Raza
5
Dekho Aur Unki Bargah Me Mohabbat Ke Saath
Durood O Salam Ke Nazrane Pesh Karo.
Khaak Uftaado’n Bas Unke Aane Hi Ke Dair Hai
Khud Woh Gir Ka Sajda Me Tum Ko Utha Te
Jayengey
Mushkil Alfaz :-
1) Khaak Uftaado’n = Zameen Par Gire Huwe Logon,
Majboor
Mafhoom :-
Aye Khaak Nasheeno! Ab Tumhien Khaak Se
Utha Kar Jannat Ke Baghaat Pahunchane Ka Waqt
Aagaya, Bas Unke Aane Hi Ki Dair Hai Ek Sajde
Karengey, Khud Sajde Me Tashreef Le Jayengey Aur
Tumhien Khaak Se Utha Kar Hamdosh Sara Karengey.
Kuch Khabar Bhi Hai Faqeero’n Aaj Wo Din Hai
Ke Woh
Ne’mat E Khuld Apne Sadqe Me Lutate Jayengey
Mushkil Alfaz :-
1) Ne’mat E Khuld = Jannat Ki Ne’mat
Sharahe Kalaame Raza
6
Mafhoom :- Duniya Me To Aaqa صلى الله عليه وسلم Jannat Ki
Basharatien Sunate Rahe Lekin Aaj Baroz E Mehshar
Apni Ummat Ko Jannat Ki Nemat Taqseem Farmate
Huwe Dikhayi Dengey.
Wusa’tien Dee Hain Khuda Ne Daaman E Mehboob
Ko
Jurm Khulte Jayengey Aur Woh Chupate Jayengey
Mushkil Alfaz :-
1) Wusa’tien = Kushaadgi, Gunjaishien
Mafhoom :-
Sarkar E Madina صلى الله عليه وسلم Ke Daaman E Karam Ko
Allah Ne Itna Wasee’ Farma Diya Hain Ke Hamare
Jitne Bhi Jurm Maidan E Mehshar Me Pesh Hongey
Sab Us Daaman E Rehmat Me Chup Jayengey.
Lo Woh Aaye Muskurate Hum Aseero’n Ki Taraf
Khirman E I’siyaan Pe Ab Bijli Giraate Jayengey
Mushkil Alfaz :-
1) Lo Woh Aaye = Kisi Ki Achanak Aamad Par Bola
Jaata Hai
Sharahe Kalaame Raza
7
2) Aseero’n = Qaidiyon
3) Khirman E I’siyaan = Gunaho’n Ka Dher
4) Bijli Girana = Barbaad Karna
Mafhoom :-
Aye Ahle Mehshar! Sab Khade Hojao! Wo
Dekho Aaqa صلى الله عليه وسلمKi Sawari Aagayi Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم
Apne Gunahgar Ummatiyo’n Ki Taraf Dekh Kar
Muskura Rahe Hain Aur Haan Tumhien Apne
Gunaho’n Ke Ambaar Nazar Aa Rahe Hain, Us Liye
Pareshan Ho? To Phir Khush Hojao Dekho Mere Aaqa
Kis Tarah Tumhare Gunaho’n Pe Apne Jamal Ki
Bijliyo’n Gira Kar Unko Jala Kar Raakh Kar Rahe
Hain.
Aankh Kholo Ghamzado’n Dekho Wo Giryaa’n
Aaye Hai
Loh Dil Se Naqsh E Gham Ke Ab Mitate Jayengey
Mushkil Alfaz:-
1) Aankh Kholo = Hosh Me Aajao!
Peshe Haq Muzda Shafaat Lyrics In Hindi
पेशे हक मुजदा शफ़ाअत का सुनाते जाएंगे
आप रोते जाएंगे हमको हँसाते जाएंगे
दिल निकल जाने की जा है आह ! किन आंखों से वो
हमसे प्यासो के लिए दरया बहते जाएंगे
हाँ चलो हसरत जड़ो सुनते है वो दिन आज है
थी खबर जिसकी के वो जलवा दिखाते जाएंगे
कुछ खबर भी है फकीरो आज वो दिन है के वो
नेमते खुल्द अपने सदके में लुटाते जाएंगे
खाक उफतादो बस उन के आने ही कि देर है
खुद को गीर कर सजदा में तुमको उठाते जाएंगे
उस’अते दी है खुद ने दामने मेहबूब को
जुर्म खुलते जाएंगे और वो छुपाते जाएंगे
लो वो आये मुस्कुराते हम असीरों की तरफ
ख़िरमने इसयां पे बिजली गिराते जाएंगे
हशर तक डालेंगे हम पैदाइश ए मौला की धूम
मिस्ल फ़ारीज़ नज्द के किल ए गिरते जाएंगे
खाक हो जाये अदू जल कर मगर हैम तो रजा
दम में जब तक दम है जिक्र उनका सुनाते जाएंगे
Peshe Haq Muzda Shafaat Lyrics In Urdu
پیشِ حق مژدہ شفاعت کا سُناتے جائیں گے
آپ روتے جائیں گے ہم کو ہنساتے جائیں گے
دل نکل جانے کی جا ہے آہ کن آنکھوں سے وہ
ہم سے پیاسوں کے لیے دریا بہاتے جائیں گے
کُشتگانِ گرمیِ محشر کو وہ جانِ مسیح
آج دامن کی ہوا دے کر جِلاتے جائیں گے
گل کِھلے گا آج یہ اُن کی نسیمِ فیض سے
خون روتے آئیں گے ہم مسکراتے جائیں گے
ہاں چلو حسرت زدو سُنتے ہیں وہ دن آج ہے
تھی خبر جس کی کہ وہ جَلوہ دِکھاتے جائیں گے
آج عیدِ عاشِقاں ہے گر خدا چاہے کہ وہ
ابروئے پیوستہ کا عالَم دِکھاتے جائیں گے
کچھ خبر بھی ہے فقیرو آج وہ دن ہے کہ وہ
نعمتِ خلد اپنے صَدقے میں لُٹاتے جائیں گے
خاک اُفتادو بس اُن کے آنے ہی کی دیر ہے
خود وہ گر کر سجدہ میں تم کو اُٹھاتے جائیں گے
وُسعتیں دی ہیں خدا نے دامنِ محبوب کو
جرم کھلتے جائیں گے اور وہ چھپاتے جائیں گے
لو وہ آئے مسکراتے ہم اسیروں کی طرف
خرمنِ عِصیاں پر اب بجلی گراتے جائیں گے
آنکھ کھولو غمزدو دیکھو وہ گِریاں آئے ہیں
لوحِ دل سے نقشِ غم کو اب مِٹاتے جائیں گے
سوختہ جانوں پہ وہ پُر جوش رحمت آئے ہیں
آب کوثر سے لگی دِل کی بجھاتے جائیں گے
آفتاب اُن کا ہی چمکے گا جب اَوروں کے چراغ
صرصرِ جوشِ بلا سے جِھلملاتے جائیں گے
پائے کُوباں پُل سے گزریں گے تِری آواز پر
رَبِّ سَلِّمْ کی صَد ا پر وَجد لاتے جائیں گے
سرورِ دِیں لیجے اپنے ناتوانوں کی خبر
نفس و شیطاں سیّدا کب تک دَباتے جائیں گے
حشر تک ڈالیں گے ہم پَیدائشِ مولیٰ کی دُھوم
مِثل فارِس نجد کے قلعے گراتے جائیں گے
خاک ہو جائیں عدو جل کر مگر ہم تو رضاؔ
دَم میں جب تک دَم ہے ذِکر اُن کا سُناتے جائیں گے