PARE PARE PE LIKHKHA HAI AAKA KA NAAM NAAT LYRICS
pare pare pe likhkha hai aaka ka naam
pyare aaka muhmmad(saw) pe lakho salam
ya khuda hum garibon ki fariyaad sun
be-kaso bad-nasibo ki fariyaad sun
taybah wale muhmmad(saw) ki ummat hain hum
sach to ye hain ke teri aamanat hai hum
phir bhi duniya me koi hahara nahi
hum garibon ka koi sahara nahi
kyo satata hai zalim zamana hame
koi aasa nahi hai mitana hume
hai hamari zaban pe muhmmad(saw) ka naam
paare paare pe likhkha hai………………….
dil mai umara huwa gam ka tufan hai
phir bhi gafalat me harek muslaman hai
kis liye apni dolat pe phoola hai tu
tayabah wale muhmmad(saw) ko bhula hai tu
hay kya ho gaya tere imaan ko
taak par rakh diya tune kuran ko
dil mai kya tere aaka ki ulfat nahi
tuj ko masjid me jane fursat nahi
dino ima se muh mor betha hai tu
zikre maula ko kyu chhor betha hai tu
kyu nahi tere lab pe yahi subho sham
paare paare pe likhkha hai………………….
khairo barkat ka saman lae nabi
inteha ye ke kuran lae nabi
be-saharo ko ‘anwar’ sahara mila
marhaba dubato ko kinara mila
jisko sarkar ka aasra mil gaya
ye samaj lo ke usko khuda mil gaya
lab jo khole muhmaad(saw) ne takrir ko
tor dala gulami ki zanzir ko
ho gae gam mai aazad sare gulam
paare paare pe likhkha hai………………….