Masjidon Ko Hamari Dhane lage Lyrics
Aaj Phir Apni Ye Fariyad Hai Sun Le Maula
Dil Tere Naam Se Aabaad Hai Sun Le Maula
Ham Tere Dar Pe Sisakte Huye Aa Baithe Hain
Be-Zaban Ham Hain Bilakhte Huye Aa Baithe Hain
Jinke Dukh Dar Ka Pursaan Nahin Hai Koi
Aise Bebas Hain Ki Arman Nahin Hai Koi
Kis Se Fariyad Karen Kis Se Madad Mangenge
Kon Sa Dar Hai Jahan Ja Ke Sukoon Payenge
Kufr Ki Kaali Ghataein Hain Hamari Khatir
Be-Gunahon Ki Sazaein Hain Hamari Khatir
Aaj Phir Apni Ye Fariyad Hai Sun Le Maula
Dil Tere Naam Se Aabaad Hai Sun Le Maula
Aashiyano Ko Ujaada Hai Sitam Walon Ne
Tere Ghar Ko Bhi Giraya Hai Sitam Walon Ne
Rozadaron Ko Satate Hain Ye Zalim Ya Rab
Maa O Bahno Ko Rulate Hain Ye Zalim Ya Rab
Ahle Iman Ke Gharon Ko Ye Jala Dete Hain
Ye Wo Zalim Hain Jo Masjid Ko Bhi Dha Dete Hain
Tu Agar Chahe To Ik Aan Me Kya Ho Jaye
Zalimon Ki Ye Hukoomat Bhi Fana Ho Jaye
Aaj Phir Apni Ye Fariyad Hai Sun Le Maula
Dil Tere Naam Se Aabaad Hai Sun Le Maula
Tod De Haathon Ko Ya Rab Jo Sitam Karte Hain
Ahle Iman Pe Ye Har Roz Alam Kar Te Hain
Teri Qudrat Teri Taaqat Ki Jhalak Ye Dekhen
Qahr Jabbar Ki Ya Rab Wo Dhamak Ye Dekhen
Jaise Firaun Sitam Gar Ko Saza Di Tune
Jaise Namrood Ko Auqaat Bata Di Tune
Jaise Aate The Azaab In Pe Bhi La De Ya Rab
Apni Qudrat Ki Jhalak Phir Se Dikha De Ya Rab
Aaj Phir Apni Ye Fariyad Hai Sun Le Maula
Dil Tere Naam Se Aabaad Hai Sun Le Maula
Naat Khwan: Shariq Inami
Lyrics: Janab Habeeb Ajmi Sahab