Maine Ye Kab Kaha Mujhe Duniya Ka Maal De Lyrics

Maine Ye Kab Kaha Mujhe Duniya Ka Maal De Lyrics

 

 

मैं ने ये कब कहा मुझे दुनिया का माल दे
मुझ को गदा बना के मदीने में डाल दे

कहते रहे बिलाल यही हर मक़ाम पर
निकलेगी मेरी जान मुहम्मद के नाम पर
ऐसा ही मेरे सीने में ‘इश्क़-ए-बिलाल दे
मुझ को गदा बना के मदीने में डाल दे

जो भी हुज़ूर को कहें अपनी तरह बशर
बिस्तर उठाए फिरते रहेंगे वो दर-ब-दर
ऐसे मुनाफ़िक़ों को जहाँ से निकाल दे
मुझ को गदा बना के मदीने में डाल दे

मुद्दत से मेरे दिल में बसी है ये आरज़ू
जल्वा रसूल-ए-पाक का देखूँ मैं रू-ब-रू
मौला ! तू मेरे क़ल्ब की हसरत निकाल दे
मुझ को गदा बना के मदीने में डाल दे

अब ‘अक़्ल कह रही है कि तू दिल से काम ले
क्यूँ डूबता है ले मेरे आक़ा का नाम ले
तुझ को अभी किनारे ये दरिया उछाल दे
मुझ को गदा बना के मदीने में डाल दे

ता-ज़िंदगी हुज़ूर की ना’तें लिखा करूँ
सज्जाद ! अपने रब से मैं इतनी दु’आ करूँ
फ़िक्र-ए-रज़ा दे, जामी का हुस्न-ए-ख़याल दे
मुझ को गदा बना के मदीने में डाल दे

शायर:
सज्जाद निज़ामी

ना’त-ख़्वाँ:
सज्जाद निज़ामी

 

mai.n ne ye kab kaha mujhe duniya ka maal de
mujh ko gada bana ke madine me.n Daal de

kehte rahe bilaal yahi har maqaam par
niklegi meri jaan muhammad ke naam par
aisa hi mere seene me.n ‘ishq-e-bilaal de
mujh ko gada bana ke madine me.n Daal de

jo bhi huzoor ko kahe.n apni tarah bashar
bistar uThaae phirte rahenge wo dar-ba-dar
aise munaafiqo.n ko jahaa.n se nikaal de
mujh ko gada bana ke madine me.n Daal de

muddat se mere dil me.n basi hai ye aarzoo
jalwa rasool-e-paak ka dekhu.n mai.n roo-ba-roo
maula ! tu mere qalb ki hasrat nikaal de
mujh ko gada bana ke madine me.n Daal de

ab ‘aql keh rahi hai ki tu dil se kaam le
kyu.n Doobta hai le mere aaqa ka naam le
tujh ko abhi kinaare ye dariya uchhaal de
mujh ko gada bana ke madine me.n Daal de

taa-zindagi huzoor ki naa’te.n likha karu.n
Sajjaad ! apne rab se mai.n itni du’aa karu.n
fikr-e-raza de, jaami ka husn-e-KHayaal de
mujh ko gada bana ke madine me.n Daal de

Poet:
Sajjad Nizami

Naat-Khwaan:
Sajjad Nizami

Leave a Comment