Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics in Roman Urdu Hindi

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics in Roman Urdu Hindi

 

 

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamanah Hai
Jo Rab E Do Aalam Ka Mehboob Yagana Hai

Aao Dar E Zahra Par Phelaye Hue Daman
Hai Nasal Kareemon Ki Lajpal Gharana Hai

Kal Pul Se Hamain Jis Ne Khud Paar Lagana Hai
Zahra(R.A) Ka Wo Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai
Sayeda Ka Woh Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai

Izzat Se Na Mar Jayein Keyun Naam E Muhammad Par
Youn Bhi Kisi Din Ham Ne Dunya Se To Jana Hai

Sarkar E Madina Ki Hun Pusht Panahi Mein
Dunya Ki Hy Keya Parwah Dushman Jo Zamana Hai

Ye Keh Ke Dar E Haq Say Li Maut Ne Kuch Mohlat
Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai

Is Hashmi Dulha Par Konain Ko Mein Vaarun
Jo Husn O Shamail Mein Yaktae Zamana Hai

So Baar Agar Tauba Tooti Bhi To Kya Herat
Bakhshish Ki Rivayat Mein Tauba To Bahana Hai

Pur Noor Si Rahein Hain, Gunbad Pe Nigahein Hain
Jalwey Bhi Anokhay Hain, Manzar Bhi Suhana Hai

Qurban Us Aaqa Par Kal Hashar Ke Din Jisnay
Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Mein Chupana Hai

Har Waqt Woh Hain Meri Dunya E Tasawar Mein
Ae Shoq Kahin Ab To Aana Hai Na Jana Hai

Mahroom Karam Is Ko Rakhye Nah Sar E Mehshar
Jaisa Hai Naseer Aakhir Sayel To Purana Hai

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamanah Hai
Jo Rab E Do Aalam Ka Mehboob Yagana Hai
ik main hi nahi un par qurban zamana hai lyrics in urdu image

 

 

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics in Roman English

 

Ek Mein hi nahin Un par Qurbaan Zamaana hai
Jo Rabbe Do Aalam ka Mahboob Yagaana hai

Kal Pul se Hamein Jisne , khud paar lagaana hai
Zahra ka Wo Baaba hai , Hasnain ka Naana hai

Ek Mein hi nahin Un par Qurbaan Zamaana hai
Jo Rabbe Do Aalam ka Mahboob Yagaana hai

Aao Dare Zahra par Failaaye hue Daaman
Hai Nasl Kareemon ki , Lajpaal Gharaana hai

Ek Mein hi nahin Un par Qurbaan Zamaana hai
Jo Rabbe Do Aalam ka Mahboob Yagaana hai

Izzat se na mar jaaein , Kyun Naame Muhammad par
Yunhin Kisi Din Hamnein Duniya se to jaana hai

Ek Mein hi nahin Un par Qurbaan Zamaana hai
Jo Rabbe Do Aalam ka Mahboob Yagaana hai

Sarkaare Madina ki hun Pushte Panaahi mein
Duniya ki hai kya Parwaah, Dushman jo Zamaana hai

Ek Mein hi nahin Un par Qurbaan Zamaana hai
Jo Rabbe Do Aalam ka Mahboob Yagaana hai

Ye Kehke Dare Haq se , Li Maut mein kuchh Mohlat
Milaad ki Aamad hai, Mehfil ko Sajaana hai

Ek Mein hi nahin Un par Qurbaan Zamaana hai
Jo Rabbe Do Aalam ka Mahboob Yagaana hai

Mehroome Karam Isko rakhiye na Sare Maheshar
Jaisa hai Naseer aakhir, Saaeel to purana hai

Ek Mein hi nahin Un par Qurbaan Zamaana hai
Jo Rabbe Do Aalam ka Mahboob Yagaana hai

 

 

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics in Hindi

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics in Roman Urdu Hindi
Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics in Roman Urdu Hindi

Gali Gali Saj Gayi Naat Lyrics

 

 

एक में ही नहीं उन पर, क़ुर्बान ज़माना है
जो रब्बे दो आलम का मेहबूब यगाना है

कल पुल से हमें जिसने , खुद पार लगाना है
ज़हरा का वो बाबा है, हसनैन का नाना है

एक में ही नहीं उन पर, क़ुर्बान ज़माना है
जो रब्बे दो आलम का मेहबूब यगाना है

आओ दरे ज़हरा पर , फैलाए हुए दामन
है नस्ल करीमों की, लाजपाल घराना है

एक में ही नहीं उन पर, क़ुर्बान ज़माना है
जो रब्बे दो आलम का मेहबूब यगाना है

इज़्ज़त से न मर जाएं, क्यों नाम मुहम्मद पर
यूँहीं किसी दिन हमने, दुनिया से तो जाना है

एक में ही नहीं उन पर, क़ुर्बान ज़माना है
जो रब्बे दो आलम का मेहबूब यगाना है

सरकार मदीना की हूँ पश्ते पनाही में
दुनिया की है क्या परवाह, दुश्मन जो ज़माना है

एक में ही नहीं उन पर, क़ुर्बान ज़माना है
जो रब्बे दो आलम का मेहबूब यगाना है

ये कहके दरे हक़ से, ली मौत में कुछ मोहलत
मिलाद की आमद है, महफ़िल को सजाना है

एक में ही नहीं उन पर, क़ुर्बान ज़माना है
जो रब्बे दो आलम का मेहबूब यगाना है

मेहरूमे करम इसको रखिये न सरे महेशर
जैसा है नसीर आखिर, साईल तो पुराना है

एक में ही नहीं उन पर, क़ुर्बान ज़माना है
जो रब्बे दो आलम का मेहबूब यगाना है

 

 

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics in Urdu

 

اک میں ہی نہیں ان پر قربان زمانہ ہے
جو ربِ دوعالم کا محبوب یگانہ ہے

کل جس نے ہمیں پُل سے خود پار لگانا ہے
زہرہ کا وہ بابا ہے ، سبطین کا نانا ہے

اس ہاشمی دولہا پر کونین کو میں واروں
جو حسن و شمائل میں یکتائے زمانہ ہے

عزت سے نہ مر جائیں کیوں نام محمد پر
ہم نے کسی دن یوں بھی دنیا سے تو جانا ہے

آؤ درِ زہرہ پر پھیلائے ہوئے دامن
ہے نسل کریموں کی، لجپال گھرانا ہے

ہوں شاہِ مدینہ کی میں پشت پناہی میں
کیا اس کی مجھے پروا دشمن جو زمانہ ہے

یہ کہہ کر درِ حق سے لی موت میں کچھ مُہلت
میلاد کی آمد ہے، محفل کو سجانا ہے

قربان اُس آقا پر کل حشر کے دن جس نے
اِس امت آسی کو کملی میں چھپانا ہے

سو بار اگر توبہ ٹوٹی بھی تو کیا حیرت
بخشش کی روایت میں توبہ تو بہانہ ہے

پُر نور سی راہیں بھی گنبد پہ نگاہیں بھی
جلوے بھی انوکھے ہیں منظر بھی سہانا ہے

ہم کیوں نہ کہیں اُن سے رودادِ الم اپنی
جب اُن کا کہا خود بھی اللہ نے مانا ہے

محرومِ کرم اس کو رکھئے نہ سرِ محشر
جیسا ہے “نصیر” آخر سائل تو پرانا ہے

از سید نصیر الدین نصیر رحمۃ اللہ علیہ

popular posts

Leave a Comment