Hussain Ki Namaz Jaari Hai Lyrics

Hussain Ki Namaz Jaari Hai..

 

Hussain Ki Namaz Jaari Hai
Jabeen-E-Ibn-E-Ali ki niyaz jari hai
Khuda ke deen ki Umr-E-Daraz jari hai
Sajde mein rakh ke sir ko na uthaya Hussain ne
Mere Husain ki ab tak namaz jari hai

Phir Aaj Haq Ke Liye

Phir aaj haq ke liye jaan fida kare koi
Wafa bhi jhoom uthe yun wafa kare koi
Namaz 1400 saalon se intezar mein hai
Husain ki tarha mujh ko adaa kare koi

Aankhon Ko Koi Khwaab

Aankhon ko koi khwaab to dikhayi de
Tabeer me Imam ka jalwa dikhayi de
Aye! Ibn-E-Murtaza tere samne
Suraj bhi ek chota sa zarra dikhayi de

Karbala Walon Ka Gham

Karbala walon ka gham ghar ghar mein manaya jayega
Maqsad-E-Shabeer aalam ko bataya jayega
Yaad kar ke jo na roya Karbala walon ki pyaas
Qabar se tishna wo mehshar main uthaya jayega

Ek Din Bade Ghroor

Ek din bade ghroor se kehne lagi zameen
Aya mere naseeb mein parchum Husain ka
Phir chand ne kaha mere seene ke daagh dekh
Hota hai aasmaan pe bhi maatam Husain ka

Kuch Barhami Hai Zara

Kuch barhami hai zara is Noor-e-Ain mein
Milta hai iztiraab yunhi dil ke chain mein
Selaab dekhta hoon to ata hai ye khyal
Pani bhatak raha hai Talash-e-Husain mein

Tere Dil Main Kaisi Girah Pari

Tere dil mein kaisi girah padi tujhey usse itna hasad hai kyun?
Jo Nabi ki aankh ka noor hai jo Ali ki rooh ka chain hai
Kabhi dekh apne khameer mein kabhi pooch apne zameer se
Wo jo mit gaya wo yazeed tha, jo na mit saka woh Husain hai

Quran Sunaney Wala

Sar gair ke aage na jukane wala
Aur nezey pe bhi Quran sunaney wala
Islam se kya poochte ho kaun Husain hai
Islam ko Islam banane wala

Fiza-e Jannat Mein Bhi Hamesha

Fiza-e jannat mein bhi hamesha nasheest unhi saji rahegi
Tamam ahlay wila ka mirkaz Nabi (PBUH) ki bada dari rahegi
Jo phool shaakhon say gir bhi jayen to unse khushboo juda na hogi
Jo hum mare bhi to zehan-o-dil mein ALI (KaramAllahu Taala Wajhahul Kareem) ki khushboo basi rahegi.

popular posts

Leave a Comment