Hazrat Qaazi Hameed Ud Deen Mohammad Nagori Biography

Hazrat Khwaja Soofi Hameed-ud-deen Mohammad Nagori rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Sultaan-ul-Taariqeen.
******
Aap ki wilaadat 463 Hijri (1070 A.D.) me Bukhara me hui.
Aap ke waalid ka naam Sultaan Ata’ullāh Mahmood bin Shaikh Saeed Bukhari aur waalida ka naam Shehzaadi Bi hai.
Aap Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu anhu ki nasl se hain.
******
Jab Aap apni waalida ke shiqam e paak me the tab aap ke naana jaan ne aap ki waalida ko khush khabri de di thi ke ‘Tumhare yaha ladka paida hoga, jis ka seena ubhra hua hoga, aadha badan hara hoga aur mere inteqaal ke baad paida hoga.’
******
Aap ne Maulana Shams-ud-deen Halwai, Hazrat Hameed-ud-deen Khui aur Hazrat Muhammad Juwayini se ta’aleem haasil ki.
Aap Arabi, Faarsi aur Hindawi ke maahir the.
******
Phir Aap Hazrat Khizr alaihis salaam ke farmaan par Baghdad tashreef le gaye aur Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Umar Suharwardi rahmatullāhi alaihi ki baargaah me haazir hue. Hazrat ne ne kuchh guftagu farmaane ke baad Aap ka haath pakda aur farmaaya ke ‘7 martaba Surah Ikhlaas padho.’ Jaise hi Aap ne Surah Ikhlaas padhi Aap ki nazro se saare parde uth gaye aur arsh se lekar farsh tak Aap ke saamne zahir ho gai.
Hazrat ne Aap ko Khilaafat aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka Jhubba mubarak ata farmaaya.
Phir Hazrat ke farmaan par Aap Hindustan ki jaanib rawaana hue aur 561 Hijri me Aap Delhi tashreef laaye.
******
Hazrat Khwaja Moeen-ud-deen Hasan Chishti rahmatullāhi alaihi se karne ke baad Aap ne Khwaja ke saath Delhi ke safar ke dauraan faiz aur ta’aleem haasil ki.
Ek martaba Khwaja Ghareeb nawaaz rahmatullāhi alaihi ne apne shaagirdo se farmaaya ke ‘Jo chaaho maango. Aaj ALLĀH ta’ala tumhari muraad puri farmaega.’ Aap ne arz kiya ‘Main sirf ye chaahta hu ke meri puri zindagi ALLĀH ta’ala ki ita’at me guzre. Is ke ilaawa mujhe kuchh nahi chaahiye.’ Aap ki ye khwaahish sunkar Khwaja ne khush hokar Aap ko ‘Sultaan-ul-Taarikeen’ ka laqab ata farmaaya.
******
Sultaan Shams-ud-deen Altamash ne Aap ko Nagor ke Qaazi banaaye. Kuchh arse tak Aap ne Qaazi ki zimmedaari ada ki. Is ke baad Nagor ke qareeb Suwali gaanv me zameen khareedkar wahi sukoonat ikhtiyaar ki aur logo ko faiz ata farmaate rahe aur ta’aleem e deen karte rahe.
******
Aap akṡar Roza rakhte the.
Aap jab namaaz padhte to namaaz me itne kho jaate ke kisi ki khabar na hoti.
Ek martaba Maulana Shams-ud-deen Halwaai aur kuchh dusre log Aap se mulaaqaat ki garz se Ajmer shareef se tashreef laaye. Aap masjid me namaaz padh rahe the. Aap ko namaaz me itni der hui ke wo log waapas chale gae. Chand dino ke baad un logo ki aap se mulaaqat hui to wo aap se shikaayat karne lage ke “Hum aap se mulaaqat ke liye aaye the. Lekin aap to namaaz me hi rahe.” Aap ne qasam khaakar kaha ke “Mujhe bilkul khabar na thi ke kaun aaya aur kaun gaya.”
******
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Jab Aap Baghdad se Delhi tashreef laa rahe the tab raaste me Gyaan Naath naami ek jogi se mulaaqaat hui. Us ne Aap ko kisi ghaas ki jad pesh ki jis se Sona banta tha. Aap ne wo jad dariya me phenk di. Woh jogi afsos karne laga. Aap ne dariya me haath daal kar us jad ko nikaal diya.
Phir Aap ne use aankhen band karne ke liye farmaaya. Jab us ne aankhen band karke kholi to woh Arsh se lekar Tehtussara tak dekh sakta tha. Aur chaaro taraf sona nazar aata tha. Woh Jogi Aap se bahot muta’assir hua aur Aap ka mureed ban gaya.
(2) Nagor ka rehne waala ek taajir har saal Til lekar Multan ki mandi me bechne ke liye jaata aur waha se Rooi lekar aata tha.
Aap us ke saath Hazrat Khwaja Baha-ud-deen Zakariya Multani ke naam khat bheja karte the aur usi ke saath Khwaja Baha-ud-deen Zakariya Multani us khat ka jawaab bheja karte the.
Ek martaba Khwaja Baha-ud-deen Zakariya ne us taajir ke saath ek ya do chhoti matki sone chaandi se bharke Aap ki khidmat me bheji Aur is Tohfe ko qubool karne ki guzaarish ki.
Jab wo taajir Khwaja Baha-ud-deen Zakariya ka bheja hua tohfa aap ki baargaah me lekar haazir hua to Aap ne us se farmaaya “Yeh sona chaandi Gindaani taalaab ke maidaan me daal do taaki ghareebo aur mohtaajo ke kaam aaye aur is matki me usi maidaan me se kankar bharkar le aao aur humari taraf se Khwaja Baha-ud-deen Zakariya ki khidmat me pesh karo.” Us taajir ne Aap ke hukm ki taamil karte hue aisa hi kiya.
Multan pahonchkar us ne wo kankaro se bhari hui matki Khwaja Baha-ud-deen Zakariya ko di. Jab us matki ko khaali kiya to us matki ke kankar hire moti ban gaye. Yeh dekhkar woh taajir bada hairaan hua.
(3) Jab Aap takbeer e tehreema baandhkar namaaz shuru karte to Aap ke pichhe namaaz ada karne waale tamaam muqtadi ko Arsh e aazam nazar aata.
Ek martaba aap kisi wajah se namaaz me haazir na the to dusre Imaam ne namaaz padhaai to kisi muqtadi ko kuchh nazar na aaya. Us din sab ko ma’aloom hua ke namaaz me Arsh e aazam ka nazar aana Soofi Hameed-ud-deen Nagori ki barkat se hai.
******
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap farmaate hain :
(1) Ilm ke baghair insaan Sang-waarah ya mutahajar (fossil) ki maanind hai.
(2) Soofi wo hai jo ALLĀH ki raza ke liye apni khwaahishaat ko tarq kar de.
******
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
[1] Bibi Khdeeja binte Sayyed Fuzail Ahmad Hamadani se
6 saahabzaade aur 2 saahabzaadiya.
Saahabzaade :
(1) Maulana Naseeh-ud-deen
(2) Maulana Zair-ud-deen
(3) Shaikh Aleem-ud-deen
(4) Shaikh Hisaam-ud-deen
(5) Shaikh Wajeeh-ud-deen
(6) Shaikh Abdullāh.
Saahabzaadiya :
(1) Bibi Allāhdiya
(2) Bibi Saahib e Daulat.
[2] Bibi Humaira binte Khwaja Abu Bakr Kirmani se
2 saahabzaade :
(1) Shaikh Fareed-ud-deen
(2) Shaikh Azeez-ud-deen.
******
Aap Hazrat Khwaja Moeen-ud-deen Hasan Chishti rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Umar Suharwardi rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap ke Khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Ahmad Naharwani rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Shaikh Ain-ud-deen rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Shaikh Moitaab rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Shaikh Mohammad Moitaj-ud-deen rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Shaikh Mahmood Moeena Doz rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Maulana Naseeh-ud-deen rahmatullāhi alaihi.
******
Aap ka wisaal 9 Ramanzaan 673 Hijri (A.D.) ko dauraane Taraaweeh hua.
Aap ka mazaar Delhi me hai.
******
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Soofi HamWhatsApp Image 2019-05-31 at 12.03.25 PMeed-ud-deen Mohammad Nagori rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Hazrat Khwaja Hamiduddin Nagauri (Rahmatullah Alaih) Khwaja Hamiduddin Nagauri He also got khilafat from khwaja gharib nawaj.was sent to nagaur for tabligh of deen & silsila. sufi saheb had some land & was earning his bread from that piece of land by plaughing it by own. oneday the haqim of the city offered him some land .but sufi saheb denied & said that none in our silsila has ever took anything from anyone ,so why should i? One another day khwaja saheb asked sufi saheb what is your wish tell me i’ll fulfill it.then sufi saheb replied that “i don’t want anything .what you give is my ultimate choice.i put my head on your astana.”. listening to this khwaja saheb was very much happy & prayed to allah “ilahi give hamiduddin respect in this world & hereafter”. Also once khwaja saheb told that moinuddin & hamiduddin’s children are same. this saying came true whan khwaja saheb made his daughter HAFIZA JAMAL’s marriage to sufi saheb’s son.once after knowing the status of sufi saheb ,khwaja saheb said “if i’ld have known your status near allah then i’ld have been a murid of your’s.” KARAMAT-He had many karamats in his life & after his death also. today also none can enter his dargah by eating meat if anyone does so he may face a lot of trouble in his life.

 

WISAL- Sufi saheb passed away on 29,Rabbi ussani,673 hizri.and every year the urs is celebrated on this day itself. HAZRAT KHWAJA HAMIDUDDIN NAGAURI (RA), ONE OF THE PROMINENT KHALIFA OF HAZRAT KHWAJA GARIB NAWAZ (RA) nagaur sharif. if u c the pics properply one tree is covering the entire mazaar, this is a live karamat of HAZRAT.

 

Share this:

popular posts

Leave a Comment