Hazrat Khwaja Moeen-Ud-Deen Ṡaani Chishti Biography
Hazrat Khwaja Moeen-ud-deen Saani Chishti Biography
Hazrat Khwaja Moeen-ud-deen Ṡaani Chishti rahmatullāhi alaihi :
Aap ki wilaadat 26 Zil Qa’ada 1349 Hijri (20 October 1930 A.D.) ko hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Naseer-ud-deen Chishti bin Khwaja Fareed-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi hai.
1400 Hijri (1980 A.D.) me apne waalid ke wisaal ke baad Aap Masnade Sajjaadgi par ronak afroz hue aur 11 saal tak ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe aur silsila e Chishtiya ki isha’at karte rahe.
Aap ka wisaal 3 Ramazaan 1412 Hijri (20 march 1991 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Shahibaag, Ahmedabad (Gujarat) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Moeen-ud-deen Ṡaani Chishti rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.