फ़िदा आप का ये ग़ुलाम आप पर हो / Fida Aap Ka Ye Ghulam Aap Par Ho
मता’-ए-दिल-ओ-जाँ निसार आप पर हो
फ़िदा आप का ये ग़ुलाम आप पर हो
बड़ी मुद्दतों से ये चाहत है दिल की
हों शहर-ए-नबी में, सलाम आप पर हो
कभी अश्क-बारी, कभी आह-ओ-ज़ारी
ख़ुलूस-ए-मोहब्बत तमाम आप पर हो
उहुद का वो मैदाँ, वो ताइफ़ की वादी
वो ख़ाक-ए-मदीना निसार आप पर हो
ये इक जान क्या गर करोड़ों हों जानें
फ़ना, ऐ हबीब-ए-अनाम ! आप पर हो
इसी के हैं क़ाबिल मेरे मुस्तफ़ा तो
कि क़ुर्बान सारा जहान आप पर हो
दर-ए-मुस्तफ़ा पर जो जाओ तो कहना
सना-ख़्वाँ का आक़ा सलाम आप पर हो
ख़ुदा बिन्त-ए-ताहिर की क़िस्मत में लिख दे
हो दीदार उन का कलाम आप पर हो
शायर:
बिन्त-ए-ताहिर
ना’त-ख़्वाँ:
यासिर सुहरवर्दी
mata’-e-dil-o-jaa.n nisaar aap par ho
fida aap ka ye Gulaam aap par ho
ba.Di muddato.n se ye chaahat hai dil ki
ho.n shahr-e-nabi me.n, salaam aap par ho
kabhi ashk-baari, kabhi aah-o-zaari
KHuloos-e-mohabbat tamaam aap par ho
uhud ka wo maidaa.n, wo taaif ki waadi
wo KHaak-e-madina nisaar aap par ho
ye ik jaan kya gar karo.Do.n ho.n jaane.n
fana, ai habeeb-e-anaam ! aap par ho
isi ke hai.n qaabil mere mustafa to
ki qurbaan saara jahaan aap par ho
dar-e-mustafa par jo jaao to kehna
sana-KHwaa.n ka aaqa salaam aap par ho
KHuda Bint-e-Taahir ki qismat me.n likh de
ho deedaar un ka kalaam aap par ho
Poet:
Bint-e-Tahir
Naat-Khwaan:
Yasir Soharwardi