Aye Nabi E Ins O Jaan Aap Par Laakhon Salaam
Aye Nabi E Ins-o-jaa(n) Aap Par Laakhon Salaam
Keh Raha Hai Kul Jahaa(n) Aap Par Laakhon Salaam
Aap Ke Khadmon Tale Rondhi Gayi Har Ek Shae
Ye Makaan Wo Lamakaan Aap Par Laakhon Salaam
Kehte Kehte Mai Jiyoon Kehte Kehte Mar Mitoon
Aap Hi Ki Daastaa(n) Aap Par Laakhon Salaam
Ye Shab E Meraaj Hai Aap Ke Sar Taaj Hai
Afsare Paighambara(n) Aap Par Laakhon Salaam
Aap Ke Ham Hai Ghulaam Dil Se Karte Hai Salaam
Ham Me Hai Peer-o-jawaa(n) Aap Par Laakhon Salaam
Rote Hai Ham Roz-o-shab Taiba Bulwao Ge Kab
Kab Ho Khismat Darakh Shaa(n) Aap Par Laakhon Salaam
Kab Bulaenge Huzoor Kab Mile Dil Ko Suroor
Paaye Kab Wo Karwaa(n) Aap Par Laakhon Salaam
Ya Muhammad Mustafa Ya Mumajjad Mujtaba
Ya Nabi Akhir Zamaa(n) Aap Par Laakhon Salaam
Haq Ka Pohchaya Payaam Ho Chuka Hai Deen Tamaam
Keh Raha Hai Ye Quraa(n) Aap Par Laakhon Salaam
Kya Zameen Kya Asmaa(n) Ho Chuke Hai Zufasha
Sab Andheron Ke Makaa(n) Aap Par Laakhon Salaam
Muttaqui Par Ab Huzoor Nighe Remat Ho Zuroor
Aye Shae Kowno Makaa(n) Aap Par Laakhon Salaam