Rehmat Ka Dar Khula Hae Darbar E Mustafa Me Lyrics

Rehmat Ka Dar Khula Hae Darbar E Mustafa Me Lyrics

 

Rehmat Ka Dar Khula Hae Darbar E Mustafa Me

Bakhshish Ka Silsila Hai Darbar E Mustafa Me

Khamoshyo Ko Meri Sunte Hai Sarwar E Deen

Bin Mange Mil Raha Hai Darbar E Mustafa Me

Ab Dil Ki Dhadkane Haen Sarkar Ke Hawale

Awaz Kab Rawa Hai Darbar E Mustafa Me

Subh O Masa Farishte Aate Hain Hazri Ko

Noorani Qafla Hai Darbar E Mustafa Me

Ek Bheeni Bheeni Khushbu Saanso Me Bas Gayi Hai

Dil Bhi Mehak Raha Hai Darbar E Mustafa Me

Main Arz Kar Raha Hu Sarkar Sun Rahe Hain

Kaisaa Haseen Sama Hai Darbar E Mustafa Me

Salle Ala Nabiyyina Salle Ala Muhammadin

Sab Ki Yahi Sada Hai Darbar E Mustafa Me

Kaisi Azeem Ne’mat Paayi Hai Tu Ne Rizwan
Tu Naat Padh Raha Hai Darbar E Mustafa Me

——————- Other ——————-

—————— Version ——————

Rehmat Ka Dar Khula Hae Darbar E Mustafa Me

Bin Mange Mil Raha Hai Darbar E Mustafa Me

Un Par Durood Har Dam Un Par Salaam Har Dam

Har Ek Padh Raha Hai Darbar E Mustafa Me

Aansoo Jo Beh Rahe Hai Sab Haal Keh Rahe Hai

Lab Kaun Kholta Hai Darbar E Mustafa Me

Seene Pe Hath Rakh Ke Mai Dil Ko Dhoond Ta Hoon

Dil Mujh Ko Dhoond Ta Hai Darbar E Mustafa Me

Mai Naat Padh Raha Tha Sarkaar Sun Rahe The

Ye Raaz Ab Khula Hai Darbar E Mustafa Me

Aadaab Ka Taqaza Jumbish No Ho Badan Me

Dil Wajd Kar Raha Hai Darbar E Mustafa Me

Haq Unko De Raha Hai Wo Sab Ko De Rahe Hai

Dene Ki Intaha Hai Darbar E Mustafa Me

Khushboo Adeeb Teri Natoun Se Aa Rahi Hai

Ek Baar Kya Gaya Hai Darbar E Mustafa Me

Rehmat Ka Dar Khula Hae Darbar E Mustafa Me Lyrics
Rehmat Ka Dar Khula Hae Darbar E Mustafa Me Lyrics

Popular Posts

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...21 views
नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया ! / Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Be-Misaal Aaya, Kamaal Aaya !नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !...16 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...16 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...15 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...11 views

Leave a Comment