RAB NE DIYA HAI UNKO NAAT LYRICS

RAB NE DIYA HAI UNKO NAAT LYRICS

 

Rab Ne Diya Hai Unko Main Un Sey Maangta Hoon,
Aaqa Key Dar Ka Main Bhi Adna Sa Ik Gada Hoon

Yih Khawaab Main Nay Deka Taiba Ka Kaafila Hai,
Aur Naat Parte Parte Main Uss Main Jaa Raha Hoon
Rab Ne Diya Hai Unko…

Farzaangi Ki Hadd Tak Diwaana Ho Gaya Hoon
Main Unki Naat Keh Kar Masti Main Jhoomta Hoon
Rab Ne Diya Hai Unko …

Deykho Mera Tassw’wur Rouzey Key Saamney Hoon
Dil Naat Par Raha Hain Main Chup Kharaa Hua Hoon
Rab Ne Diya Hai Unko…

Nazr-E-Karam Huee Jab, Aqa Ney Jab Bulaya
Uss Dam Yehi Kahoon Ga Aqa Main Aaraha Hoon
Rab Ne Diya Hai Unko …

Apney Ghulaam Ka Wo Mujh Ko Ghulaam Rakh Ley
Main Chup Kharaa Hua Hoon, Aur Mahv-E Iltija Hoon
Rab Ne Diya Hai Unko …

Jannat Khuda Na Deyga , Jab Tak Na Wo Kahey Gey
Rub Kee Raza Hain Aaqa, Main Itna Jaanta Hoon
Rab Ne Diya Hai Unko …

Un Sey Hai Meri Nisbat, Ab Aur Chahiyeh Kiya
Merey Wuhi Hain Sub Kuch Main Un Ka Ho Chukka Hoon
Rab Ne Diya Hai Unko …

Un Sey Miley Hain Saarey Alfaaz Merey Kab Hain
Main Un Sey Naat Leykar Duniya Mey Baantta Hoon
Rab Ne Diya Hai Unko …

Mar Jaon Abidi Jab Main Naat Parte Parte
Tum Sab Yakin Karna Imaan Par Mara Hoon
Rab Ne Diya Hai Unko …

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...130 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...81 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...68 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...54 views
Salam Aap Par Tajdare Madina Lyrics  Salam Aap Par Tajdare Madina Darood Aap Par Share Yaar Madina...48 views

Leave a Comment