TU AMEER-E-HARAM MAIN FAKIR-E-AJAM NAAT LYRICS

TU AMEER-E-HARAM MAIN FAKIR-E-AJAM NAAT LYRICS

 

Tu Ameer-E-Haram Main Fakir-E-Ajam
Tere Gun Aur Ye Lab Mein Talab Hi Talab

Tu Ata Hi Ata Main Khata Hi Khata
Tu Kuja Man Kuja Tu Kuja Man Kuja

Tu Hai Ahram-E-Anwar Bandhay Huay
Main Duroodon Ki Dastar Bandhay Huay

Kaba-E-Ishq Tu Main Tere Charsu
Tu Asr Main Dua Tu Kuja Man Kuja

Maira Har Saans To Khoon Nichorhay Maira
Tairee Rehmat Magar Dil Na Toorhay Maira

Kasa-E-Zaat Hoon Tere Khairaat Hoon
Tu Sakhi Main Gada Tu Kuja Man Kuja

Tu Haqeequat Hai Main Sirf Ihsaas Hoon
Tu Samandar Main Bhatki Hui Pyas Hoon

Maira Ghar Khaak Par Aur Teri Reh Guzar
Sidratul Muntaha Tu Kuja Man Kuja

Dagmaga Hoon Jo Halaat Kay Samnay
Aayay Tera Tasawr Mujhay Thamnay

Mairee Khush Kismati Main Tera Umati
Tu Jaza Main Raza Tu Kuja Man Kuja

Duriaan Saamnay Say Jo Hathnay Lageen
Jalioon Say Nigahain Lipatnay Lageen

Aansoonoon Ki Zuban Ho Mairee Tarjuman
Dil Say Niklay Sada Tu Kuja Man Kuja

Tu Ameer-E-Haram Main Fakir-E-Ajam
Tere Gun Aur Ye Lab Mein Talab Hi Talab

Tu Ata Hi Ata Main Khata Hi Khata
Tu Kuja Man Kuja Tu Kuja Man Kuja

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,330 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...926 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...815 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...524 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...502 views

Leave a Comment