Ae Shahenshah E Madinah Asslato Wasslam Naat Lyrics

ऐ शहंशाह-ए-मदीना अस्सलातु वस्सलाम / Aye Shahenshah-e-Madina Assalatu Wassalam
ऐ शहंशाह-ए-मदीना ! अस्सलातु वस्सलाम
ज़ीनत-ए-‘अर्श-ए-मु’अल्ला ! अस्सलातु वस्सलाम

रब्बी हब ली उम्मती कहते हुए पैदा हुए
हक़ ने फ़रमाया कि बख़्शा, अस्सलातु वस्सलाम

दस्त-बस्ता सब फ़रिश्ते पढ़ते हैं उन पर दुरूद
क्यूँ न हो फिर विर्द अपना अस्सलातु वस्सलाम

मोमिनो ! पढ़ते नहीं क्यूँ अपने आक़ा पर दुरूद
है फ़रिश्तों का वज़ीफ़ा अस्सलातु वस्सलाम

मोमिनो ! पढ़ते रहो तुम अपने आक़ा पर दुरूद
है फ़रिश्तों का वज़ीफ़ा अस्सलातु वस्सलाम

बुत-शिकन आया ये कह कर, सर के बल बुत गिर गए
झूम कर कहता था का’बा अस्सलातु वस्सलाम

सर झुका कर बा-अदब ‘इश्क़-ए-रसूलुल्लाह में
कह रहा था हर सितारा अस्सलातु वस्सलाम

ग़ुंचे चटके फूल महके चहचहाईं बुलबुलें
गुल खिला बाग़-ए-अहद का अस्सलातु वस्सलाम

मैं वो सुन्नी हूँ, जमील-ए-क़ादरी ! मरने के बा’द
मेरा लाशा भी कहेगा अस्सलातु वस्सलाम


शायर:
मौलाना जमीलुर्रहमान रज़वी क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
सय्यिद फ़सीहुद्दीन सोहरवर्दी
ओवैस रज़ा क़ादरी

 


ai shahanshah-e-madina ! assalaatu wassalaam
zeenat-e-‘arsh-e-mu’alla ! assalaatu wassalaam

rabbi hab li ummati kehte hue paida hue
haq ne farmaaya ki baKHsha, assalaatu wassalaam

dast-basta sab farishte pa.Dhte hai.n un par durood
kyu.n na ho phir wird apna assalaatu wassalaam

momino ! pa.Dhte nahi.n kyu.n apne aaqa par durood
hai farishto.n ka wazeefa assalaatu wassalaam

momino ! pa.Dhte raho tum apne aaqa par durood
hai farishto.n ka wazeefa assalaatu wassalaam

but-shikan aaya ye keh kar, sar ke bal but gir gae
jhoom kar kehta tha kaa’ba assalaatu wassalaam

sar jhuka kar baa-adab ‘ishq-e-rasoolullah me.n
keh raha tha har sitaara assalaatu wassalaam

Gunche chaTke phool mehke chehchahaai.n bulbule.n
gul khila baaG-e-ahad ka assalaatu wassalaam

mai.n wo sunni hu.n, Jameel-e-Qadri ! marne ke baa’d
mera laasha bhi kahega assalaatu wassalaam


Poet:
Maulana Jameel-ur-Rehman Razvi Qadri

Naat-Khwaan:
Syed Fasihuddin Soharwardi
Owais Raza Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,027 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...905 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...744 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...520 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...474 views

Leave a Comment