nabi ka jashn aaya Naat Lyrics

nabi ka jashn aaya Naat Lyrics

 

Nabi Ka Jashn Aaya Chaand Taaron Jhoomtay Rehna
Nabi Ke Naam Per Ae Naamdaaron Jhoomtay Rehna

Jahaan Mein Noor Leykar Noor Wala Aanay Wala Hai
Meray Hamraah Tum Bhi Dil Ke Taaron Jhoomtay Rehna

Galli Koochay Sajadena Harray Jhanday Lagadena
Taqaaza Ishq Ka Hai Mere Yaaron Jhoomtay Rehna

Nabi-e-Sarwar-e-Konain Ki Aamad Ke Lamhoon Mein
Durood-e-Pak Parhtay Parhtay Saaron Jhoomte Rehna

Musawaat-o-Akhuwat Ka Payaam-e-Dil Nasheen Laaye
Khushi Mein Aey Ghareebon Maaldaaron Jhoomte Rehna

Woh Aaye Gham Qaday Mein Ek Khushi Ki Roshni Phooti
Khuda Ke Shukar Mein Aey Gham Ke Maaron Jhoomte Rehna

Khushi Ik Dil Pe Hai Chaayei Wiladat Ki Ghari Aayei
Arey Aey Gul A’zaro Maah Paaron Jhoomte Rehna

Bujhay Na Ishq-e-Ahmed Ki Agan Qalb-e-Ujagar Se
Dharakna Aur Ae Dil Ke Shararon Jhoomte Rehna

Popular Posts

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...21 views
नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया ! / Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Be-Misaal Aaya, Kamaal Aaya !नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !...16 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...16 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...15 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...11 views

Leave a Comment